sabhopdeshak 10:1-20

  • zara-si bevkoofi se samajhdar ka naam kharab (1)

  • kaam na jaanna khatarnak hai (2-11)

  • moorkh ki durdasha (12-15)

  • shaaskon ki moorkhta (16-20)

    • koi chidiya teri baat dohra de (20)

10  jaise mari hui makkhiyaan khushboodar tel* ko sada deti hain, badboodar bana deti hain, vaise hi zara-si bevkoofi ek izzatdar aur samajhdar insan ka naam kharab kar deti hai.+  buddhiman ka dil use sahi raah par le chalta hai, lekin moorkh ka dil use buri raah par le jaata hai.+  moorkh chahe jo bhi raah le, usmein samajh hi nahin hoti+ aur woh sabko jata deta hai ki woh moorkh hai.+  agar kabhi raja ka gussa tujh par bhadke, to apni jagah mat chhodna+ kyonki shaant rehne se bade-bade paap roke jaa sakte hain.+  duniya mein* mainne yah hote dekha jo bade dukh ki baat hai aur is tarah ki galti adhikar rakhnevale karte hain: +  moorkh ko unchi-unchi padvi di jaati hai jabki kaabil* insan chhote ohde par hi reh jaata hai.  mainne dekha hai ki naukar ghode par savaar hote hain jabki haakim naukar-chaakron ki tarah paidal chalte hain.+  jo gaddha khodta hai woh gaddhe mein gir sakta hai+ aur jo patthar ki deevar todta hai use saanp das sakta hai.  jo khadan mein patthar kaatta hai use patthar se chot lag sakti hai aur jo lakdi cheerta hai use lakdi se chot lag sakti hai.* 10  agar kulhadi ki dhaar ghis chuki hai aur use tez na kiya jaaye, to chalanevale ko bahot zor lagana padega. magar buddhi se kaam lene par kaamyabi milti hai. 11  saanp ko vash mein karne se pehale agar woh sapere ko kaat le, to sapera* hone ka kya faayda? 12  buddhiman ki baatein man moh leti hain,+ magar moorkh ke honth use barbad kar dete hain.+ 13  moorkh moorkhta ki baaton se shurooat karta hai+ aur paagalpan ki baaton se ant karta hai, jisse museebat khadi ho jaati hai. 14  fir bhi woh bolne se baaz nahin aata.+ insan nahin jaanta ki aage kya hoga aur kaun use bata sakta hai ki uske jaane ke baad kya hoga?+ 15  moorkh ki mehnat use thaka deti hai kyonki use yah tak nahin pata ki shehar jaane ka raasta kaun-saa hai. 16  us desh ka kya hoga jiska raja ek ladka hi hai+ aur jiske haakim subah se daavtein udate hain! 17  magar us desh ka kitna bhala hoga jiska raja shaahi gharane se hai. aur jiske haakim samay par khaate-peete hain, woh bhi dhutt hone ke liye nahin balki taakat paane ke liye.+ 18  bahot aalas karne se chhat dhansti jaati hai aur haath-par-haath dhare baithe rehne se ghar choone lagta hai.+ 19  roti* chehre par hansi le aati hai aur daakh-madira zindagi mein ras bhar deti hai.+ magar paisa har zaroorat poori kar sakta hai.+ 20  apne man mein* bhi raja ko mat kosna*+ aur na apne kamre mein jab tu akela ho, kisi daulatmand ko kosna. kya pata koi chidiya woh baat un tak pahuncha de ya koi udnevala jeev unke saamne teri baat dohra de.

kai footnote

shaa., “itra bananevale ke tel.”
shaa., “sooraj ke neeche.”
shaa., “ameer.”
ya shaayad, “use saavdhani baratni chahiye.”
shaa., “mantra padhnevala.”
ya “khaana.”
ya shaayad, “apne bistar par.”
ya “ko shaap mat dena.”