yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 6:1-17
6 fir mainne dekha ki us memne+ ne saat muharon mein se ek muhar kholi+ aur mainne chaar jeevit praniyon+ mein se ek ko garjan jaisi aavaz mein kehte suna, “aa!”
2 aur dekho mainne kya dekha! ek safed ghoda+ aur uske savaar ke paas ek dhanush tha. aur use ek taaj diya gaya+ aur woh jeet haasil karta hua apni jeet poori karne nikaal pada.+
3 jab usne doosri muhar kholi, to mainne doosre jeevit prani+ ko yah kehte suna, “aa!”
4 fir ek aur ghoda aaya jo aag jaise laal rang ka tha. uske savaar ko yah adhikar diya gaya ki prithvi par se shaanti utha le taaki log ek-doosre ka berahmi se katla karein. use ek badi talvar di gayi.+
5 jab usne teesri muhar kholi,+ to mainne teesre jeevit prani+ ko yah kehte suna, “aa!” aur dekho mainne kya dekha! ek kaala ghoda aur uske savaar ke haath mein ek tarazoo tha.
6 aur un chaar jeevit praniyon ke beech se mujhe kuch aisa sunayi pada jo aavaz jaisa lag raha tha, “ek kilo* gehoon ek deenar* mein+ aur teen kilo* jau ek deenar mein. aur jaitoon ke tel aur daakh-madira ko barbad mat karna.”+
7 jab usne chauthi muhar kholi, to mainne chauthe jeevit prani+ ko yah kehte suna, “aa!”
8 aur dekho mainne kya dekha! ek halke peele rang ka ghoda aur uske savaar ka naam tha maut. aur kabraa* uske bilkul peechhe-peechhe chali aa rahi thi. aur unhein prithvi ke ek-chauthai hisse par adhikar diya gaya ki woh lambee talvar se aur akaal se+ aur jaanleva mahamari se aur prithvi ke jangli jaanvaron se logon ko maar daalein.+
9 jab usne paanchvin muhar kholi, to mainne vedi ke neeche+ un logon ka khoon*+ dekha jinhein parmeshvar ke vachan par chalne aur gavahi dene ki vajah se maar daala gaya tha.+
10 aur unhonne badi zordar aavaz mein kaha, “hey saare jahan ke maalik, tu jo pavitra aur sachcha hai,+ tu kab tak dekhta rahega aur nyay nahin karega aur dharti par rehnevalon se hamare khoon ka badla nahin lega?”+
11 aur unmein se harek ko ek safed choga diya gaya.+ aur unhein thodi der aur intazar karne ke liye kaha gaya, jab tak ki unke sangi daason aur unke bhaaiyon ki ginti poori na ho jaaye jinhein bahot jald unhin ki tarah maar daala jaata.+
12 aur mainne dekha ki jab usne chhathi muhar kholi to ek bada bhookamp hua aur sooraj kaale taat* ki tarah kaala pad gaya aur poora chaand khoon ki tarah laal ho gaya.+
13 aur aakash ke taare dharti par aise gir pade jaise tez hava chalne par anjeer ke ped se kachche anjeer tootkar gir padte hain.
14 aur aakash aise gaayab ho gaya jaise kisi kharre ko lapet diya gaya ho+ aur har pahad aur har dveep ko apni-apni jagah se hata diya gaya.+
15 tab prithvi ke raja, bade-bade adhikari, senapati, daulatmand aur taakatvar log, har daas aur aazad insan, sabhi jaakaar gufaon aur pahadi chattanon mein chhip gaye.+
16 aur woh un pahadon aur chattanon se kehte rahe, “hum par gir pado aur hamein chhipa lo+ aur hamein raajgaddi par baithe+ parmeshvar aur memne+ ke krodh se bacha lo.
17 kyonki unke krodh ka bhayanak din aa gaya hai+ aur kaun unke saamne khada ho sakta hai?”+
kai footnote
^ shaa., “khoiniks.”
^ chaandi ka romi sikka jo ek din ki mazdoori ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
^ shaa., “khoiniks.”
^ shaayad bakri ke baalon se bana taat.