romiyon ke naam chitthi 6:1-23
6 to ab hum kya kahein? kya hum paap karte rahein taaki aur bhi zyada maha-kripa paayen?
2 hargiz nahin! jab hum paap ke liye mar chuke,+ to fir aage hum usmein kaise jeete reh sakte hain?+
3 ya kya tum nahin jaante ki hum sabhi ne, jinhonne maseeh yeeshu mein baptisma paaya hai,+ uski maut mein bhi baptisma paaya hai?+
4 isliye uski maut mein baptisma paane se hum bhi uske saath dafan kiye gaye+ taaki jaise pita ki mahima se bhari shakti se maseeh ko mare huon mein se zinda kiya gaya, vaise hi hum bhi ek naya jeevan jeeyen.+
5 jab hum uske jaisi maut markar uske saath ek huye hain,+ to uski tarah zinda hokar bhi uske saath ek honge.+
6 kyonki hum jaante hain ki hamari purani shakhsiyat uske saath kaath par thonk di gayi+ taaki hamare paapi shareer ka hum par adhikar khatm ho jaaye+ aur ab se hum paap ke daas na rahein.+
7 isliye ki jo mar chuka hai, woh apne paap se chhoot* gaya hai.
8 yahi nahin, agar hum maseeh ke saath mar chuke hain, to hamein yakeen hai ki hum uske saath jeeyenge bhi.
9 isliye ki hum jaante hain ki maseeh, jise mare huon mein se zinda kiya gaya hai dobara nahin marega,+ ab maut ka us par koi adhikar nahin.
10 isliye ki maseeh jo maut mara, woh paap ko mitane ke liye tha aur woh ek hi baar mara+ taaki dobara na marna pade. lekin woh jo jeevan jeeta hai woh parmeshvar ke liye jeeta hai.
11 isi tarah tum bhi yah samjho ki tum paap ke liye to mar gaye ho, magar maseeh yeeshu ke zariye parmeshvar ke liye ji rahe ho.+
12 isliye tum paap ko apne nashvar shareer mein raja bankar raaj mat karne do+ aur shareer ki ichhaon ke gulam bankar uski mat maano.
13 na hi apne shareer* ko burai ke hathiyar banne ke liye paap ke havale karte raho. iske bajay mare huon mein se zinda kiye gaye logon ke naate khud ko parmeshvar ko saunp do, saath hi apne shareer* ko neki ke hathiyar banne ke liye parmeshvar ke havale kar do.+
14 ab paap tumhara maalik na ho kyonki tum kaanoon ke adheen nahin+ balki maha-kripa ke adheen ho.+
15 to ab hum kya kahein? kya hum is vajah se paap karein ki hum kaanoon ke adheen nahin balki maha-kripa ke adheen hain?+ hargiz nahin!
16 kya tum nahin jaante ki agar tum kisi ki aagya maanne ke liye khud ko gulamon ki tarah uske havale karte ho, to usi ke gulam ban jaate ho?+ fir chahe paap ke gulam+ jisse maut milti hai,+ ya aagya maanne ke gulam jisse nek thehraya jaata hai.
17 magar parmeshvar ka dhanyavad ho ki tum jo kabhi paap ke gulam the, ab dil se us shiksha ke aagyakari bane jiske saanche ke havale tumhein kiya gaya tha.
18 haan, tumhein paap se aazad kiya gaya tha,+ isliye tum neki ke daas bane.+
19 main aasan shabdon mein tumse baat kar raha hoon, kyonki tumhare andar insani kamzori hai. jaise ek vakt par tumne apne angon ko ashuddh aur dusht kaamon ka gulam bana liya tha taaki dushtata karo, usi tarah ab tum apne angon ko neki ke daas bana do taaki tum pavitra kaam karo.+
20 kyonki jab tum paap ke gulam the, to neki ke bandhanon se aazad the.
21 to fir us vakt tum kaise fal paida karte the? tum aise kaam karte the jinke baare mein sochkar aaj tumhein sharm aati hai. aise kaamon se ant mein maut milti hai.+
22 magar ab tum paap se aazad kiye gaye ho aur parmeshvar ke daas ban gaye ho. isliye tum pavitrata ke fal paida kar rahe ho+ jisse ant mein hamesha ki zindagi milti hai.+
23 kyonki paap jo mazdoori deta hai woh maut hai,+ magar parmeshvar jo tohfa deta hai woh hamare prabhu maseeh yeeshu ke zariye hamesha ki zindagi hai.+