preshiton ke kaam 14:1-28

  • ikuniyum mein tarakki aur virodh (1-7)

  • lustra mein unhein devta samjha gaya (8-18)

  • paulus pattharon se maare jaane ke baavjood bach gaya (19, 20)

  • mandliyon ko mazboot kiya gaya (21-23)

  • seeriya ke antakiya laut gaye (24-28)

14  ab paulus aur baranbas ikuniyum mein ek-saath yahoodiyon ke sabha-ghar mein gaye aur vahaan unhonne itne badhiya dhang se baat ki ki bahot-se yahoodi aur yoonani vishvasi ban gaye.  magar jin yahoodiyon ne vishvas nahin kiya, unhonne gair-yahoodiyon ko bhadkaya aur bhaaiyon ke khilaf unke man mein kadvahat bhar di.+  isliye paulus aur baranbas ne vahaan kaafi samay bitaya. aur yahova* se mile adhikar ki vajah se woh nidar hokar uska vachan sunate rahe. parmeshvar unke haathon chamatkar aur aashcharya ke kaam karvata raha taaki saabit ho ki parmeshvar ki maha-kripa ka jo sandesh woh suna rahe hain, woh usi ki taraf se hai.+  magar shehar ke logon mein fut pad gayi aur kuch yahoodiyon ki taraf ho gaye, to kuch preshiton ki taraf.  gair-yahoodi aur yahoodi apne adhikariyon ke saath milkar paulus aur baranbas ko beizzat karne aur unhein pattharon se maar daalne ki koshish karne lage.+  magar paulus aur baranbas ko iski khabar mil gayi, isliye woh vahaan se bhaag gaye aur lukauniya ke lustra aur dirbe shehar mein aur aas-paas ke ilakon mein chale gaye.+  vahaan woh khushkhabri ka ailan karte chale.  lustra mein ek aadmi tha jo paanvon se laachar tha. woh janm se hi langda tha aur kabhi nahin chala tha.  yah aadmi paulus ki baatein dhyan se sun raha tha. paulus ne use gaur se dekha aur jaan gaya ki us aadmi mein vishvas hai aur use yakeen bhi hai ki woh theek ho sakta hai.+ 10  isliye paulus ne unchi aavaz mein kaha, “apne paanvon ke bal seedha khada ho jaa.” tab woh uchhalkar khada ho gaya aur chalne laga.+ 11  jab logon ne paulus ka yah kaam dekha, to lukauniya ki bhasha mein chillane lage, “devta, insan bankar hamare beech utar aaye hain!”+ 12  woh baranbas ko zeus devta magar paulus ko hirmes devta kehne lage kyonki baat karne mein paulus hi aage tha. 13  aur shehar ke saamne jo zeus ka mandir tha, vahaan ka pujari bail aur foolon ke haar* lekar faatak ke paas aaya. woh logon ke saath milkar paulus aur baranbas ke aage bali chadhana chahta tha. 14  magar jab preshit baranbas aur preshit paulus ne is baare mein suna, to unhonne apne kapde faade aur bheed mein kood pade aur chillakar kehne lage, 15  “hey logo, tum yah sab kyon kar rahe ho? hum bhi tumhari tarah maamooli insan hain+ aur tumhein ek khushkhabri suna rahe hain taaki tum in bekar ki cheezon ko chhodkar jeevit parmeshvar ke paas aao, jisne aakash, prithvi aur samundar ko aur jo kuch unmein hai sab banaya hai.+ 16  beete samay mein usne sab raashtron ko apni-apni raah chalne diya,+ 17  fir bhi woh bhalai karta raha aur is tarah apne baare mein gavahi deta raha.+ woh tumhein aakash se barsat aur achhi paidavar ke mausam deta raha+ aur tumhein ji-bharkar khaana deta raha aur tumhare dilon ko aanand se bharta raha.”+ 18  yah sab kehne ke baad bhi woh badi mushkil se bheed ko unke aage balidan chadhane se rok paaye. 19  magar antakiya aur ikuniyum se yahoodi vahaan aa dhamke aur unhonne logon ko apni taraf kar liya.+ tab logon ne paulus ko pattharon se maara aur use mara samajhkar shehar ke baahar ghaseetkar le gaye.+ 20  magar jab chele uske chaaron taraf aa khade huye, to woh utha aur shehar mein gaya. doosre din woh baranbas ke saath dirbe chala gaya.+ 21  woh us shehar mein khushkhabri sunane aur kai chele banane ke baad lustra, ikuniyum aur antakiya laut gaye. 22  vahaan unhonne chelon ki himmat bandhayi+ aur yah kehkar unhein apna vishvas mazboot banaye rakhne ka badhava diya, “hamein bahot takaleefein jhelkar hi parmeshvar ke raaj mein daakhil hona hai.”+ 23  iske alava, unhonne har mandli mein unke liye pracheen thehraye,+ upvas rakha aur prarthna ki+ aur pracheenon ko yahova* ke haath mein saunp diya jinhein parmeshvar par poora vishvas tha. 24  fir woh pisidiya ke ilake se hote huye pamfooliya pahunche+ 25  aur pirga mein vachan sunane ke baad woh attaliya aaye. 26  vahaan se woh jahaz par chadhkar antakiya gaye. yah vahi jagah thi jahaan bhaaiyon ne unhein parmeshvar ki maha-kripa ke bharose saunpa tha. aur ab woh yah kaam poora kar chuke the.+ 27  jab woh antakiya pahunche, to unhonne mandli ko ikattha kiya aur unhein batane lage ki parmeshvar ne unke zariye kaise-kaise kaam kiye aur kis tarah usne gair-yahoodiyon ke liye vishvas apnane ka raasta khol diya hai.+ 28  aur unhonne vahaan chelon ke saath kaafi vakt bitaya.

kai footnote

ati. ka5 dekhein.
ya “foolon ke taaj.”
ati. ka5 dekhein.