utpatti 1:1-31

  • aakash aur prithvi ki srishti (1, 2)

  • chche din mein prithvi taiyar (3-31)

    • pehala din: ujala; din-raat (3-5)

    • doosra din: khuli jagah (6-8)

    • teesra din: zameen; ped-paudhe (9-13)

    • chautha din: aasman mein jyotiyaan (14-19)

    • paanchvaan din: machhliyaan aur pakshi (20-23)

    • chhatha din: jaanvar aur insan (24-31)

1  shurooat mein parmeshvar ne aakash* aur prithvi ki srishti ki.+  prithvi bedaul aur sooni* thi. gehre paani* ki satah+ par andhera tha aur parmeshvar ki zordar shakti*+ paani ki satah+ ke oopar yahaan se vahaan ghoomti hui kaam kar rahi thi.  parmeshvar ne kaha, “ujala ho jaaye” aur ujala ho gaya.+  iske baad parmeshvar ne dekha ki ujala achha hai aur parmeshvar ujale ko andhere se alag karne laga.  parmeshvar ne ujale ko din kaha aur andhere ko raat.+ fir shaam hui aur subah hui. is tarah pehala din poora hua.  fir parmeshvar ne kaha, “paani oopar aur neeche ki taraf, do hisson mein bat jaaye aur beech mein khuli jagah* ban jaaye+ jo oopar ke hisse ko neeche ke hisse se alag kare.”+  fir parmeshvar ne paani ko oopar aur neeche ki taraf do hisson mein baant diya aur beech mein khuli jagah banayi.+ aur vaisa hi ho gaya.  parmeshvar ne us khuli jagah ko aasman kaha. fir shaam hui aur subah hui. is tarah doosra din poora hua.  fir parmeshvar ne kaha, “aakash ke neeche ka saara paani ek jagah ikattha ho jaaye aur sookhi zameen dikhayi de.”+ aur vaisa hi ho gaya. 10  parmeshvar ne sookhi zameen ko dharti kaha,+ magar jo paani ikattha hua tha use samundar* kaha.+ aur parmeshvar ne dekha ki yah achha hai.+ 11  fir parmeshvar ne kaha, “dharti par ghaas, beejvale paudhe aur aise faldar ped jinke falon mein beej bhi hon, apni-apni jaati ke mutabik ugein.” aur vaisa hi ho gaya. 12  dharti se ghaas, beejvale paudhe+ aur faldar ped, jinke falon mein beej hote hain apni-apni jaati ke mutabik ugne lage. tab parmeshvar ne dekha ki yah achha hai. 13  fir shaam hui aur subah hui. is tarah teesra din poora hua. 14  fir parmeshvar ne kaha, “aasman mein raushni denevali jyotiyaan+ chamkein jo din ko raat se alag karein.+ in jyotiyon ki madad se din, saal aur mausam ka pata lagaya jaayega.+ 15  ye jyotiyaan khule aasman mein raushni dene ka kaam kareingi jisse dharti ko raushni milegi.” aur vaisa hi ho gaya. 16  parmeshvar ne do badi jyotiyaan banayin. jo jyoti zyada badi thi, use din par adhikar diya+ aur chhoti jyoti ko raat par adhikar diya. parmeshvar ne taare bhi banaye.+ 17  is tarah parmeshvar ne unhein khule aasman mein tainat kiya taaki dharti ko raushni mile, 18  din aur raat par inka adhikar ho aur ujale ko andhere se alag karein.+ tab parmeshvar ne dekha ki yah achha hai. 19  fir shaam hui aur subah hui. is tarah chautha din poora hua. 20  fir parmeshvar ne kaha, “paani jeev-jantuon* ke jhundon se bhar jaaye aur udnevale jeev dharti ke oopar faile aasman mein udein.”+ 21  aur parmeshvar ne samundar mein rehnevale bade-bade jantuon aur tairnevale doosre jantuon ko unki apni-apni jaati ke mutabik sirja jo paani mein jhund banakar rehte hain. usne panchhiyon aur keet-patangon ko unki apni-apni jaati ke mutabik sirja. aur parmeshvar ne dekha ki yah achha hai. 22  parmeshvar ne unhein yah aasheesh di, “foolo-falo, ginti mein badh jaao aur samundar ko bhar do+ aur udnevale jeevon ki ginti prithvi par bahot badh jaaye.” 23  fir shaam hui aur subah hui. is tarah paanchvaan din poora hua. 24  fir parmeshvar ne kaha, “zameen par apni-apni jaati ke mutabik jeev-jantu hon, paaltoo jaanvar, reingnevale jantu* aur jangli jaanvar hon.”+ aur vaisa hi ho gaya. 25  parmeshvar ne dharti ke jangli jaanvaron, paaltoo jaanvaron aur zameen par reingnevale sab jantuon ko unki apni-apni jaati ke mutabik banaya. aur parmeshvar ne dekha ki yah achha hai. 26  fir parmeshvar ne kaha, “aao hum+ insan ko apni chhavi mein,+ apne jaisa banayen.+ aur woh samundar ki machhliyon, aasman ke panchhiyon, paaltoo jaanvaron aur zameen par reingnevale sabhi jantuon par aur saari dharti par adhikar rakhein.”+ 27  parmeshvar ne apni chhavi mein insan ki srishti ki, haan, usne apni hi chhavi mein insan ki srishti ki. usne unhein nar aur naari banaya.+ 28  fir parmeshvar ne unhein aasheesh di aur unse kaha, “foolo-falo aur ginti mein badh jaao, dharti ko aabad karo+ aur is par adhikar rakho.+ samundar ki machhliyon, aasman mein udnevale jeevon aur zameen par chalne-firnevale sab jeev-jantuon par adhikar rakho.”+ 29  fir parmeshvar ne unse kaha, “dekho, main tumhein dharti ke sabhi beejvale paudhe aur aise sabhi ped deta hoon, jin par beejvale fal lagte hain. ye tumhare khaane ke liye hon.+ 30  aur main dharti ke sabhi jangli jaanvaron, aasman mein udnevale sabhi jeevon aur baaki sabhi jeev-jantuon ko, jinmein jeevan hai, khaane ke liye hari ghaas aur ped-paudhe deta hoon.”+ aur vaisa hi ho gaya. 31  iske baad parmeshvar ne woh sab dekha jo usne banaya tha. vaah! sabkuch bahot badhiya tha.+ fir shaam hui aur subah hui. is tarah chhatha din poora hua.

kai footnote

yaani vishva-mandal jismein taare, grah, aakash-gangayen vagairah shaamil hain.
ya “khaali.”
ya “ufante paani.”
ya “parmeshvar ki pavitra shakti.”
yaani vaayumandal.
yahaan samundar ka matlab mahasagaron ke alava nadi-naale, jheel vagairah bhi ho sakta hai.
shabdavli mein “jeevan” dekhein.
zahir hai ki inmein saanp, chhipkalee jaise jantu aur aise jantu bhi shaamil hain jo aayat mein bataye baaki jaanvaron se alag hain.