titus ke naam chitthi 2:1-15

  • javanon aur buzurgon ke liye achhi salah (1-15)

    • bhaktiheen kaamon ko thukrao (12)

    • badhiya kaamon ke liye josh (14)

2  magar tu vahi baatein batata reh jo khari* shiksha ke mutabik hain.+  buzurg aadmi har baat mein sanyam baratnevale hon, gambheer hon, sahi soch rakhte hon, unka vishvas mazboot ho, woh pyar se bharpoor hon aur dheeraj dharnevale hon.  isi tarah, buzurg aurton ka bartav aisa ho jaisa pavitra logon ko shobha deta hai. woh badnam karnevali na hon, bahot zyada daakh-madira peene ki aadi na hon balki achhi baatein sikhanevali hon  taaki woh javan aurton ko salah dein* ki woh apne pati aur bachchon se pyar karein,  sahi soch rakhein, saaf charitra banaye rakhein. saath hi woh apne ghar ka kaam-kaaj* karnevali, bhali aur apne pati ke adheen rehnevali hon+ taaki parmeshvar ke vachan ki badnami na ho.  isi tarah javan bhaaiyon ko badhava deta reh ki woh sahi soch rakhein.+  aur tu khud bhi sab baaton mein badhiya kaam karne ki misal rakh. poori gambheerta se aisi baatein sikha jo shuddh hain*+  aur achhi* baatein bata jinmein koi dosh na nikaal sake+ taaki hamare virodhi sharminda hon aur unhein hamare khilaf kuch bura kehne ka mauka na mile.+  jo daas hain woh sab baaton mein apne maalikon ke adheen rahein,+ unhein khush karein, palatkar javab na dein, 10  unka kuch na churayen+ balki poori tarah bharosemand rahein taaki woh har tarah se hamare uddharkarta parmeshvar ki shiksha ki shobha badha sakein.+ 11  parmeshvar ki maha-kripa zahir ki gayi hai jo sab kism ke logon ko uddhaar dilati hai.+ 12  yah hamein sikhati hai ki hum bhaktiheen kaamon aur duniyavi ichhaon ko thukrayen+ aur is duniya* mein sahi soch rakhte huye aur neki aur parmeshvar ki bhakti ke saath jeevan bitayen.+ 13  aur us vakt ka intazar karte rahein jab hamari woh aasha poori hogi+ jo hamein khushi deti hai aur mahan parmeshvar aur hamare uddharkarta maseeh yeeshu ki mahima prakat hogi. 14  maseeh ne khud ko hamare liye de diya+ taaki hamein har tarah ki burai se chhudaye*+ aur shuddh karke hamein aise log bana le jo uski khaas jaageer hon aur badhiya kaamon ke liye josheele hon.+ 15  tu unhein ye saari baatein batata reh, unhein samjhata* reh aur poore adhikar ke saath unka sudhaar karta reh.+ koi bhi tujhe neecha na dekhe.

kai footnote

ya “swasthyakar; faaydemand.”
ya “ke hosh thikane laayen; sikhayen.”
ya “ghar ki dekhbhal.”
ya shaayad, “shuddhta se sikha.”
ya “swasthyakar; faaydemand.”
ya “duniya ki vyavastha.” shabdavli dekhein.
shaa., “hamare liye firauti de.”
ya “unka hausla badhata.”