root 1:1-22
1 yah us samay ki baat hai jab israel mein nyayi+ shaasan* karte the. un dinon vahaan akaal pada. yahooda ke betlehem+ se ek aadmi apni patni aur do beton ko lekar, moab ke ilake+ ke liye ravana hua ki vahaan pardesi bankar rahe.
2 us aadmi ka naam eleemelek* tha aur uski patni ka naam naaomi.* uske beton ke naam the mahlon* aur kilyon.* woh eprata yaani yahooda ke betlehem ke rehnevale the. woh sab moab pahunche aur vahin rehne lage.
3 kuch samay baad naaomi ke pati eleemelek ki maut ho gayi aur naaomi apne do beton ke saath akeli reh gayi.
4 aage chalkar uske beton ne moabee ladkiyon se shaadi ki. ek ka naam tha orpa aur doosri ka root.+ woh sab moab mein kareeb das saal rahe.
5 fir naaomi ke donon beton, mahlon aur kilyon ki bhi maut ho gayi. ab naaomi ka na to pati raha na hi bete.
6 moab mein usne suna ki yahova ne ek baar fir apne logon par dhyan diya hai aur unhein khaane ke liye roti di hai. isliye naaomi apni bahuon ke saath vaapas apne desh ke liye nikaal padi.
7 usne woh jagah chhod di jahaan woh apni donon bahuon ke saath rehti thi. jab woh yahooda laut rahe the to raaste mein
8 naaomi ne apni bahuon se kaha, “apne-apne maayke laut jaao. jaise tumne mere aur mere beton ke liye jo ab nahin rahe, apne atal pyar ka saboot diya hai, vaise hi yahova tumhein apne atal pyar ka saboot de.+
9 yahova se meri yahi binti hai ki tum donon ka ghar dobara bas jaaye aur tum apne-apne pati ke ghar sukoon paao.”+ fir naaomi ne apni bahuon ko chooma aur woh fut-futkar rone lagin.
10 woh baar-baar kehti rahin, “hum tujhe chhodkar nahin jaayenge. hum tere saath tere logon ke paas chaleinge.”
11 lekin naaomi ne kaha, “nahin meri bachchiyo, laut jaao. mere saath aakaar tumhein kya milega? kya tumhein lagta hai, main ab bhi bete paida kar sakti hoon jinse tum shaadi karogi?+
12 laut jaao meri bachchiyo, laut jaao. main shaadi karne ke liye bahot boodhi ho chuki hoon. agar aaj raat meri shaadi ho bhi jaati hai aur mere bete bhi hote hain,
13 to kya tum unke bade hone ka intazar karti rahogi? kya tab tak tum dobara shaadi nahin karogi? mere saath yah sab isliye hua kyonki yahova ka haath mere khilaf utha hai.+ magar is vajah se tumhein jo dukh jhelna pad raha hai, woh mujhse dekha nahin jaata.”
14 woh fir fut-futkar rone lagin. iske baad orpa ne apni saas ko chooma aur woh chali gayi. magar root ne naaomi ka saath nahin chhoda.
15 naaomi ne kaha, “dekh, teri devrani apne logon aur apne devtaon ke paas laut gayi hai. tu bhi uske saath chali jaa.”
16 lekin root ne kaha, “mujhe vaapas jaane ke liye mat keh, apne saath aane se mat rok. kyonki jahaan tu jaayegi, vahaan main bhi jaaungi. aur jahaan tu raat guzaregi, vahin main bhi raat guzaroongi. tere log mere log honge aur tera parmeshvar mera parmeshvar hoga.+
17 jahaan tu maregi vahaan main bhi maroongi aur dafnayi jaaungi. sirf maut hi mujhe tujhse alag kar sakti hai. agar kisi aur vajah se main tujhse alag hui, to yahova mujhe kadi-se-kadi saza de.”
18 root ka pakka irada dekhkar naaomi ne fir usse kuch na kaha.
19 woh donon chalte gaye aur betlehem pahunche.+ jaise hi unhonne betlehem mein kadam rakha, saare shehar mein halchal mach gayi. aurtein kehne lagin, “kya yah naaomi hai?”
20 naaomi ne un aurton se kaha, “mujhe naaomi* nahin, maara* kaho. kyonki sarvashaktiman parmeshvar ke hote meri zindagi dukhon se bhar gayi hai.+
21 main yahaan se bhari-poori gayi thi, lekin yahova ne mujhe khaali haath lautaya hai. jab yahova hi mere khilaf ho gaya aur sarvashaktiman ne hi mujh par museebatein aane di,+ to tum mujhe naaomi kyon bulati ho?”
22 is tarah naaomi moab ke ilake+ se apni moabee bahoo root ke saath vaapas betlehem laut aayi. us vakt betlehem mein jau ki katai shuroo ho gayi thi.+
kai footnote
^ shaa., “nyay.”
^ matlab “mera parmeshvar raja hai.”
^ matlab “mere man ko bhaanevali.”
^ yah shaayad ek ibrani shabd se nikala hai, jiska matlab hai, “kamzor padna; beemar padna.”
^ matlab “jo kamzor hai; khatm hone par hai.”
^ matlab “mere man ko bhaanevali.”
^ matlab “kadva.”