yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 3:1-22
3 sardees ki mandli ke doot ko yah likh: woh jiske paas parmeshvar ki saat pavitra shaktiyaan hain+ aur saat taare hain,+ woh kehta hai, ‘main tere kaam jaanta hoon. log samajhte hain ki tu zinda hai magar tu mara hua hai.+
2 isliye chaukanna ho jaa+ aur jo bachi hui cheezen marnevali hain unhein mazboot kar, kyonki mainne dekha hai ki mere parmeshvar ke saamne toone apne kaam poore nahin kiye.
3 isliye toone jo-jo paaya aur suna hai us par hamesha dhyan de* aur us par chalta reh aur pashchatap kar.+ agar tu jaagega nahin to main achanak chor ki tarah aaunga+ aur tujhe khabar bhi nahin hogi ki main kis ghadi aaunga.+
4 fir bhi, sardees mein tumhare beech kuch aise log* hain jinhonne apne kapdon par kalank nahin lagne diya hai+ aur woh safed kapde pehne mere saath chaleinge+ kyonki woh is samman ke yogya hain.
5 jo jeet haasil karta hai+ use isi tarah safed poshak pehnayi jaayegi.+ aur main jeevan ki kitab se uska naam kabhi nahin mitaunga,+ magar apne pita aur uske swargdooton ke saamne use sweekar karoonga.+
6 kaan lagakar suno ki pavitra shakti mandliyon se kya kehti hai.’
7 fildilfiya ki mandli ke doot ko yah likh: woh jo pavitra + aur sachcha hai,+ jiske paas daavid ki chaabi hai,+ jo darvaze kholta hai taaki koi unhein band na kare aur band karta hai taaki koi unhein na khole, woh kehta hai,
8 ‘main tere kaam jaanta hoon. (dekh! mainne tere saamne ek darvaza khol rakha hai+ jise koi band nahin kar sakta.) main yah bhi jaanta hoon ki tere paas thodi shakti hai aur toone meri aagyayen maani hain aur mere naam se inkar nahin kiya hai.
9 dekh! jo shaitan ke dal* ke hain aur khud ko yahoodi kehte hain magar hain nahin+ balki jhooth bolte hain, main unhein tere paas laaunga aur woh tere pairon par jhukeinge. main unhein ehsas dilaunga ki main tujhse pyar karta hoon.
10 toone mere dheeraj dharne ke baare mein jo suna hai uske mutabik tu chala hai,*+ isliye main pareeksha ki us ghadi mein tujhe sambhale rahoonga+ jo saare jagat par aanevali hai, jisse ki dharti par rehnevalon ki pareeksha ho.
11 main bahot jald aa raha hoon.+ jo tere paas hai use mazbooti se thaame reh taaki koi bhi tujhse tera taaj na chheen le.+
12 jo jeet haasil karta hai, use main apne parmeshvar ke mandir mein ek khambha banaunga aur woh fir kabhi is mandir se baahar nahin jaayega. aur main us par apne parmeshvar ka naam aur apne parmeshvar ki nagri, nayi yarooshalem+ ka naam likhoonga+ jo mere parmeshvar ke paas se swarg se utarti hai aur us par apna naya naam bhi likhoonga.+
13 kaan lagakar suno ki pavitra shakti mandliyon se kya kehti hai.’
14 laudeekiya ki mandli+ ke doot ko yah likh: woh jo aameen hai,+ vishvasyogya aur sachcha+ sakshi hai+ aur parmeshvar ki banayi srishti ki shurooat hai,+ woh kehta hai,
15 ‘main tere kaam jaanta hoon ki tu na to thanda hai na garam. kaash! tu ya to thanda hota ya fir garam.
16 tu gunguna hai, tu na thanda+ hai na garam,+ isliye main tujhe apne munh se ugalne jaa raha hoon.
17 tu kehta hai, “main ameer hoon+ aur mainne bahot daulat haasil ki hai aur mujhe kisi cheez ki zaroorat nahin,” magar tu nahin jaanta ki tu kitna laachar, behal, gareeb, andha aur nanga hai.
18 isliye main tujhe salah deta hoon ki tu mujhse woh sona khareed le jise aag mein tapakar shuddh kiya gaya hai taaki tu ameer bane. aur tu pehnne ke liye mujhse safed poshak bhi khareed le taaki log tera nangapan na dekhein+ aur tu sharminda na ho aur apni aankhon mein lagane ke liye surma bhi khareed le+ taaki tu dekh sake.+
19 main jinse lagav rakhta hoon un sabko fatkaarta aur sudhaarta hoon.+ isliye josheela ban aur pashchatap kar.+
20 dekh! main darvaze par khada khatkhata raha hoon. agar koi meri aavaz sunkar darvaza kholta hai, to main uske ghar ke andar jaaunga aur uske saath shaam ka khaana khaaunga aur woh mere saath khaayega.
21 jo jeet haasil karta hai+ use main apne saath apni raajgaddi par baithne ki ijazat doonga,+ theek jaise mere jeet haasil karne par main apne pita ke saath uski raajgaddi par baitha tha.+
22 kaan lagakar suno ki pavitra shakti mandliyon se kya kehti hai.’”
kai footnote
^ ya “use yaad rakh.”
^ shaa., “kuch naam.”
^ shaa., “sabha-ghar.”
^ ya shaayad, “toone meri misal par chalkar dheeraj dhara hai.”