titus ke naam chitthi 3:1-15

  • sahi adheenta (1-3)

  • bhale kaamon ke liye taiyar raho (4-8)

  • moorkhta se bhare vaad-vivadon aur guton ko thukrao (9-11)

  • apni taraf se kuch hidaytein aur namaskar (12-15)

3  unhein yaad dilata reh ki sarkaron aur adhikariyon ke adheen rahein aur unki aagya maanein,+ har achhe kaam ke liye taiyar rahein,  kisi ke baare mein bhi badnam karnevali baatein na kahein, jhagdaloo na hon, lihaz karnevale hon+ aur sab logon ke saath poori komalta se pesh aayen.+  isliye ki ek vakt tha jab hum bhi moorkh the, aagya nahin maante the, gumrah the, tarah-tarah ki ichhaon ke gulam the aur aisho-aaram mein doobe rehte the, burai mein lage rehte the, irshya karte the, ghinaune the aur ek-doosre se nafrat karte the.  magar jab hamare uddharkarta parmeshvar ki kripa+ aur sab insanon ke liye uska pyar zahir hua  (isliye nahin ki hamne nek kaam kiye the+ balki yah uski daya thi),+ to usne hamein paani* ke zariye jeevan dekar+ aur pavitra shakti ke zariye naya banakar hamara uddhaar kiya.+  usne yah pavitra shakti hamare uddharkarta yeeshu maseeh ke zariye hum par bahotayat mein* undeli hai+  taaki uski maha-kripa ke zariye hum nek thehraye jaayen+ aur iske baad hamesha ki zindagi ki aasha ke mutabik+ vaaris banein.+  ye baatein bharose ke laayak hain aur main chahta hoon ki tu in baaton par zor deta reh taaki jinhonne parmeshvar par yakeen kiya hai woh apna dhyan badhiya kaam karne mein lagaye rakhein. ye baatein logon ke liye badhiya aur faaydemand hain.  magar moorkhta se bhare vaad-vivadon aur vanshavaliyon se aur kaanoon par behas aur jhagdon se door reh kyonki inse koi faayda nahin hota aur ye bekar hain.+ 10  agar koi aadmi kisi gut ko badhava deta hai,+ to use pehali aur doosri baar samjha*+ aur iske baad usse sangati karna chhod de,+ 11  yah jaante huye ki aisa aadmi sahi raah se hat gaya hai aur paap kar raha hai aur usne khud ko doshi thehraya hai. 12  jab main artimas ya tukhikus+ ko tere paas bhejoon, to tu neekupulis mein mere paas aane ki poori koshish karna kyonki mainne sardiyaan vahin bitane ka faisla kiya hai. 13  zenas ko, jo kaanoon ka jaankar hai aur apullos ko woh saari cheezen dena jo unke safar ke liye zaroori hain taaki unhein koi kami na ho.+ 14  hamare log bhi badhiya kaamon mein lage rehna seekhein taaki museebat ke vakt madad kar sakein+ aur nikamme* na banein.+ 15  jo log mere saath hain woh sab tujhe namaskar kah rahe hain. un logon ko mera namaskar kehna jo vishvas mein hamse gehra lagav rakhte hain. parmeshvar ki maha-kripa tum sab par bani rahe.

kai footnote

shaa., “snan.”
ya “udarta se.”
ya “chetavni de.”
shaa., “nishfal.”