preshiton ke kaam 20:1-38

  • paulus makiduniya aur yoonan mein (1-6)

  • troas mein yutukhus zinda kiya gaya (7-12)

  • troas se meeletus tak ka safar (13-16)

  • paulus ifisus ke pracheenon se mila (17-38)

    • ghar-ghar sikhana (20)

    • ‘dene mein zyada khushi hai’ (35)

20  jab hullad tham gaya, to paulus ne chelon ko bulvaya aur unka hausla badhane ke baad unhein alvida kaha aur makiduniya ke safar par nikaal pada.  un ilakon ka daura karte vakt usne bahot-si baatein kehkar vahaan ke chelon ka hausla badhaya aur fir woh yoonan aaya.  vahaan teen maheene rehne ke baad, jab woh jahaz par seeriya ke liye ravana hone par tha, to yahoodiyon ne uske khilaf saazish rachi,+ isliye usne makiduniya se hote huye lautne ka faisla kiya.  uske saath ye sabhi log gaye: bireeya ke rehnevale purrus ka beta soptrus, thisslunike ke rehnevalon mein se aristarkhus+ aur sikundus aur dirbe ka rehnevala gayus aur timuthiyus+ aur asia praant se tukhikus+ aur trufimus.+  ye log aage nikaal gaye aur troas shehar mein hamara intazaar karne lage.  magar hum bin-khameer ki roti ke tyohar+ ke dinon ke baad filippi se samudri yaatra par nikle aur paanch din ke andar unke paas troas pahunch gaye. hamne vahaan saat din bitaye.  hafte ke pehale din jab hum khaana khaane ke liye ikattha huye, to paulus jama huye logon ko updesh dene laga. woh agle din vahaan se nikaalnevala tha isliye woh aadhi raat tak bhashan deta raha.  oopar ke jis kamre mein hum ikattha the vahaan bahot-se deeye jal rahe the.  yutukhus naam ka ek javaan, khidki par baitha hua tha. jab paulus der tak baatein karta raha, to woh ladka gehri nind so gaya aur teesri manzil se neeche gir pada. jab use uthaya gaya to woh mar chuka tha. 10  magar paulus seedhiyaan utaarkar neeche gaya aur jhukkar usse lipat gaya+ aur bhaaiyon se kaha, “shaant ho jaao kyonki yah ab zinda ho gaya hai.”+ 11  iske baad woh oopar gaya aur khaana khaane laga* aur tab tak unse baatein karta raha jab tak ki din na nikaal gaya aur fir usne unse vida li. 12  aur woh us ladke ko le gaye aur use zinda paakaar unhein itna dilasa mila ki uska bayan nahin kiya jaa sakta. 13  iske baad hum jahaz par chadhkar assus ke liye ravana ho gaye. magar paulus paidal chalkar vahaan aaya. assus mein hamein paulus ko apne saath jahaz par lena tha, jaisa usne hamse kaha tha. 14  jab paulus assus pahuncha, to hamne use apne saath jahaz par chadhaya aur mitulene gaye. 15  agle din hum vahaan se jahaz par nikle aur khiyus ke paas pahunche. fir doosre din jahaz saamus mein ruka aur agle din hum meeletus pahunche. 16  paulus ne tay kiya tha ki woh ifisus+ mein ruke bina aage badh jaayega taaki use asia praant mein aur vakt na bitana pade. woh isliye jaldi kar raha tha ki ho sake to pintekust ke tyohar ke din tak yarooshalem+ pahunch jaaye. 17  magar usne meeletus se ifisus mein sandesh bheja aur vahaan ki mandli ke pracheenon ko bulvaya. 18  jab woh uske paas aaye to usne unse kaha, “tum achhi tarah jaante ho ki jis din se mainne asia praant mein kadam rakha us din se mainne tumhare beech kis tarah jeevan bitaya.+ 19  main prabhu ka daas bankar poori namrata se+ uski seva karta raha aur yahoodiyon ki saazishon ki vajah se mainne bahot aansoo bahaye aur kai pareekshaon ka saamna kiya. 20  is dauran main tumhein aisi koi bhi baat batane se peechhe nahin hata jo tumhare faayde* ki thi, na hi tumhein sareaam aur ghar-ghar jaakaar+ sikhane+ se ruka. 21  magar mainne yahoodi aur yoonani, donon ko parmeshvar ke saamne pashchatap karne+ aur hamare prabhu yeeshu par vishvas karne ke baare mein achhi tarah gavahi di.+ 22  aur ab dekho, main pavitra shakti ke maargdarshan ke mutabik yarooshalem jaane ke liye majboor hoon, haalanki main nahin jaanta ki vahaan mujh par kya-kya beetegi. 23  main sirf itna jaanta hoon ki har shehar mein pavitra shakti ne baar-baar mujh par zahir kiya ki kaid aur museebatein meri raah tak rahe hain.+ 24  fir bhi main apni jaan ko zara bhi keemti nahin samajhta. bas itna chahta hoon ki main kisi tarah apni daud aur apni seva poori kar sakoon.+ yah seva mujhe prabhu yeeshu ne saunpi thi ki main parmeshvar ki maha-kripa ki khushkhabri ke baare mein achhi gavahi doon. 25  ab dekho! main jaanta hoon ki tum sab jinke beech mainne raaj ka prachar kiya, mera munh fir kabhi nahin dekhoge. 26  isliye aaj ke din tum is baat ke gavah ho ki main sab logon ke khoon se nirdosh hoon.+ 27  kyonki main parmeshvar ki marzee* ke baare mein tumhein saari baatein batane se peechhe nahin hata.+ 28  tum apni aur poore jhund ki chauksi karo+ jiske beech pavitra shakti ne tumhein nigrani karnevale thehraya hai+ taaki tum charvahon ki tarah parmeshvar ki mandli ki dekhbhal karo+ jise usne apne bete ke khoon se khareeda hai.+ 29  main jaanta hoon ki mere jaane ke baad atyachari bhediye tumhare beech ghus aayenge+ aur jhund ke saath komalta se pesh nahin aayenge 30  aur tumhare hi beech mein se aise aadmi uth khade honge jo chelon ko apne peechhe khinch lene ke liye tedhi-medhi baatein kaheinge.+ 31  isliye jaagte raho aur yaad rakho ki teen saal tak,+ main raat-din aansoo baha-bahakar tummein se harek ko samjhata raha. 32  aur ab main tumhein parmeshvar aur uski maha-kripa ke vachan ke havale saunpta hoon. yah vachan tumhein mazboot kar sakta hai aur sab pavitra janon ke beech virasat dila sakta hai.+ 33  mainne kisi ki chaandi ya sone ya kapde ka laalach nahin kiya.+ 34  tum khud yah baat jaante ho ki mere inhin haathon ne na sirf meri balki mere saathiyon ki zarooraton ko bhi poora kiya hai.+ 35  mainne sab baaton mein tumhein dikhaya hai ki tum bhi isi tarah mehnat karte huye+ un logon ki madad karo jo kamzor hain aur prabhu yeeshu ke ye shabd hamesha yaad rakho jo usne khud kahe the: ‘lene se zyada khushi dene mein hai.’”+ 36  yah sab kehne ke baad paulus ne un sabke saath ghutne teke aur prarthna ki. 37  tab woh sab fut-futkar rone lage aur paulus ke gale lagkar use pyar se choomne lage. 38  woh khaaskar paulus ki is baat se dukhi ho gaye the ki woh fir kabhi uska munh nahin dekh paayenge.+ iske baad woh use jahaz tak chhodne gaye.

kai footnote

shaa., “roti todi.”
ya “tumhare bhale ke liye.”
ya “ke maksad.”