preshiton ke kaam 25:1-27
25 us praant mein aane aur satta sanbhalne ke teen din baad, festus+ kaisariya se yarooshalem gaya.
2 tab pradhan yaajkon aur yahoodiyon ke khaas-khaas aadmiyon ne uske saamne paulus ke khilaf apne ilzam pesh kiye.+ woh festus se binti karne lage
3 ki woh meharbani karke paulus ko yarooshalem bheje. magar unhonne saazish ki thi ki woh chhipkar baitheinge aur raaste mein hi paulus ko maar daaleinge.+
4 magar festus ne kaha ki paulus ko kaisariya mein hi hirasat mein rakha jaaye aur main khud bahot jald vahaan jaanevala hoon.
5 usne kaha, “isliye tum logon ke jo bade adhikari hain woh mere saath chalein aur us aadmi ne agar kuch bura kiya hai, to us par ilzam lagayen.”+
6 festus yarooshalem mein aath-das din rehne ke baad kaisariya aaya aur agle din nyay-aasan par baitha. usne hukm diya ki paulus ko laaya jaaye.
7 jab paulus aaya, to jo yahoodi yarooshalem se aaye the woh use gherkar khade ho gaye aur us par kai bade-bade ilzam lagane lage jinka woh koi saboot nahin de sakte the.+
8 magar paulus ne apni safai mein kaha, “mainne kisi ke khilaf koi paap nahin kiya, na yahoodiyon ke kaanoon ke khilaf, na mandir ke khilaf aur na hi samraat ke khilaf.”+
9 festus ne yahoodiyon ko khush karne ke irade se+ paulus se kaha, “to kya tu yarooshalem jaana chahta hai taaki vahaan mere saamne in maamlon ke baare mein tera nyay kiya jaaye?”
10 magar paulus ne kaha, “main samraat ke nyay-aasan ke saamne khada hoon, mera nyay yahin kiya jaana chahiye. mainne yahoodiyon ke saath kuch bura nahin kiya, jaisa ki tujhe achhi tarah pata chal raha hai.
11 agar main vaakai apradhi hoon aur mainne maut ki saza ke laayak koi apradh kiya hai,+ to main marne se peechhe nahin hatta. lekin agar inka ek bhi ilzam sach nahin hai to koi bhi aadmi unhein khush karne ke liye mujhe unke havale nahin kar sakta. main samraat se fariyad karta hoon!”+
12 tab festus ne apne salahkaron ki sabha se mashvira karne ke baad paulus se kaha, “toone samraat * se fariyad ki hai, tu samraat ke paas jaayega.”
13 kuch din baad raja agrippa aur birneeke, festus ko mubarakbad dene ke liye usse milne kaisariya aaye.
14 woh vahaan kai din rehnevale the, isliye festus ne raja ko paulus ke mukadme ke baare mein bataya aur kaha,
“ek aadmi hai jise feliks kaid mein chhod gaya hai.
15 jab main yarooshalem mein tha to yahoodiyon ke pradhan yaajkon aur mukhiyaon ne is baare mein mujhe bataya+ aur ise saza sunane ke liye mujhse binti ki.
16 magar mainne unhein yah javab diya ki yah romi tareeka nahin ki kisi mulzim ko uske muddaiyon ke saamne laaye bagair aur use bachav mein bolne ka mauka diye bagair saza de di jaaye, sirf isliye ki muddai khush hon.+
17 isliye jab woh yahaan aaye, to main bina der kiye agle hi din nyay-aasan par baitha aur us aadmi ko laane ka hukm diya.
18 mainne socha tha ki uske muddai us par bure-bure kaamon ka ilzam lagayenge, magar jab woh khade huye to unhonne aisa kuch nahin kaha.+
19 unka jhagda bas apne ishvar ki upasna*+ aur kisi yeeshu ko lekar tha, jo mar chuka hai magar jiske baare mein paulus daava karta raha ki woh zinda hai.+
20 mujhe samajh nahin aa raha tha ki is maamle ko kaise niptaun. isliye mainne usse poochha ki kya woh yarooshalem jaana chahega taaki vahaan uska nyay kiya jaaye.+
21 magar paulus ne fariyad kee ki uska faisla mahamahim* ke haathon ho aur tab tak use vahin hirasat mein rakha jaaye.+ isliye mainne hukm diya ki jab tak main use samraat ke paas na bhejoon tab tak use vahin rakha jaaye.”
22 tab agrippa ne festus se kaha, “main khud uske munh se sunnaa chahta hoon.”+ festus ne kaha, “tu kal uski baat sun sakta hai.”
23 isliye agle din, agrippa aur birneeke badi dhoom-dhaam se darbar mein aaye aur unke saath senapati aur shehar ke jaane-maane log bhi aaye. fir festus ke hukm par paulus ko vahaan laaya gaya.
24 festus ne kaha, “hey raja agrippa aur yahaan maujood sabhi logo, tum us aadmi ko dekh rahe ho jiske khilaf poore yahoodi samaj ne yarooshalem mein aur yahaan bhi chilla-chillakar mujhse binti ki hai ki yah aadmi maar daala jaaye, yah zinda rehne ke laayak nahin hai.+
25 magar main jaan gaya hoon ki is aadmi ne aisa kuch nahin kiya hai ki ise maut ki saza di jaaye.+ isliye jab isne khud mahamahim ke paas jaane ki fariyad ki, to mainne ise vahaan bhejne ka faisla kiya.
26 magar iske baare mein mere paas apne maalik ko likhne laayak koi pukhta baat nahin hai. isliye main is aadmi ko tum sabke saamne, khaaskar raja agrippa tere saamne laaya hoon taaki adalti jaanch ke baad mujhe iske baare mein likhne ke liye kuch mile.
27 kyonki mujhe yah sahi nahin lagta ki main ek kaidi ko vahaan bhejoon to sahi, magar us par lage ilzam na bataun.”