utpatti 16:1-16

  • haajira aur ishmael (1-16)

16  abram ki patni saarai ke ab tak koi bachcha nahin hua tha.+ saarai ki ek misri daasi thi jiska naam haajira+ tha.  saarai ne abram se kaha, “dekh, yahova ne meri kokh band kar rakhi hai. isliye meri binti hai ki tu meri daasi le le. ho sakta hai uske bachcha hone se meri sooni god bhar jaaye.”+ abram ne saarai ki baat maan li.  ab tak abram ko kanaan desh mein rehte das saal ho gaye the. saarai ne use apni misri daasi haajira di taaki woh uski patni bane.  tab abram ne haajira ke saath sambandh rakhe aur woh garbhvati hui. jab haajira ko pata chala ki woh pet se hai, to woh apni maalkin ko neecha dikhane lagi.  is par saarai ne abram se kaha, “mere saath jo bura salook kiya jaa raha hai, uske liye tu zimmedar hai. mainne hi apni daasi tujhe di thi. magar jab se use pata chala ki woh garbhvati hai, woh mujhe neecha dikhane lagi hai. ab yahova hi mere aur tere beech nyay kare.”  abram ne saarai se kaha, “dekh, tu uski maalkin hai. tujhe uske saath jo sahi lage vahi kar.” tab saarai apni daasi ko neecha dikhane lagi aur woh daasi uske yahaan se bhaag gayi.  baad mein yahova ke swargdoot ne veerane mein, shoor+ jaanevale raaste par ek sote ke paas haajira ko paaya.  swargdoot ne usse poochha, “saarai ki daasi haajira, tu kahaan se aayi hai aur kahaan jaa rahi hai?” haajira ne kaha, “main apni maalkin saarai ke yahaan se bhaag aayi hoon.”  yahova ke swargdoot ne usse kaha, “tu apni maalkin ke paas laut jaa aur namra hokar uske adheen reh.” 10  yahova ke swargdoot ne usse yah bhi kaha, “main tere vansh* ko itna badhaunga ki koi uski ginti nahin kar paayega.”+ 11  yahova ke swargdoot ne usse yah bhi kaha, “tu jo garbhvati hai, tu ek bete ko janm degi. tu uska naam ishmael* rakhna kyonki yahova ne teri dard-bhari pukar suni hai. 12  jab woh bada hoga to uski fitrat jangli gadhe* jaisi hogi. uska haath sabke khilaf uthega aur sabka haath uske khilaf. aur woh apne sab bhaaiyon ke saamne basera karega.”* 13  fir haajira ne yahova ka naam pukara, jo usse baat kar raha tha aur kaha, “tu aisa parmeshvar hai jo sabkuch dekhta hai,”*+ kyonki usne kaha, “yahaan mainne sachmuch use dekha hai jiski nazar mujh par hai.” 14  iseeliye us kuyen ka naam ber-lahai-roi* pada. (yah kuaan kaadesh aur bered ke beech hai.) 15  haajira ne abram ke bete ko janm diya aur abram ne uska naam ishmael rakha.+ 16  jab haajira se ishmael paida hua tab abram 86 saal ka tha.

kai footnote

shaa., “beej.”
matlab “parmeshvar sunta hai.”
ya “ek gorkhar,” jo ek kism ka jangli gadha hai. magar kuch logon ka maanna hai ki yahaan zebra ki baat ki gayi hai. shaayad yah jaanvar manmani karne ke ravaiye ko darshata hai.
ya shaayad, “apne sab bhaaiyon se dushmani karega.”
ya “jo mujhe dekhta hai” ya “jo prakat hota hai.”
matlab “uska kuaan jo jeevit hai aur mujhe dekhta hai.”