utpatti 24:1-67

  • ishaak ke liye patni dhoondhna (1-58)

  • ribka, ishaak se milne gayi (59-67)

24  abraham boodha ho gaya tha, uski umra kaafi dhal chuki thi aur yahova ne use sab baaton mein aasheesh di thi.+  ek din abraham ne apne sabse purane sevak se, jo uske gharane ke sab kaamon ki dekhrekh karta tha,+ yah guzarish ki: “tu apna haath meri jaangh ke neeche rakh  aur swarg aur prithvi ke parmeshvar yahova ki shapath khaa ki tu mere bete ke liye kanaaniyon ki koi ladki nahin laayega jinke desh mein main rehta hoon.+  iske bajay, tujhe mere desh jaana hoga aur ishaak ke liye mere rishtedaron+ mein se ek ladki laani hogi.”  sevak ne abraham se kaha, “lekin agar ladki mere saath is desh mein aane ko taiyar nahin hui to kya main tere bete ko us desh mein le jaaun, jahaan se tu aaya hai?”+  is par abraham ne kaha, “nahin, mere bete ko vahaan hargiz mat le jaana.+  swarg ka parmeshvar yahova, jo mujhe mere pita ke ghar se aur mere rishtedaron ke desh se yahaan laaya hai+ aur jisne mujhse baat ki aur shapath khaakaar kaha,+ ‘main yah desh tere vansh+ ko doonga,’+ woh apne swargdoot ko tere aage-aage bhejega+ aur tu mere bete ke liye vahaan+ se ladki dhoondhne mein zaroor kaamyab hoga.  lekin agar ladki tere saath aane ko raazee na hui, to tu is shapath se chhoot jaayega. magar tu mere bete ko vahaan hargiz nahin le jaayega.”  tab sevak ne apna haath apne maalik abraham ki jaangh ke neeche rakha aur shapath khaayi ki woh uske kahe mutabik hi karega.+ 10  fir sevak ne apne maalik ke unton mein se das unt aur uski di hui har tarah ki badhiya-badhiya cheezen apne saath lin aur safar ke liye ravana ho gaya. woh mesopotamiya mein naahor ke shehar ki taraf chal pada. 11  jab woh shehar ke nazdeek pahuncha, to vahaan usne ek kuyen ke paas unton ko bitha diya. shaam ka samay ho raha tha jab aurtein vahaan kuyen par paani bharne aaya karti thi. 12  abraham ke sevak ne prarthna ki, “hey yahova, mere maalik abraham ke parmeshvar, aaj main jis kaam ke liye yahaan aaya hoon use safal kar de aur is tarah mere maalik ke liye apne atal pyar ka saboot de. 13  dekh, main yahaan paani ke sote ke paas khada hoon aur shehar ki aurtein paani bharne aa rahi hain. 14  aisa ho ki main jis ladki se kahoon, ‘kya mujhe apne ghade se thoda paani pilayegi?’ aur woh mujhse kahe, ‘zaroor, aur main tere unton ko bhi pilaungi,’ woh vahi ladki ho jise toone apne sevak ishaak ke liye chuna hai. tere aisa karne se main jaan loonga ki mere maalik ke liye tera pyar atal hai.” 15  abraham ka sevak abhi yah keh hi raha tha ki ribka apne kandhe par ghada liye shehar se baahar us jagah aayi. ribka, batooel ki beti thi+ aur batooel, abraham ke bhaai naahor+ aur uski patni milka+ ka beta tha. 16  ribka ek kunvari ladki thi, usne kisi bhi aadmi ke saath yaun-sambandh nahin rakhe the. woh dikhne mein badi sundar thi. woh paani bharne ke liye neeche utaarkar paani ke sote ke paas gayi aur apna ghada bharkar oopar aayi. 17  tabhi sevak daudkar uske paas gaya aur usse kaha, “kya mujhe peene ke liye thoda paani milega?” 18  ladki ne kaha, “haan maalik, zaroor.” usne fauran apne kandhe se ghada utara aur use paani pilaya. 19  sevak ko paani dene ke baad woh boli, “main tere unton ko bhi paani pilaungi. woh jitna peeyenge, main bhar laaungi.” 20  usne fauran ghade ka bacha hua paani haud mein daal diya aur kuyen se paani laakaar haud mein bharne lagi. woh tab tak bhaag-bhaagkar paani laati rahi, jab tak ki saare unt pi na chuke. 21  is dauran abraham ka sevak vahaan khada badi hairat se us ladki ko dekhta raha aur man-hi-man sochta raha ki woh jis kaam ke liye yahaan aaya hai kya use yahova ne vaakai safal kar diya hai. 22  jab saare unt paani pi chuke to sevak ne us ladki ke liye sone ki ek nath aur do kangan nikaale. nath ka vazan aadha shekel* tha aur kangan ka das shekel.* 23  usne ladki se poochha, “kya main jaan sakta hoon, tu kiski beti hai? kya tere pita ke ghar hamein raat-bhar ke liye jagah milegi?” 24  ladki ne kaha, “main batooel ki beti hoon+ aur mere daada-daadi ka naam naahor aur milka hai.”+ 25  usne yah bhi kaha, “hamare yahaan thaharne ke liye kaafi jagah hai aur jaanvaron ke liye bharpoor chaara aur pual bhi hai.” 26  tab sevak ne munh ke bal zameen par girkar yahova ko dandvat kiya 27  aur kaha, “mere maalik abraham ke parmeshvar yahova ki taareef ho kyonki usne mere maalik se pyar* karna nahin chhoda aur uska vishvasyogya bana raha. yahova hi hai jo mujhe raah dikhata hua mere maalik ke bhaaiyon ke ghar tak laaya.” 28  tab ribka daudkar apne ghar gayi aur usne apni maa ko aur ghar ke baaki logon ko saara haal keh sunaya. 29  ribka ka ek bhaai tha, laaban.+ laaban daudkar us aadmi se milne gaya. 30  woh aadmi ab bhi paani ke sote ke paas apne unton ke saath khada tha. laaban isliye daudkar gaya kyonki usne ribka ki nath aur kangan dekhe the aur ribka ki baatein suni thi ki us aadmi ne mujhse ye-ye kaha. 31  laaban ne vahaan pahunchte hi us aadmi se kaha, “hey yahova ke sevak, tujh par vaakai uski aasheesh hai. tu yahaan kyon khada hai? mere ghar chal, mainne tere thaharne ka saara intazam kar diya hai. tere unton ke liye bhi jagah taiyar hai.” 32  tab woh sevak laaban ke ghar gaya. aur usne* unton ko khola aur unke aage chaara aur pual daala. fir usne sevak aur uske saath aaye aadmiyon ko pair dhone ke liye paani diya. 33  iske baad khaana parosa gaya, magar sevak ne kaha, “pehale main batana chahoonga ki main yahaan kyon aaya hoon, uske baad hi khaana khaaunga.” laaban ne kaha, “haan-haan, zaroor bata.” 34  usne kaha, “main abraham ka sevak hoon.+ 35  yahova ne mere maalik ko bahot aasheesh di hai. uski badaulat mera maalik har tarah se maalamal hai, sona-chaandi, daas-daasiyaan, bhed-bakri, gaay-bail, unt, gadhe sabkuch hai uske paas.+ 36  itna hi nahin, maalik ki patni saara ne apne budhape mein use ek beta diya.+ aur maalik apna sabkuch apne bete ko de dega.+ 37  maalik ne mujhe shapath dilakar kaha hai, ‘tu mere bete ke liye kanaaniyon ki koi ladki nahin laayega, jinke desh mein main rehta hoon.+ 38  iske bajay, tu mere pita ke gharane aur rishtedaron ke yahaan jaayega+ aur vahaan se mere bete ke liye ladki laayega.’+ 39  tab mainne maalik se kaha, ‘agar woh ladki mere saath aane ko taiyar na hui to?’+ 40  maalik ne mujhse kaha, ‘yahova parmeshvar, jiske saamne main sahi raah par chalta aaya hoon,+ apna swargdoot tere saath bhejega+ aur tujhe is kaam mein zaroor kaamyabi dega. tujhe mere bete ke liye mere pita ke gharane se, mere rishtedaron+ ke yahaan se ladki laani hogi. 41  lekin agar mere rishtedar jinke paas tu jaa raha hai, tujhe apni ladki na dein to tu apni shapath se chhoot jaayega.’+ 42  fir aaj jab main paani ke sote ke paas pahuncha to mainne parmeshvar se prarthna ki, ‘hey yahova, mere maalik abraham ke parmeshvar, agar tu chahta hai ki main jis kaam se yahaan aaya hoon usmein kaamyab houn to meri yah dua sun le. 43  main yahaan paani ke sote ke paas khada hoon aur aisa ho ki yahaan paani bharne ke liye aanevali jis ladki+ se main kahoon, “kya apne ghade se mujhe thoda paani pilayegi?” 44  aur woh kahe, “zaroor aur main tere unton ke liye bhi paani bhar laaungi,” woh vahi ladki ho jise yahova ne mere maalik ke bete ke liye chuna hai.’+ 45  main man mein yah keh hi raha tha ki mainne dekha, ribka apne kandhe par ghada liye chali aa rahi hai. woh neeche utaarkar paani ke sote ke paas gayi aur paani bharne lagi. fir mainne usse kaha, ‘kya mujhe thoda paani pilayegi?’+ 46  usne fauran kandhe se ghada utara aur kaha, ‘zaroor+ aur main tere unton ko bhi pilaungi.’ tab ribka ne mujhe paani pilaya aur iske baad mere unton ko bhi paani diya. 47  fir mainne usse poochha, ‘tu kiski beti hai?’ usne kaha, ‘main batooel ki beti hoon aur mere daada-daadi ka naam naahor aur milka hai.’ jab mainne yah suna to mainne use nath aur kangan pehnaye.+ 48  fir mainne munh ke bal zameen par girkar apne maalik abraham ke parmeshvar yahova ko dandvat kiya aur yahova ki taareef ki+ jisne mujhe sahi raah dikhayi aur mujhe apne maalik ke bhaai ke ghar pahunchaya taaki main uski beti ko apne maalik ke bete ke liye le jaaun. 49  ab faisla tum par hai, tum chaho to apni beti dekar mere maalik ke liye apne atal pyar ka aur vishvasyogya hone ka saboot de sakte ho. agar nahin, to bata do taaki main sochoon ki mujhe aage kya karna hai.”*+ 50  tab laaban aur batooel ne kaha, “yah sab yahova ki taraf se hua hai. ab hum kaun hote hain haan ya na kehnevale?* 51  dekh, ribka tere saamne hai. ise tu le jaa sakta hai taaki yah tere maalik ke bete ki patni bane, theek jaise yahova ne kaha hai.” 52  yah sunte hi abraham ke sevak ne munh ke bal zameen par girkar yahova ko dandvat kiya. 53  fir usne sone-chaandi ke gehne aur kapde nikaale aur ribka ko diye. usne ribka ke bhaai aur uski maa ko bhi kai keemti cheezen di. 54  iske baad sevak aur uske saath aaye aadmiyon ne khaaya-peeya aur us raat woh vahin thahre. subah hone par sevak ne kaha, “ab mujhe jaane ki ijazat do.” 55  tab ribka ke bhaai aur maa ne usse kaha, “ladki ko hamare saath kuch din rehne de, kam-se-kam das din. iske baad use le jaana.” 56  magar sevak ne kaha, “nahin, ab main aur nahin ruk sakta. yahova ki madad se woh kaam poora ho gaya hai jiske liye main aaya tha. ab mujhe ijazat do ki main apne maalik ke paas laut jaaun.” 57  tab unhonne kaha, “kyon na hum ladki ko bulakar usi se poochh lein ki woh kya chahti hai?” 58  unhonne ribka ko bulakar usse poochha, “kya tu is aadmi ke saath jaana chahegi?” usne kaha, “haan, main jaaungi.” 59  tab unhonne apni behen ribka+ aur uski dhaai*+ ko, saath hi abraham ke sevak aur uske aadmiyon ko vida kiya. 60  unhonne yah kehkar ribka ko aasheervad diya, “pyari behena, hamari yah dua leti jaana. tera vansh itna badhe ki tu hazaron-laakhon ki maa kehlaye. tera vansh un logon ke shehron* ko apne adhikar mein kar le, jo usse nafrat karte hain.”+ 61  iske baad ribka aur uski daasiyaan unton par savaar hokar us aadmi ke peechhe-peechhe nikaal padin. is tarah woh sevak ribka ko saath lekar apne raaste chal diya. 62  idhar ishaak, jo negeb mein rehta tha,+ ber-lahai-roi+ se aa raha tha. 63  shaam ke jhutpute ka samay tha aur woh manan karta hua+ maidan mein tahal raha tha. jab usne nazrein uthayin to dekha ki saamne se unton ka kaarvaan chala aa raha hai! 64  aur jab ribka ne ishaak ko dekha to woh fauran unt se neeche utri. 65  usne sevak se poochha, “woh jo aadmi hamse milne aa raha hai, kaun hai?” sevak ne kaha, “woh mera maalik hai.” tab ribka ne odhni se apna sir dhak liya. 66  fir sevak ne ishaak ko apne safar ki poori kahani sunayi, use bataya ki usne kya-kya kiya. 67  iske baad ishaak, ribka ko apni maa saara ke tamboo mein laaya.+ is tarah usne ribka ko apni patni banaya aur use ribka se pyar ho gaya+ aur woh apni maa ki maut ke gam se ubar paaya.+

kai footnote

ek shekel ka vazan 11.4 g. tha. ati. kh14 dekhein.
ek shekel ka vazan 11.4 g. tha. ati. kh14 dekhein.
ya “atal pyar.”
mumkin hai ki yah laaban tha.
shaa., “daayen ya baayen mud jaaun.”
ya “hum tujhse na bhala keh sakte hain na bura.”
yaani uski woh dhaai jo ab uski sevika thi.
shaa., “faatak.”