preshiton ke kaam 17:1-34

  • paulus aur seelas thisslunike mein (1-9)

  • paulus aur seelas bireeya mein (10-15)

  • paulus athens mein (16-22k)

  • ariyupagus mein paulus ka bhashan (22kh-34)

17  ab woh amfipulis aur apulloniya shehron se hote huye thisslunike shehar aaye,+ jahaan yahoodiyon ka ek sabha-ghar tha.  paulus apne rivaz ke mutabik+ us sabha-ghar mein gaya aur usne teen sabt tak pavitra shastra se un yahoodiyon ke saath tark-vitark kiya+  aur woh shastra se havale de-dekar samjhata raha aur saabit karta raha ki maseeh ke liye dukh uthana+ aur mare huon mein se zinda hona zaroori tha.+ woh kehta tha, “yahi hai woh maseeh, woh yeeshu jiske baare mein main tumhein bata raha hoon.”  nateeja yah hua ki unmein se kuch vishvasi ban gaye aur paulus aur seelas ke saath ho liye.+ inke alava, parmeshvar ki upasna karnevale yoonaniyon ki ek badi bheed ne bhi vishvas kiya. inmein kai jaani-maani aurtein bhi thi.  magar yah dekhkar yahoodi jalan se bhar gaye+ aur apne saath baazar ke kuch aavara badmashon ko lekar ek dal bana liya aur shehar bhar mein hangama karne lage. unhonne yaason ke ghar par dhaava bol diya taaki paulus aur seelas ko is paagal bheed ke havale kar dein.  magar jab dhoondhne par unhein paulus aur seelas vahaan nahin mile, to unhonne yaason aur kuch aur bhaaiyon ko pakad liya aur unhein ghaseetkar nagar-adhikariyon ke paas le gaye aur chilla-chillakar kehne lage, “jin aadmiyon ne saari duniya mein uthal-puthal macha rakhi hai, woh ab yahaan bhi aa pahunche hain+  aur is yaason ne unhein apne ghar mein mehman thehraya hai. ye aadmi samraat * ke aadeshon ke khilaf bagavat karte hain aur kehte hain ki koi doosra raja hai, jiska naam yeeshu hai.”+  jab bheed ne aur nagar-adhikariyon ne yah suna to woh ghabra gaye.  nagar-adhikariyon ne yaason aur baakiyon se zamanat ke taur par bhaari rakam lekar unhein chhod diya. 10  tab bhaaiyon ne bina der kiye raaton-raat paulus aur seelas, donon ko bireeya shehar bhej diya. vahaan pahunchne par woh yahoodiyon ke sabha-ghar mein gaye. 11  bireeya ke log to thisslunike ke logon se zyada bhale aur khule vicharonvale the kyonki unhonne badi utsukta se vachan sweekar kiya. woh har din dhyan se shastra ki jaanch karte the ki jo baatein woh sun rahe hain woh sach hain ya nahin. 12  isliye unmein se kai log vishvasi ban gaye. aur kai izzatadar yoonani aadmi-aurat bhi vishvasi ban gaye. 13  magar jab thisslunike ke yahoodiyon ko pata chala ki paulus bireeya mein bhi parmeshvar ka vachan suna raha hai, to woh vahaan aa dhamke taaki janta ko bhadkayen aur hangama machayen.+ 14  tab bhaaiyon ne fauran paulus ko samundar kinare bhej diya,+ magar seelas aur timuthiyus vahin bireeya mein rahe. 15  jo bhaai paulus ko chhodne uske saath gaye woh use bahot door athens tak le gaye. paulus ne unhein vida karte vakt seelas aur timuthiyus+ ke liye yah khabar di ki woh jald-se-jald uske paas athens chale aayen. 16  jab paulus athens mein unka intazaar kar raha tha, tab usne dekha ki poora shehar moorton se bhara hua hai. yah dekhkar uska ji jalne laga. 17  isliye woh sabha-ghar mein yahoodiyon ke saath aur parmeshvar ka dar maannevale doosre logon ke saath shastra se tark-vitark karne laga. saath hi, har din baazar mein use jo bhi milta tha uske saath woh isi tarah tark-vitark karta tha. 18  magar ipikoori aur stoiki daarshanikon mein se kuch log paulus se behas karne lage. unmein se kuch kehte the, “yah bakbak karnevala aakhir kehna kya chahta hai?” doosre kehte the, “yah to koi videshi devtaon ka pracharak lagta hai.” kyonki paulus, yeeshu ke baare mein khushkhabri suna raha tha aur yah sikha raha tha ki mare huye zinda kiye jaayenge.+ 19  tab ye log use apne saath ariyupagus le gaye aur kehne lage, “kya hum jaan sakte hain ki tu yah jo nayi shiksha sikha raha hai yah kya hai? 20  kyonki tu aisi nayi baatein bata raha hai jo hamare kaanon ko ajeeb lagti hain. hum jaanna chahte hain ki in sab baaton ka kya matlab hai.” 21  darasal athens ke sabhi log aur vahaan rehnevale* videshi log apna fursat ka samay kisi aur kaam mein nahin balki kuch-na-kuch naya sunnae ya sunane mein bitate the. 22  tab paulus ariyupagus+ ke beech khada hua aur unse kehne laga, “athens ke logo, main dekh sakta hoon ki tum har baat mein doosron se badhkar devtaon ke bhakt* ho.+ 23  misal ke liye, jab main yahaan se guzar raha tha aur un cheezon par gaur kar raha tha jinki tum pooja karte ho, to mainne ek vedi dekhi jis par likha tha, ‘anjane parmeshvar ke liye.’ isliye tum anjane mein jis parmeshvar ki upasna kar rahe ho, main usi ke baare mein tumhein bata raha hoon. 24  jis parmeshvar ne poori duniya aur uski sab cheezen banayin, woh aakash aur dharti ka maalik hai+ isliye woh haath ke banaye mandiron mein nahin rehta,+ 25  na hi woh insan ke haathon apni seva karvata hai, maano use kisi cheez ki zaroorat ho+ kyonki woh khud sabko jeevan aur saansein aur sabkuch deta hai.+ 26  usne ek hi insan se+ saare raashtra banaye ki woh poori dharti par rahein+ aur unka vakt thehraya aur unke rehne ki hadein tay kin+ 27  taaki woh parmeshvar ko dhoondhein aur uski khoj karein aur vaakai use paa lein.+ sach to yah hai ki woh hammein se kisi se bhi door nahin hai. 28  kyonki usi se hamari zindagi hai aur hum chalte-firte hain aur vajood mein hain, jaisa tumhare kuch kaviyon ne bhi kaha hai, ‘hum to usi ke bachche hain.’ 29  hum parmeshvar ke bachche hain+ isliye hamein yah nahin sochna chahiye ki parmeshvar sone ya chaandi ya patthar jaisa hai, ya insan ki kalpana aur kala se gadhi gayi kisi cheez jaisa hai.+ 30  sach hai ki parmeshvar ne us vakt ko nazarandaz kiya jab logon ne anjane mein aisa kiya tha.+ magar ab woh har jagah ailan kar raha hai ki sab log pashchatap karein. 31  kyonki usne ek din tay kiya hai jab woh sachchai se saari duniya ka nyay karega+ aur iske liye usne ek aadmi ko thehraya hai. aur sab insanon ko is baat ka pakka yakeen dilane* ke liye parmeshvar ne use mare huon mein se zinda kiya hai.”+ 32  jab unhonne mare huon ke zinda hone ki baat suni, to kuch log uski khilli udane lage+ jabki doosron ne kaha, “hum is baare mein tujhse fir kabhi suneinge.” 33  tab paulus vahaan se nikaal gaya. 34  magar kuch aadmi uske saath ho liye aur vishvasi ban gaye. inmein ariyupagus ki adalat ka ek nyayi diyonisiyus aur damris naam ki ek aurat aur inke alava aur bhi log the.

kai footnote

yoonani mein “kaisar.”
ya “aanevale.”
ya “dhaarmik.”
ya “gaaranti dene.”