yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 22:1-21

  • jeevan denevale paani ki nadi (1-5)

  • samapti (6-21)

    • ‘aa! jeevan denevala paani muft mein le le’ (17)

    • “prabhu yeeshu, aa” (20)

22  aur usne mujhe jeevan denevale paani ki nadi dikhayi+ jo billaur ki tarah saaf thi aur parmeshvar aur memne ki raajgaddi se nikaalkar bah rahi thi.+  yah nadi us nagri ki mukhya sadak ke beechon-beech bah rahi thi. nadi ke donon taraf jeevan ke ped lage the jinmein saal mein 12 baar yaani har maheene fal lagte the. unki pattiyaan raashtron ke logon ke rog door karne ke liye thi.+  aur vahaan fir kabhi kisi tarah ka shaap nahin padega. magar us nagri mein parmeshvar aur memne ki raajgaddi hogi+ aur parmeshvar ke daas uski pavitra seva kareinge.  woh uska chehra dekheinge+ aur uska naam unke maathon par likha hoga.+  fir kabhi raat nahin hogi+ aur unhein deepak ya sooraj ki raushni ki zaroorat nahin padegi, kyonki yahova* parmeshvar un par raushni chamkayega+ aur woh hamesha-hamesha tak raja bankar raaj kareinge.+  swargdoot ne mujhse kaha, “ye vachan bharose ke laayak* aur sachche hain.+ haan, yahova* parmeshvar jo bhavishyavaktaon ko prerit karta hai,+ usne apna swargdoot bheja taaki apne daason ko woh baatein dikhaye jo bahot jald honevali hain.  dekh! main bahot jald aa raha hoon.+ sukhi hai woh jo is kharre ki bhavishyavani ke vachnon ko maanta hai.”+  main yuhanna, ye baatein dekh aur sun raha tha. aur jab main dekh aur sun chuka, to jo swargdoot mujhe ye saari baatein dikha raha tha, main uski upasna karne ke liye uske pairon par gir pada.  magar usne mujhse kaha, “nahin, nahin, aisa mat kar! main to sirf tere aur tere bhaaiyon yaani bhavishyavaktaon ki tarah ek daas hoon, jo is kharre mein likhe vachnon par chalte hain. parmeshvar ki upasna kar.”+ 10  usne mujhse yah bhi kaha, “is kharre mein likhi bhavishyavani ke vachnon par muhar mat laga, kyonki tay kiya gaya vakt paas aa gaya hai. 11  jo bure kaam karta hai woh burai mein laga rahe. jiska chaalchalan ganda hai woh gande kaamon mein laga rahe. magar jo nek hai woh nek kaamon mein laga rahe aur jo pavitra hai woh pavitra hota jaaye. 12  ‘dekh! main bahot jald aa raha hoon aur mere paas woh inam hai jo main harek ko uske kaam ke hisab se deta hoon.+ 13  main hi alfa aur omega* hoon,+ main hi pehala aur aakhiri, shurooat aur ant hoon. 14  sukhi hain woh jinhonne apne choge dhoye hain+ taaki unhein jeevan ke pedon ka fal khaane ka adhikar mile+ aur woh us nagri mein uske faatkon se daakhil ho sakein.+ 15  magar kutte,* jaadoo-tona karnevale, naajayaz yaun-sambandh* rakhnevale, kaatil, moortipooja karnevale, jhooth bolnevale aur jhooth ko pasand karnevale us nagri ke baahar honge.’+ 16  ‘mujh yeeshu ne hi apna swargdoot bhejkar tumhein ye baatein batayin taaki mandliyon ka bhala ho. main daavid ki jad aur uska vansh hoon+ aur subah ka chamakta taara hoon.’”+ 17  aur pavitra shakti aur woh dulhan+ kehti rehti hain, “aa!” aur sunnaevala har koi kahe, “aa!” aur har koi jo pyasa ho woh aaye.+ jo koi chahe woh jeevan denevala paani muft mein le le.+ 18  “main is kharre ki bhavishyavani ke vachnon ko sunnaevale har kisi ko yah gavahi deta hoon: agar koi in baaton mein kuch jodta hai,+ to parmeshvar is kharre mein likhe kehar us par le aayega.+ 19  aur agar koi bhavishyavani ke is kharre ke vachnon mein se kuch nikaalega, to parmeshvar use is kharre mein likhi achhi baatein nahin dega yaani use jeevan ke pedon+ mein se khaane nahin dega aur pavitra nagri+ mein daakhil nahin hone dega. 20  jo in baaton ki gavahi deta hai, woh kehta hai, ‘haan, main bahot jald aa raha hoon.’”+ “aameen! prabhu yeeshu, aa.” 21  prabhu yeeshu ki maha-kripa pavitra janon par hoti rahe.

kai footnote

ati. ka5 dekhein.
ya “vishvas ke yogya.”
ati. ka5 dekhein.
ye yoonani varnmala ke pehale aur aakhiri akshar hain.
yaani woh log jinke kaam parmeshvar ki nazar mein ghinaune hain.
shabdavli dekhein.