preshiton ke kaam 19:1-41
19 jab apullos+ kurinth mein tha tab paulus samudri tat se door, andar ke ilakon ka daura karta hua ifisus+ shehar aaya. vahaan use kuch chele mile.
2 usne unse poochha, “jab tum vishvasi bane tab kya tumne pavitra shakti paayi?”+ unhonne kaha, “hamne pavitra shakti ke baare mein kabhi nahin suna.”
3 tab paulus ne kaha, “to fir, tumne kaun-saa baptisma liya?” unhonne kaha, “yuhanna ka.”+
4 paulus ne kaha, “yuhanna ne pashchatap ka baptisma diya tha+ aur logon ko bataya tha ki uske baad jo aanevala hai,+ us par yaani yeeshu par vishvas karein.”
5 yah sunnae par unhonne prabhu yeeshu ke naam se baptisma liya.
6 aur jab paulus ne un par apne haath rakhe, to un par pavitra shakti aayi+ aur woh alag-alag bhasha bolne aur bhavishyavani karne lage.+
7 ye kareeb 12 aadmi the.
8 fir paulus teen maheene tak ifisus ke sabha-ghar mein jaa-jaakaar+ nidarta se bolta raha. woh parmeshvar ke raaj ke baare mein bhashan deta aur daleelein dekar logon ko kaayal karta tha.+
9 magar jab kuch logon ne dheeth hokar maanne se inkar kar diya aur logon ke saamne ‘prabhu ki raah’ ko badnam karne lage,+ to usne unhein chhod diya+ aur chelon ko unse alag kar liya. woh har din tarannus ke school ke sabha-bhavan mein bhashan deta tha.
10 aisa do saal tak chalta raha. isliye asia praant mein rehnevale sab logon ne, chahe woh yahoodi hon ya yoonani, prabhu ka vachan suna.
11 parmeshvar, paulus ke haathon bade-bade shaktishali kaam karvata raha.+
12 yahaan tak ki uske shareer ko chhoonevale kapde aur angochhe beemaron ke paas le jaaye jaate the+ aur unki beemariyaan door ho jaati thi aur jinmein dusht swargdoot samaye the woh unmein se baahar nikaal jaate the.+
13 magar kuch yahoodiyon ne bhi jo jagah-jagah ghoomkar dusht swargdooton ko nikaala karte the, yeeshu ka naam lekar logon mein se dusht swargdooton ko nikaalne ki koshish ki. woh kehte the, “main tumhein us yeeshu ke naam se hukm deta hoon jiska prachar paulus karta hai.”+
14 skeeva naam ke ek yahoodi pradhan yaajak ke saat beton ne bhi aisa hi karne ki koshish ki.
15 magar us dusht swargdoot ne unhein javab diya, “main yeeshu ko bhi jaanta hoon+ aur paulus ko bhi+ magar tum kaun ho?”
16 yah kehkar woh aadmi, jismein dusht swargdoot tha, un par jhapat pada aur usne ek-ek karke un saaton ko dhar dabocha aur un par is kadar haavi ho gaya ki woh nange aur zakhmi haalaat mein uske ghar se bhaage.
17 yah baat ifisus mein rehnevale yahoodiyon aur yoonaniyon, sabko pata chali aur un sab par dar chha gaya aur prabhu yeeshu ke naam ki badai hoti gayi.
18 bahot-se log jo vishvasi ban gaye the, woh aate aur khulkar maan lete the ki unhonne kya-kya bure kaam kiye aur inke baare mein saaf-saaf batate the.
19 yahaan tak ki bahot-se log jo jaadoogari ki vidya mein lage huye the, apni-apni pothiyaan le aaye aur sabke saamne unhein jala diya.+ jab unhonne hisab lagaya to unki keemat 50,000 chaandi ke tukde nikli.
20 is tarah bade shaktishali tareeke se yahova* ka vachan failta gaya aur uski jeet hoti gayi.+
21 yah sab hone ke baad, paulus ne man mein thaana ki woh makiduniya+ aur akhaya ka daura karne ke baad yarooshalem ke safar par niklega.+ usne kaha, “vahaan pahunchne ke baad mujhe rom bhi jaana hoga.”+
22 usne apni seva karnevalon mein se do bhaaiyon yaani timuthiyus+ aur irastus+ ko makiduniya bheja, magar woh khud kuch vakt ke liye asia praant mein hi ruk gaya.
23 usi dauran ifisus mein ‘prabhu ki raah’+ ko lekar bada hangama macha.+
24 vahaan demetriyus naam ka ek sunar tha jo chaandi se artimis devi ke chhote-chhote mandir banata tha aur kaareegaron ka bahot munafa karvata tha.+
25 usne in kaareegaron ko aur unke jaise doosre kaareegaron ko ikattha kiya aur unse kaha, “logo, tum achhi tarah jaante ho ki is kaarobar se hamari kitni kamai hoti hai.
26 tumne yah bhi dekha aur suna hai ki is paulus ne kis tarah na sirf ifisus mein,+ balki asia praant ke takreeban sabhi ilakon mein bhaari taadad mein logon ko kaayal kiya hai aur unhein yah kehkar doosre mat ki taraf fer diya hai ki jo haath ke banaye huye hain woh ishvar hain hi nahin.+
27 isse na sirf is baat ka khatra hai ki hamare kaarobar ki badnami hogi balki mahan devi artimis ke mandir ko tuchh samjha jaayega. aur jis devi ko asia ka saara praant aur saari duniya poojti hai, uski shaan khatm ho jaayegi.”
28 yah sunkar log aag-baboola ho uthe aur chilla-chillakar kehne lage, “ifisiyon ki devi artimis mahan hai!”
29 tab shehar mein bada hullad mach gaya aur woh sab ikatthe rangshala mein ghus gaye aur apne saath gayus aur aristarkhus+ ko ghaseetkar le gaye jo makiduniya se the aur paulus ke safri saathi the.
30 paulus to chahta tha ki woh khud bhi andar logon ke saamne jaaye, magar chelon ne use jaane nahin diya.
31 yahaan tak ki tyoharon aur khelon ke kuch prabandhakon ne, jo paulus ka bhala chahte the, use sandesh bheja aur yah binti ki ki woh rangshala mein jaane ka jokhim na uthaye.
32 bheed mein koi kuch chilla raha tha to koi kuch kyonki unmein gadbadi machi hui thi aur zyadatar logon ko to pata bhi nahin tha ki aakhir woh rangshala mein kyon jama huye hain.
33 isliye bheed mein se kuch logon ne sikandar ko aage kar diya aur yahoodiyon ne use saamne ki taraf dhakel diya. tab sikandar ne apne haath se ishara kiya aur logon ko safai deni chahi.
34 magar jab unhonne use pehchan liya ki woh ek yahoodi hai, to woh sab ek-saath chilla uthe aur do ghante tak chillate rahe, “ifisiyon ki devi artimis mahan hai!”
35 aakhir mein nagar-pramukh ne bheed ko shaant kiya aur unse kaha, “ifisus ke logo, is duniya mein aisa kaun hai jo yah na jaanta ho ki ifisiyon ka yah shehar, mahan artimis ke mandir ka aur aakash se giri moorat ka rakhvala hai?
36 in baaton ko koi jhuthla nahin sakta, isliye tum shaant raho aur jaldbazee mein koi kadam mat uthao.
37 tum aise aadmiyon ko pakad laaye ho jo na to mandiron ko lootte hain, na hamari devi ko badnam karte hain.
38 isliye agar demetriyus+ aur uske saathi kaareegaron ka kisi ke saath koi jhagda hai, to aise maamlon ke liye tay dinon par adalat lagti hai aur raajyapal bhi hain. woh vahaan jaakaar ek-doosre par ilzam lagayen.
39 lekin agar tum kuch aur chahte ho to uska faisla janta ki sabha mein kiya jaana chahiye,
40 kyonki aaj ke is maamle ko lekar hum par deshadroh ka ilzam lagne ka khatra hai. woh isliye ki hamne hullad machanevali is bheed ko jo ikattha hone diya hai, hum iski koi vajah nahin de sakte.”
41 yah kehne ke baad usne bheed ko bhej diya.