preshiton ke kaam 8:1-40

  • zulm dhaanevala shaaool (1-3)

  • saamriya mein filippus ko achhe nateeje mile (4-13)

  • patras aur yuhanna saamriya bheje gaye (14-17)

  • shamaun pavitra shakti khareedne ki koshish karta hai (18-25)

  • ithiyopiya ka khoja (26-40)

8  shaaool ne bhi stifanus ke katla mein saath diya.+ us din se yarooshalem ki mandli par bahot zulm hone lage. preshiton ko chhod baaki sabhi chele yahoodiya aur saamriya ke ilakon mein titar-bitar ho gaye.+  magar kuch bhakt jan stifanus ko dafnane le gaye aur unhonne uske liye bahot maatam manaya.  shaaool mandli ko tabah karne laga. woh ghar-ghar ghuskar aadmi-aurat sabko ghaseetkar paayenge aur unhein jail mein dalva deta tha.+  magar jo chele titar-bitar ho gaye the woh jahaan kahin gaye, vahaan vachan ki khushkhabri sunate gaye.+  filippus naam ka chela saamriya+ shehar* gaya aur vahaan maseeh ke baare mein prachar karne laga.  logon ki bheed ne filippus ki baaton par dhyan diya aur man lagakar unhein suna aur uske chamatkar dekhe.  vahaan aise bahot-se log the jinmein dusht swargdoot samaye the aur woh zor se cheekhte huye unse baahar nikaal jaate the.+ iske alava, kai log jo lakve ke maare the aur langde the woh bhi theek ho gaye.  isse poore shehar mein khushiyaan chhaa gayi.  saamriya shehar mein shamaun naam ka ek aadmi tha, jisne apni jaadoogari se logon ko hairat mein daal rakha tha. woh khud ko ek mahapurush batata tha. 10  chhote se lekar bade tak, sab us par dhyan dete the aur kehte the, “is aadmi mein parmeshvar ki shakti hai, mahashakti.” 11  usne unhein kaafi samay se apni jaadoogari se hairat mein daal rakha tha isliye woh us par dhyan dete the. 12  magar jab unhonne filippus ka yakeen kiya, jo unhein parmeshvar ke raaj ki aur yeeshu maseeh ke naam ki khushkhabri suna raha tha,+ to aadmi-aurat sabne baptisma liya.+ 13  shamaun bhi ek vishvasi ban gaya aur baptisma lene ke baad filippus+ ke saath-saath rehne laga. woh uske chamatkar aur bade-bade shaktishali kaam dekhkar dang reh jaata tha. 14  jab yarooshalem mein preshiton ne suna ki saamriya ke logon ne parmeshvar ka vachan sweekar kiya hai,+ to unhonne patras aur yuhanna ko unke paas bheja. 15  unhonne vahaan jaakaar unke liye prarthna ki ki woh pavitra shakti paayen.+ 16  kyonki tab tak unmein se kisi par bhi pavitra shakti nahin utri thi, magar unhonne prabhu yeeshu ke naam se sirf baptisma liya tha.+ 17  tab patras aur yuhanna ne un par haath rakhe+ aur woh pavitra shakti paane lage. 18  ab jab shamaun ne dekha ki preshiton ke haath rakhne se pavitra shakti milti hai, to usne unhein paisa dete huye 19  kaha, “mujhe bhi yah adhikar do ki jis kisi par main apne haath rakhoon woh pavitra shakti paaye.” 20  magar patras ne usse kaha, “teri chaandi tere sang naash ho, kyonki toone socha ki tu parmeshvar ke muft vardan ko paison se khareed sakta hai.+ 21  lekin is seva mein na tera koi saajha hai, na hissa kyonki parmeshvar ki nazar mein tera dil seedha nahin hai. 22  isliye apni yah burai chhod aur pashchatap karke yahova* se minnat kar ki ho sake to tere dil ka yah dusht vichar maaf kiya jaaye 23  kyonki main dekh sakta hoon ki tere dil mein zehar bhara hai* aur tu burai ka gulam hai.” 24  tab shamaun ne unse kaha, “meharbani karke mere liye yahova* se minnat karo ki jo baatein tumne kahi hain, unmein se koi bhi mujh par na aa pade.” 25  is tarah jab patras aur yuhanna saare ilake mein achhi tarah gavahi de chuke aur yahova* ka vachan suna chuke, to woh yarooshalem laut chale aur raaste mein saamriyon ke bahot-se gaanvon mein khushkhabri sunate gaye.+ 26  magar yahova* ke swargdoot+ ne filippus se kaha, “uth aur dakshin ki taraf us raaste par jaa jo yarooshalem se gaaza jaata hai.” (yah ek sunsan raasta hai.) 27  yah sunkar filippus utha aur nikaal pada aur use raaste mein ithiyopiya ka ek khoja* mila. yah khoja ithiyopiya ki raani kandake ke darbar mein unche pad par tha aur uske saare khazane ka adhikari tha. woh yarooshalem mein upasna karne gaya tha+ 28  aur ab laut raha tha. woh apne rath par baitha unchi aavaz mein bhavishyavakta yashayah ki kitab padh raha tha. 29  tab pavitra shakti ne filippus se kaha, “jaa, us rath ke paas jaa.” 30  filippus us rath ke saath-saath daudne laga aur usne khoje ko bhavishyavakta yashayah ki kitab padhte suna aur usse poochha, “tu jo padh raha hai, kya use samajhta bhi hai?” 31  usne kaha, “jab tak koi mujhe na samjhaye, main bhala kaise samajh sakta hoon?” fir usne filippus se binti kee ki woh rath par chadhkar uske saath baith jaaye. 32  shastra ka jo hissa woh padh raha tha woh yah tha: “woh bhed ki tarah bali hone ke liye laaya gaya. jaise memna apne oon kataarnevale ke saamne chupchap rehta hai, vaise hi usne apne munh se ek shabd nahin nikaala.+ 33  jab uska apman ho raha tha, to uske saath nyay nahin kiya gaya.+ yah kaun batayega ki woh kaun hai, kahaan se aaya hai? kyonki dharti se uska jeevan le liya gaya.”+ 34  tab khoje ne filippus se kaha, “meharbani karke mujhe bata ki bhavishyavakta yah kiske baare mein kah raha hai? apne baare mein ya kisi doosre ke baare mein?” 35  tab filippus ne bolna shuroo kiya aur shastra ke is vachan se shuroo karte huye use yeeshu ke baare mein khushkhabri sunayi. 36  jab woh sadak par jaa rahe the, to woh ek aisi jagah pahunche jahaan kaafi paani tha aur khoje ne kaha, “dekh! yahaan paani hai, ab mujhe baptisma lene mein kya rukavat hai?” 37 * 38  tab khoje ne rath rukvaya aur woh donon paani mein utre aur filippus ne use baptisma diya. 39  jab woh paani se baahar nikle, to yahova* ki pavitra shakti filippus ko vahaan se fauran kahin aur le gayi aur khoja use fir nahin dekh paaya aur woh khushi-khushi apne raaste chal diya. 40  iske baad, filippus ne khud ko ashdod mein paaya aur kaisariya+ pahunchne tak woh sabhi ilakon aur shehron mein khushkhabri sunata gaya.

kai footnote

ya shaayad, “ek shehar.”
ati. ka5 dekhein.
shaa., “tu kadva pitt hai.”
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ya “darbaari.”
ati. ka3 dekhein.
ati. ka5 dekhein.