sapanyah 3:1-20
3 us bagavti, dooshit, zulmi nagri ke saath bura hoga!+
2 usne aagya nahin maani,+ shiksha sweekar nahin ki.+
usne yahova par bharosa nahin rakha,+ woh apne parmeshvar ke kareeb nahin gayi.+
3 uske haakim garajte sher hain.+
uske nyayi raat mein shikar karte bhediye hain,woh subah chabane ke liye ek haddi tak nahin chhodte.
4 uske bhavishyavakta gustakh hain, dagabaz hain.+
uske yaajak pavitra cheezon ko dooshit karte hain,+ kaanoon todte hain.+
5 uske beech nivas karnevala yahova nek hai,+ woh kuch galat nahin karta.
jaise bhor ka hona tay hai vaise hi woh har subah apna nyay-siddhaant batata hai.+
magar bure logon mein sharm naam ki cheez nahin.+
6 “mainne raashtron ko naash kar diya, unke kone ki meenarein ujaad di gayin.
mainne unki galiyaan naash kar di, vahaan se koi nahin guzarta.
unke shahar khandhar bana diye gaye, vahaan koi nahin bacha, ek bhi nivasi nahin.+
7 mainne us nagri se kaha, ‘tu mera dar maan aur shiksha* sweekar kar’+
taaki uska nivas naash na ho jaaye+—main in sabhi kaamon ke liye usse zaroor hisab maangoonga.*
magar woh bure kaam karne ke liye bahot hi utavle the.+
8 yahova ailan karta hai, ‘tum log us din tak mera intazar karo,*+jis din main loot ka maal lene ke liye uthoonga,*kyonki mera faisla hai ki raashtron ko ikattha kiya jaaye, raajyon ko jama kiya jaayetaaki un par apni jaljalahat aur saara krodh undel doon,+kyonki mere gusse ki aag se poori dharti bhasm ho jaayegi.+
9 tab main desh-desh ke logon ko ek shuddh bhasha sikhaungataaki woh sab yahova ka naam pukarein,kandhe-se-kandha milakar uski seva karein.’*+
10 mere titar-bitar huye log, jo mujhse minnat karte hain,ithiyopiya ki nadiyon ke ilake se mere liye ek tohfa lekar aayenge.+
11 toone mujhse bagavat karke jitne kaam kiye hain,unki vajah se us din tujhe sharminda nahin hona padega,+kyonki tab main tere beech se ghamandiyon ko nikaal doonga jo dingein maarte hainaur tu fir kabhi mere pavitra pahad par ghamandi nahin hogi.+
12 main tere beech namra aur deen logon ko rehne doonga,+woh yahova ke naam mein panah leinge.
13 israel ke bache huye log+ bure kaam nahin kareinge,+jhooth nahin boleinge, na unki jeebh chhal ki baatein karegi.woh khaayenge-peeyenge* aur aaram kareinge, unhein koi nahin darayega.”+
14 hey siyyon ki beti, khushi se jayjaykaar kar!
hey israel, jeet ke naare laga!+
hey yarooshalem ki beti, poore dil se khushiyaan mana aur magan ho!+
15 yahova ne teri saza maaf kar di hai.+
tere dushman ko door kar diya hai.+
israel ka raja yahova tere beech hai.+
ab tujhe fir kabhi vipatti ka dar nahin hoga.+
16 us din yarooshalem se kaha jaayega,“hey siyyon, mat dar.+
tere haath dheele na padein.
17 tera parmeshvar yahova tere beech hai.+
ek veer yoddha ki tarah woh tujhe bachayega.
woh teri vajah se bahot khush hoga.+
tujhse pyar karne ki vajah se woh shaant* rahega.
woh tujhe dekhkar khushi se chillayega.
18 main un sabko ikattha karoonga jo tere tyoharon mein na aane ki vajah se dukhi hain,+woh isliye nahin aa paate the kyonki woh bandhuai mein apman sah rahe the.+
19 dekh! us samay main un sabke khilaf kadam uthaunga jo tujhe satate hain,+main use bachaunga jo langda raha hai,+unhein ikattha karoonga jo titar-bitar ho gaye hain.+
jin deshon mein unhein sharminda hona pada tha,vahaan main unki taareef karaunga, unhein mashhoor kar doonga.
20 us samay main tum logon ko vaapas laaunga,us samay tum sabko ikattha karoonga.
jab main tumhari aankhon ke saamne tumhare logon ko bandhuai se vaapas laaunga,tab main dharti ke sab deshon mein tumhein mashhoor kar doonga, tumhari taareef karaunga.”+ yah baat yahova ne kahi hai.+
kai footnote
^ ya “sudhar ke liye di gayi salah.”
^ ya “use saza doonga.”
^ ya “sabra se intazar karo.”
^ ya shaayad, “main gavah ki tarah uthoonga.”
^ ya “ekta se uski upasna karein.”
^ ya “chareinge.”
^ ya “chup; befikra; santusht.”