utpatti 11:1-32
11 un dinon prithvi par rehnevale sab logon ki ek hi bhasha thi aur woh sab ek hi tarah ke shabdon ka istemal karte the.
2 fir aisa hua ki woh safar karte-karte poorab ki taraf gaye aur jab unhonne shinar+ mein ghaati ka ek maidan dekha to woh vahaan rehne lage.
3 fir unhonne ek-doosre se kaha, “aao hum intein banakar unhein aag mein pakayen.” isliye unhonne pattharon ke badle inton ka istemal kiya aur taarkol ka istemal gaare ki tarah kiya.
4 aur unhonne kaha, “aao hum apne liye ek shehar banayen aur itni unchi ek meenar banayen ki uski choti aasman se baatein kare. isse hamara bahot naam hoga aur hamein poori dharti par bikharna bhi nahin padega.”+
5 tab yahova ne us shehar aur meenar par dhyan diya* jise log bana rahe the.
6 yahova ne kaha, “dekho! ye sabhi ekjut hain aur inki bhasha ek hai.+ ab to woh jo bhi karne ki socheinge use karna unke liye naamumkin nahin hoga.
7 isliye aao, hum+ neeche jaakaar inki bhasha mein gadbadi paida kar dein taaki woh ek-doosre ki baat samajh na sakein.”
8 isliye yahova ne unhein vahaan se poori dharti par titar-bitar kar diya+ aur unhonne dheere-dheere shehar banane ka kaam chhod diya.
9 isi vajah se us shehar ka naam baabel*+ pada kyonki yahova ne vahin par sab logon ki bhasha mein gadbadi daali thi. aur yahova ne unhein vahaan se poori dharti par titar-bitar kar diya.
10 yah shem+ ke baare mein byaura hai.
jalpralay ke do saal baad shem ka ek beta hua jiska naam arpakshad tha.+ us vakt shem 100 saal ka tha.
11 arpakshad ke paida hone ke baad shem 500 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye.+
12 jab arpakshad 35 saal ka hua to uska beta shelah+ paida hua.
13 shelah ke paida hone ke baad arpakshad 403 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye.
14 jab shelah 30 saal ka hua to uska beta eber+ paida hua.
15 eber ke paida hone ke baad shelah 403 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye.
16 jab eber 34 saal ka hua to uska beta peleg paida hua.+
17 peleg ke paida hone ke baad eber 430 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye.
18 jab peleg 30 saal ka hua to uska beta raoo+ paida hua.
19 raoo ke paida hone ke baad peleg 209 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye.
20 jab raoo 32 saal ka hua to uska beta saroog paida hua.
21 saroog ke paida hone ke baad raoo 207 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye.
22 jab saroog 30 saal ka hua to uska beta naahor paida hua.
23 naahor ke paida hone ke baad saroog 200 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye.
24 jab naahor 29 saal ka hua to uska beta tirah+ paida hua.
25 tirah ke paida hone ke baad naahor 119 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye.
26 jab tirah 70 saal ka hua to uske baad uske bete abram,+ naahor+ aur haaran paida huye.
27 yah hai tirah ke baare mein byaura.
tirah ke bete the abram, naahor aur haaran. haaran ka beta tha loot.+
28 haaran ka janm kasdi logon+ ke oor shehar+ mein hua tha aur uski maut bhi vahin par hui thi. haaran ki maut ke vakt uska pita tirah zinda tha.
29 abram aur uske bhaai naahor ne shaadi ki. abram ki patni ka naam saarai+ tha aur naahor ki patni ka naam milka+ tha jo haaran ki beti thi. haaran ki ek aur beti thi, yiska.
30 saarai ka koi bachcha nahin tha, woh baanjh thi.+
31 baad mein tirah ne kasdiyon ka oor shehar chhod diya aur woh apne parivar ko lekar kanaan desh+ ke liye nikaal pada. uske saath uska beta abram, uski bahoo saarai aur uska pota loot bhi tha+ jo haaran ka beta tha. kuch samay baad woh haaran naam ki jagah+ pahunche aur vahaan rehne lage.
32 tirah kul milakar 205 saal jeeya aur haaran mein uski maut ho gayi.