sapanyah 2:1-15
2 hey besharm raashtra,+ apne logon ko ikattha kar,haan, unhein ikattha kar.+
2 isse pehle ki farman laagoo kiya jaaye,woh din aise beet jaaye jaise bhoosi udayi jaati hai,isse pehle ki yahova ke krodh ki aag tum par barse,+yahova ke krodh ka din tum par aaye,
3 dharti ke sab deen* logo, yahova ki khoj karo,+tum jo uske nek aadeshon* ka paalan karte ho.
neki ki khoj karo, deenta* ki khoj karo.
mumkin hai* yahova ke krodh ke din tumhari hifazat ki jaayegi.*+
4 kyonki gaaza nagri sunsan ho jaayegiaur ashkalon ujaad di jaayegi.+
ashdod ko bhari dopahari mein khaded diya jaayegaaur ekron jad se ukhaad di jaayegi.+
5 “un logon ka bahot bura hoga jo samundar kinare rehte hain, jo kareti jaati ke hain!+
yahova ne tumhein saza sunayi hai.
hey palishtiyon ke desh kanaan, main tujhe naash kar doonga,tere yahaan ek bhi nivasi nahin bachega.
6 samundar kinare ka ilaka charagah ban jaayega,jahaan charvahon ke liye kuyen aur bhedon ke liye patthar ke baade honge.
7 woh ilaka yahooda ke gharane ke bache huye logon ka ho jaayega,+woh vahaan khaayenge.
ashkalon ke gharon mein woh shaam ko leteinge.
kyonki unka parmeshvar yahova un par dhyan dega*aur unke logon ko ikattha karke bandhuai se vaapas laayega.”+
8 “moab ne mere logon ko jis tarah badnam kiya hai,+ammoniyon ne jis tarah apman kiya hai woh mainne suna hai,+unhonne mere logon par taane kase aur ghamand se bharkar unka ilaka hadapne ki dhamki di.”+
9 senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova ailan karta hai,“isliye main apne jeevan ki shapath khaakar kehta hoon,moab sadom jaisa ho jaayega,+ammoni log amora jaise ho jaayenge,+unka ilaka bichhoo-booti aur namak ka pradesh ban jaayega aur hamesha ke liye ujaad pada rahega.+
meri praja ke bache huye log unhein loot leinge,mere raashtra ke bache huye log unhein vahaan se bhaga deinge.
10 unhein ghamand karne+ ka yahi sila milega,kyonki unhonne senaon ke parmeshvar yahova ke logon par taane kase aur unse khud ko uncha uthaya tha.
11 yahova unke liye khaufnak saabit hoga,kyonki woh dharti ke sabhi devtaon ko bekar kar dega*aur raashtron ke sabhi dveep use dandvat* kareinge,+apni-apni jagah se dandvat kareinge.
12 tum ithiyopiya ke log bhi meri talvar se maare jaaoge.+
13 woh apna haath uttar ki taraf badhayega aur ashshoor ka naash kar dega,neenve ko ujaad dega,+ registan jaisa sookha bana dega.
14 vahaan har tarah ke jangli jaanvaron* ke jhund raha kareinge.
raat mein havasil aur saahi uske khambhon ke kangooron par basera kareinge.
khidki se kisi ke gaane ki aavaz aayegi.
dehleez par tabahi hogi, woh devdar ke takhte ukhaad dega.
15 yah vahi ghamandi nagri hai jo mehfooz baitha karti thi,jo dil mein kehti thi, ‘main hi sabse pehli hoon, koi meri barabari nahin kar sakta.’
ab dekho, uska aisa hashra hua hai ki dekhnevalon ka dil dehal jaata hai,woh jangli jaanvaron ka adda ban gayi hai!
uske paas se guzarnevala har koi mazak udate huye seeti bajayega aur mutthi hilayega.”+
kai footnote
^ ya “namra.”
^ shaa., “uske faislon.”
^ ya “namrata.”
^ ya “ho sakta hai.”
^ ya “tum yahova ke krodh ke din chhipaye jaaoge.”
^ ya “unki dekhbhal karega.”
^ ya “kamzor kar dega.”
^ ya “uski upasna.”
^ shaa., “ek raashtra ke har jaanvar.”