utpatti 22:1-24

  • ishaak ki bali karne ke liye kaha gaya (1-19)

    • abraham ke vansh ke zariye aasheesh (15-18)

  • ribka ka parivar (20-24)

22  iske baad sachche parmeshvar ne abraham ko parkha.+ usne abraham ko pukara, “abraham!” abraham ne javab diya, “haan, prabhu.”  parmeshvar ne kaha, “kya tu meri ek baat maanega? apne iklaute bete ishaak+ ko le jisse tu behad pyar karta hai+ aur safar karke moriya desh+ jaa. vahaan ek pahad par, jo main tujhe bataunga, ishaak ki hom-bali chadha.”  abraham subah-subah utha aur usne apne gadhe par kaathi kasi. usne apne bete ishaak ke saath-saath do sevkon ko liya. abraham ne hom-bali ke liye lakdiyaan cheerin aur fir woh sab us jagah ke liye nikaal pade jo sachche parmeshvar ne use batayi thi.  safar ke teesre din abraham ko door se woh jagah dikhne lagi jahaan use jaana tha.  tab usne apne sevkon se kaha, “tum donon yahin gadhe ke paas ruko, main aur ladka vahaan jaakaar parmeshvar ki upasna karke aate hain.”  abraham ne hom-bali ki lakdiyaan lin aur apne bete ishaak ke kandhe par rakhin. fir abraham ne aag aur chhura liya aur woh donon saath chalte gaye.  raaste mein ishaak ne apne pita se kaha, “hey mere pita!” abraham bola, “haan, beta!” ishaak ne kaha, “aag aur lakdi to hum le aaye hain, magar hom-bali ke liye bhed kahaan hai?”  abraham ne kaha, “bete, hom-bali ke liye bhed+ ka intazam parmeshvar khud karega.” aur woh donon saath chalte gaye.  chalte-chalte woh us jagah pahunche jo sachche parmeshvar ne abraham ko batayi thi. vahaan abraham ne ek vedi banayi aur us par lakdiyaan bichhayin. fir usne apne bete ishaak ke haath-pair baandh diye aur use lakdiyon par lita diya.+ 10  fir abraham ne apne bete ko maarne ke liye haath badhakar chhura uthaya.+ 11  magar tabhi swarg se yahova ke swargdoot ne use aavaz di, “abraham, abraham!” tab abraham bola, “haan, prabhu!” 12  swargdoot ne usse kaha, “ladke ko mat maar, use kuch mat kar. ab main jaan gaya hoon ki tu sachmuch parmeshvar ka dar maannevala insan hai, kyonki tu apne iklaute bete tak ko mujhe dene se peechhe nahin hata.”+ 13  fir abraham ne dekha ki kuch hi doori par ek medha hai, jiske sing ghani jhaadiyon mein fanse huye hain. abraham us medhe ko pakad laaya aur usne apne bete ki jagah uski hom-bali chadhayi. 14  abraham ne us jagah ka naam yahova-yire* rakha. isliye aaj bhi yah kaha jaata hai: “yahova ke pahad par intazam ho jaayega.”+ 15  yahova ke swargdoot ne doosri baar swarg se abraham ko aavaz di 16  aur kaha, “yahova kehta hai, ‘tu apne bete ko, apne iklaute bete ko bhi dene se peechhe nahin hata.+ tere is kaam ki vajah se main apni shapath khaakaar kehta hoon+ 17  ki main tujhe zaroor aasheesh doonga aur tere vansh* ko itna badhaunga ki woh aasman ke taaron aur samundar kinare ki baaloo ke kinkon jaisa anginat ho jaayega.+ aur tera vansh* apne dushmanon ke shehron* ko apne adhikar mein kar lega.+ 18  aur tere vansh*+ ke zariye dharti ki sabhi jaatiyaan aasheesh paayengi,* kyonki toone meri aagya maani hai.’”+ 19  iske baad abraham apne sevkon ke paas aaya aur fir woh sab bersheba+ laut gaye. aur abraham bersheba mein hi raha. 20  kuch samay baad abraham ko yah khabar mili: “tere bhaai naahor ko bhi uski patni milka se bete huye hain.+ 21  pehalautha ooz hai, fir uska bhaai booj, uske baad kamooel jiska beta araam hai, 22  fir kesed, hazo, pildash, yidlap aur batooel.”+ 23  batooel hi ribka+ ka pita tha. ye aath ladke abraham ke bhaai naahor ko uski patni milka se huye. 24  naahor ko uski up-patni roomah se bhi bete huye. woh the tebah, geham, tahash aur maaka.

kai footnote

matlab “yahova intazam karega; yahova is baat ka dhyan rakhega.”
shaa., “faatak.”
shaa., “beej.”
shaa., “beej.”
shaa., “beej.”
iska yah matlab ho sakta hai ki aasheesh paane ke liye unhein bhi kuch kadam uthane honge.