sapanyah 1:1-18
1 yahova ka sandesh sapanyah* ke paas pahuncha jo kooshi ka beta tha, kooshi gadalyah ka, gadalyah amaryah ka aur amaryah hijkiyah ka beta tha. yahooda ke raja yoshiyah ke dinon mein,+ jo aamon+ ka beta tha, sapanyah ko yah sandesh mila:
2 yahova ailan karta hai, “main dharti par se har cheez ka safaya kar doonga.”+
3 “main insan aur jaanvar ka safaya kar doonga.
aakash ke panchhiyon aur samundar ki machhliyon ka safaya kar doonga,+thokar khilanevali baadhaon*+ aur dushton ko mita doonga,main dharti se sabhi insanon ko naash kar doonga.” yahova ka yah ailan hai.
4 “main yahooda ke khilaf auryarooshalem ke sabhi nivasiyon ke khilaf apna haath badhaunga,main is jagah se baal ki har nishani mita doonga,+paraye devtaon ke pujariyon ke saath-saath yaajkon ke naam mita doonga,+
5 main un sabko mita doonga jo chhat par aakash ki senaon ko dandvat karte hain,+jo yahova ko dandvat karne aur uske vafadar rehne ki shapath khaane+ ke saath-saathmalkam ke vafadar rehne ki bhi shapath khaate hain,+
6 jo yahova ke peechhe chalna chhod dete hain+aur na yahova ki khoj karte hain na hi uski marzee poochhte hain.”+
7 saare jahan ke maalik yahova ke saamne chup raho kyonki yahova ka din kareeb hai.+
yahova ne ek balidan taiyar kiya hai, usne mehmanon ko taiyar kiya hai.
8 “jis din main yahova balidan chadhaunga us din main haakimon se,raja ke beton se aur un sabse hisab maangoonga+ jo videshi kapde pehante hain.
9 us din main un sabhi se hisab maangoonga jo manch* par chadhte hain,apne maalik ka ghar hinsa aur dhokhadhadi se bhar dete hain.”
10 yahova ailan karta hai, “us din machhli faatak+ se hohalla sunayi dega,shahar ke naye hisse+ se rone-peetne ki aavazen aayengiaur pahadiyon se zordar dhamaka sunayi dega.
11 maktesh* ke nivasiyo, zor-zor se ro-okyonki saare vyapari* maare gaye,chaandi taulnevale sabhi naash ho gaye.
12 us samay main deeye lekar yarooshalem ka kona-kona chhaan maaroonga,main unse hisab maangoonga jo befikra rehte hain* aur apne dil mein kehte hain,‘yahova na bhala karega na bura.’+
13 unki daulat loot li jaayegi aur unke ghar tahas-nahas kar diye jaayenge.+
woh ghar banayenge magar unmein nahin reh paayenge,angooron ke baag lagayenge magar unki daakh-madira nahin pi paayenge.+
14 yahova ka mahan din kareeb hai!+
woh kareeb hai aur badi tezee se nazdeek aa raha hai!+
yahova ke din ke aane ki aavaz bhayanak hai.+
us din soorma dukh ke maare chillata hai.+
15 woh din jaljalahat ka din hai,+museebaton aur chintaon ka din,+aandhi aur tabahi ka din,ghor andhkar ka din,+kaale ghane baadalon ka din,+
16 kileband shahron aur kone ki unchi meenaron ke khilaf+narsinga foonkne aur yuddh ka ailan karne ka din hai.+
17 main sabhi insanon par vipatti laaungaaur woh andhon ki tarah chaleinge,+kyonki unhonne yahova ke khilaf paap kiya hai.+
unka khoon dhool ki tarahaur unki laashein gobar ki tarah padi raheingi.+
18 yahova ki jaljalahat ke din unke sone-chaandi se unka bachav nahin hoga,+uske krodh ki aag se poori dharti bhasm ho jaayegi,+kyonki woh dharti ke sab nivasiyon ka safaya kar dega, vaakai, bhayanak tareeke se safaya kar dega.”+
kai footnote
^ matlab “yahova ne chhipaya (ya sanjoye rakha) hai.”
^ zahir hai, moortipooja se judi cheezen ya kaam.
^ ya “dehleez.” shaayad yah raja ki raajgaddi ka manch tha.
^ ya “saudagar.”
^ zahir hai, yarooshalem ka ek hissa jo machhli faatak ke paas tha.
^ shaa., “daakh-madira ke talchhat ki tarah baithe huye hain.”