romiyon ke naam chitthi 16:1-27

  • paulus feebe naam ki behen ke baare mein batata hai (1, 2)

  • rom ke maseehiyon ko namaskar (3-16)

  • fut daalnevalon ke baare mein chetavni (17-20)

  • paulus ke sahkarmiyon ka namaskar (21-24)

  • pavitra rehasya ab zahir hua (25-27)

16  main kinkhriya+ ki mandli mein seva karnevali hamari behen feebe ke baare mein tumhein batana chahta hoon  taaki tum prabhu mein uska vaisa hi swagat karo jaisa pavitra janon ka kiya jaana chahiye. aur agar kisi bhi kaam mein use tumhari zaroorat pade to uski madad karna+ kyonki woh khud bahoton ki aur meri bhi madadgar* saabit hui hai.  priska aur akvila+ ko jo maseeh yeeshu mein mere sahkarmi hain, mera namaskar.  unhonne meri jaan bachane ke liye khud apni jaan* jokhim mein daal di.+ aur sirf main hi nahin balki gair-yahoodi raashtron ki sabhi mandliyaan bhi unka dhanyavad karti hain.  unke ghar mein ikattha honevali mandli ko bhi namaskar.+ mere pyare ipainitus ko bhi namaskar jo maseeh ke liye asia ka pehala fal hai.  mariyam ko namaskar jisne tumhare liye bahot mehnat ki hai.  mere rishtedar andruneekus aur yooniyas ko namaskar,+ jo mere saath kaid mein the aur jinka preshiton ke beech bada naam hai aur jo mujhse bhi pehale se maseeh ke chele hain.*  prabhu mein mere pyare ampali-yaatus ko mera namaskar.  maseeh mein hamare sahkarmi urbanus aur mere pyare istakhus ko namaskar. 10  apilles ko mera namaskar, jis par maseeh ki manzoori hai. aristu-bulus ke gharane ko mera namaskar. 11  mere rishtedar herodiyon ko mera namaskar. narkissus ke gharane ke jo log prabhu mein hain, unko mera namaskar. 12  prabhu mein kadi mehnat karnevali troofaina aur troofosa ko mera namaskar. hamari pyari pirsis ko mera namaskar, jisne prabhu mein kadi mehnat ki hai. 13  prabhu mein chune huye roofus ko aur uski maa ko mera namaskar, jo meri bhi maa jaisi hai. 14  asukritus, filgon, hirmes, patrubas, hirmas aur unke saath ke bhaaiyon ko mera namaskar. 15  filu-lugus aur yooliya, neryus aur uski behen aur ulumpas aur unke saath ke sabhi pavitra janon ko mera namaskar. 16  pavitra chumban se ek-doosre ko namaskar karo. maseeh ki saari mandliyaan tumhein namaskar bhejti hain. 17  bhaaiyo, ab main tumse guzarish karta hoon ki jo log us shiksha ke khilaf jo tumne paayi hai, mandli mein fut daalte hain aur kisi ke liye vishvas ki raah chhod dene ki vajah* bante hain, un par nazar rakho aur unse door raho.+ 18  kyonki is tarah ke aadmi hamare prabhu maseeh ke daas nahin hain, balki apni bhookh mitane* mein lage rehte hain aur woh apni chikni-chupdi baaton aur taareefon se seedhe-saade logon ke dilon ko behka dete hain. 19  sab log jaan gaye hain ki tum kitne aagyakari ho, isliye main tumhari vajah se khushi manata hoon. lekin main chahta hoon ki tum achhi baaton ke maamle mein buddhiman bano, magar buri baaton ke maamle mein anjan raho.+ 20  shaanti denevala parmeshvar bahot jald shaitan ko tumhare pairon tale kuchal dega.+ hamare prabhu yeeshu ki maha-kripa tum par bani rahe. 21  mera sahkarmi timuthiyus aur mere rishtedar lookiyus, yaason aur sosipatrus ka tumhein namaskar.+ 22  main tirtiyus bhi, jisne yah chitthi likhi hai, prabhu mein tumhein namaskar kehta hoon. 23  gayus+ jo mera aur saari mandli ka mezban hai, tumhein namaskar kehta hai. irastus jo shehar ka khajanchi* hai aur uske bhaai kvaratus ka tumhein namaskar. 24 * 25  main jo khushkhabri sunata hoon aur yeeshu maseeh ke baare mein prachar karta hoon uske zariye parmeshvar tumhein mazboot kar sakta hai. yah khushkhabri us pavitra rehasya+ ke mutabik hai jiska khulasa kiya gaya hai. is pavitra rehasya ko purane zamane se raaz rakha gaya tha, 26  magar ab ise zahir kiya jaa raha hai. sada kaayam rehnevale parmeshvar ke aadesh ke mutabik yah rehasya, shastra mein likhi bhavishyavaniyon ke zariye sab raashtron ko bataya jaa raha hai taaki woh bhi vishvas karein aur aagya maanein. 27  yeeshu maseeh ke zariye us ekmatra buddhiman parmeshvar+ ki sada mahima hoti rahe. aameen.

kai footnote

ya “pairvi karnevali.”
shaa., “apni gardan.”
shaa., “ke saath ekta mein hain.”
shaa., “thokar ki vajah.”
ya “pet bharne.”
ya “prabandhak.”
ati. ka3 dekhein.