preshiton ke kaam 3:1-26
3 patras aur yuhanna nauvein ghante* ke kareeb, prarthna ke vakt mandir jaa rahe the.
2 tabhi log ek aadmi ko laa rahe the jo janm se langda tha. woh use roz mandir ke us faatak ke paas bitha diya karte the, jiska naam sundar faatak tha taaki woh mandir mein jaanevalon se bheekh* maang sake.
3 jab usne dekha ki patras aur yuhanna mandir ke andar jaa rahe hain, to woh unse bheekh maangne laga.
4 tab patras aur yuhanna ne seedhe use dekha aur kaha, “hamari taraf dekh.”
5 isliye woh unse kuch paane ki ummeed mein unhein taakne laga.
6 magar patras ne kaha, “sona-chaandi to mere paas nahin hai magar jo mere paas hai woh tujhe de raha hoon. yeeshu maseeh naasri ke naam se main tujhse kehta hoon, khada ho aur chal-fir.”+
7 patras ne uska daayaan haath pakadkar use uthaya.+ usi ghadi us aadmi ke pair aur takhne mazboot ho gaye+
8 aur woh uchhalkar khada ho gaya+ aur chalne-firne laga. woh chalte aur uchhalte-koodte parmeshvar ki badai karta hua unke saath mandir mein gaya.
9 sab logon ne use chalte-firte aur parmeshvar ki badai karte dekha.
10 woh pehchan gaye ki yah vahi aadmi hai jo mandir ke sundar faatak ke paas baithkar bheekh maanga karta tha.+ use chalta-firta dekhkar log hairan reh gaye aur unki khushi ka thikana nahin raha.
11 jab woh aadmi patras aur yuhanna ko thaame huye tha, tab sab log daude-daude us jagah aaye, jise ‘sulaiman ka khambhonvala baramda’ kaha jaata hai.+ yah ghatna dekhkar logon ki aankhein fati-ki-fati reh gayin.
12 logon ko dekhkar patras ne unse kaha, “israel ke logo, tum yah dekhkar kyon itna taajjub kar rahe ho? tum hamein aise kyon dekh rahe ho maano hamne apni shakti se ya parmeshvar ki bhakti se ise chalne-firne ke kaabil banaya ho?
13 abraham, ishaak, yakub aur hamare purkhon ke parmeshvar+ ne apne sevak yeeshu ki mahima ki hai,+ jise tumne dushmanon ke havale kar diya tha.+ tumne peelatus ke saamne use thukra diya, jabki peelatus ne use chhodne ka faisla kiya tha.
14 haan, tumne us pavitra aur nek insan ko thukra diya aur uske badle apne liye ek kaatil ko maang liya,+
15 jabki tumne jeevan dilanevale khaas aguve ko maar daala.+ magar parmeshvar ne use mare huon mein se zinda kar diya hai aur is sachchai ke hum gavah hain.+
16 hum uske naam par vishvas karte hain aur uske naam se hi yah aadmi theek hua hai, jise tum dekh rahe ho aur jaante bhi ho. yeeshu par hamare vishvas ki vajah se hi is aadmi ko tumhare saamne poori tarah theek kiya gaya hai.
17 bhaaiyo, main jaanta hoon ki tumne jo bhi kiya anjane mein kiya,+ theek jaise tumhare dharm-adhikariyon ne kiya.+
18 magar is tarah parmeshvar ne woh baatein poori kin, jo usne saare bhavishyavaktaon se bahot pehale kehalvayi thi ki uska maseeh dukh uthayega.+
19 isliye pashchatap karo+ aur palatkar laut aao+ taaki tumhare paap mitaye jaayen+ aur yahova ki taraf se* tumhare liye taazgi ke din aayen
20 aur woh tumhare liye thehraye gaye maseeh yaani yeeshu ko bheje.
21 uska tab tak swarg mein rehna zaroori hai jab tak ki sabkuch pehale jaisa na kar diya jaaye, jiske baare mein parmeshvar ne beete zamane mein apne pavitra bhavishyavaktaon se kehalvaya tha.
22 darasal moosa ne to kaha tha, ‘tumhara parmeshvar yahova* tumhare bhaaiyon ke beech mein se tumhare liye mere jaisa ek bhavishyavakta khada karega.+ jo kuch woh tumse kahe, woh sab tum sunnaa.+
23 jo koi us bhavishyavakta ki baat nahin sunega, use logon ke beech se mita diya jaayega.’+
24 sabhi bhavishyavaktaon ne yaani shamooel se lekar jitne bhi bhavishyavakta huye, un sabne in dinon ke baare mein saaf-saaf ailan kiya tha.+
25 tum bhavishyavaktaon ke vanshaj aur us karar ke vaaris ho jo parmeshvar ne tumhare purkhon ke saath kiya tha.+ parmeshvar ne abraham se kaha tha, ‘tere vansh ke zariye dharti ke sabhi parivar aasheesh paayenge.’+
26 usne apne sevak ko thehrakar sabse pehale tumhare paas bheja+ taaki woh tummein se harek ko dusht kaam chhodne mein madad de aur aasheesh de.”