utpatti 21:1-34

  • ishaak ka janm (1-7)

  • ishmael ne uski khilli udayi (8, 9)

  • haajira aur ishmael bhej diye gaye (10-21)

  • abeemelek ke saath abraham ka karar (22-34)

21  yahova ne saara par dhyan diya, theek jaise usne kaha tha aur yahova ne saara ki khaatir vahi kiya jiska usne vaada kiya tha.+  isliye saara garbhvati hui+ aur usne thehraye samay par abraham ke budhape mein use ek beta diya, theek jaise parmeshvar ne vaada kiya tha.+  abraham ne apne is bete ka naam ishaak rakha jise saara ne janm diya.+  ishaak jab aath din ka hua to abraham ne uska khatna kiya, theek jaise parmeshvar ne use aagya di thi.+  ishaak ke janm ke vakt abraham 100 saal ka tha.  saara ne kaha, “parmeshvar ne mujhe hanste-muskurate jeene ki vajah di hai. ab mere baare mein jo koi sunega, uske chehre par bhi hansi khil uthegi.”*  usne yah bhi kaha, “kisi ne kabhi abraham se nahin kaha hoga ki ek din saara zaroor bachche khilayegi! magar dekho, aaj mainne abraham ko uske budhape mein ek beta diya hai.”  bachcha bada hone laga. jab uska doodh chhudane ka din aaya to abraham ne ek badi daavat rakhi.  saara gaur karti rahi ki uski misri daasi haajira ka ladka,+ jo use abraham se hua tha, ishaak ki khilli uda raha tha.+ 10  isliye usne abraham se kaha, “is daasi aur iske ladke ko ghar se nikaal de kyonki iska ladka mere bete ishaak ke saath vaaris kabhi nahin banega!”+ 11  magar saara ki yah baat abraham ko bahot buri lagi kyonki woh bhi uska beta tha.+ 12  tab parmeshvar ne abraham se kaha, “saara teri daasi aur us ladke ke baare mein jo keh rahi hai, usse tujhe bura nahin lagna chahiye. saara ki baat maan, kyonki tujhse jis vansh* ka vaada kiya gaya hai woh ishaak se aayega.+ 13  aur jahaan tak teri daasi ke ladke+ ki baat hai, usse bhi main ek jaati banaunga+ kyonki woh tera beta hai.” 14  isliye abraham subah-subah utha aur usne roti aur paani se bhari ek mashak li. usne ye cheezen haajira ke kandhe par rakhkar use aur ladke ko ghar se bhej diya.+ haajira apne ladke ko lekar nikaal padi aur bersheba+ ke paas veerane mein bhatakti firi. 15  kuch samay baad jab mashak ka saara paani khatm ho gaya, to haajira ne apne ladke ko ek jhaadi ke neeche chhod diya. 16  fir woh kuch door, teer ke tappe-bhar ki doori par jaakaar baith gayi kyonki usne kaha, “main apne bete ko marte huye nahin dekh sakti.” woh vahin baithi fut-futkar rone lagi. 17  tab parmeshvar ne uske ladke ki pukar suni+ aur swarg se parmeshvar ke ek swargdoot ne haajira ko aavaz dekar kaha,+ “kya hua haajira, tu kyon ro rahi hai? mat dar. tera beta jo vahaan hai uski pukar parmeshvar ne suni hai. 18  ab uth, jaakaar apne ladke ko utha aur use sahara de kyonki main usse ek badi jaati banaunga.”+ 19  tab parmeshvar ne haajira ko ek kuaan dikhaya aur woh jaakaar apni mashak mein paani bhar laayi aur usne ladke ko pilaya. 20  us ladke+ par parmeshvar ka saaya bana raha. woh bada hokar teerandaz bana aur usne apni zindagi veerane mein bitayi. 21  woh paaran veerane+ mein rehta tha. uski maa ne ek misri ladki se uski shaadi karvayi. 22  unhin dinon abeemelek apne senapati peekol ke saath abraham se mila aur usse kaha, “hamne dekha hai ki parmeshvar har kaam mein tera saath deta hai.+ 23  ab tu yahaan mere saamne parmeshvar ki shapath khaakaar keh ki jaise aaj tak main tere saath kripa* se pesh aaya hoon vaise tu bhi mere saath aur mere desh ke logon ke saath kripa se pesh aayega jinke beech tu rehta hai.+ vaada kar ki tu yah shapath kabhi nahin todega aur mere saath ya mere bachchon aur meri aanevali peedhiyon ke saath chhal nahin karega.” 24  abraham ne kaha, “haan, main shapath khaata hoon.” 25  fir abraham ne apne kuyen ke baare mein abeemelek se shikayat ki jis par abeemelek ke daason ne zabardasti kabza kar liya tha.+ 26  abeemelek ne usse kaha, “sach kehta hoon, mujhe to pata hi nahin yah sab kisne kiya. aaj tak mujhe kisi ne nahin bataya, toone bhi nahin.” 27  tab abraham ne abeemelek ko kuch bhedein aur gaay-bail diye aur un donon ne aapas mein ek karar kiya. 28  abraham ne jhund mein se saat maada memnon ko alag kiya. 29  tab abeemelek ne abraham se poochha, “toone ye saat memne alag kyon kiye?” 30  abraham ne kaha, “tu ye saat memne mere haath se kabool kar taaki ye is baat ka saboot thehrein ki yah kuaan mainne khudvaya hai.” 31  abraham ne us jagah ka naam bersheba* rakha+ kyonki vahaan un donon ne shapath khaayi thi. 32  is tarah unhonne bersheba mein ek karar kiya.+ iske baad abeemelek aur uska senapati peekol, donon palishtiyon ke desh+ laut gaye. 33  fir abraham ne bersheba mein ek jhaaoo ka ped lagaya aur vahaan yahova ka naam pukara+ jo yug-yug ka parmeshvar hai.+ 34  abraham ek lambe samay* tak palishtiyon ke desh mein raha.*+

kai footnote

ya shaayad, “woh mujh par hansega.”
shaa., “beej.”
ya “atal pyar.”
matlab “shapath ka kuaan; saat ka kuaan.”
shaa., “kai dinon.”
ya “pardesi ki tarah raha.”