utpatti 25:1-34

  • abraham ki doosri shaadi (1-6)

  • abraham ki maut (7-11)

  • ishmael ke bete (12-18)

  • yakub aur esav ka janm (19-26)

  • esav ne apna adhikar becha (27-34)

25  abraham ne dobara shaadi ki. usne katoora naam ki ek aurat ko apni patni banaya.  katoora se abraham ke ye bete huye: jimran, yokshan, madan, midyan,+ yishbak aur shooh.+  yokshan ke bete the sheeba aur dadan. dadan ke bete the asoori, latooshi aur lummi.  midyan ke bete the epa, eper, haanok, abeeda aur elda. ye sab katoora ke bete the.  aage chalkar abraham ne apna sabkuch ishaak ko de diya.+  magar apni up-patniyon se huye beton ko usne tohfe diye aur jeete-ji unhein ishaak se bahot door, poorab desh mein bhej diya.+  abraham kul milakar 175 saal jeeya.  woh apni zindagi se poori tarah khush tha. ek lambee aur khushhal zindagi jeene ke baad uski maut ho gayi aur use dafnaya gaya.*  abraham ko uske bete ishaak aur ishmael ne makpela ki gufa mein dafnaya, jo mamre ke paas hitti sohar ke bete epron ki zameen mein thi.+ 10  woh zameen abraham ne hittiyon se khareedi thi. vahaan saara ko dafnaya gaya tha+ aur abraham ko bhi vahin dafnaya gaya. 11  abraham ki maut ke baad bhi parmeshvar uske bete ishaak ko aasheesh deta raha.+ ishaak ber-lahai-roi+ ke paas rehta tha. 12  yah ishmael+ ke baare mein byaura hai. ishmael abraham ka woh beta tha jo saara ki misri daasi haajira+ se paida hua tha. 13  ye the ishmael ke bete jinke naam se unke apne-apne kul chale: ishmael ka pehalautha nabayot,+ fir kedar,+ adbel, mibsam,+ 14  mishma, dooma, massa, 15  hadad, tema, yatoor, naapeesh aur kedma. 16  ye the ishmael ke 12 bete jo apne-apne kul ke pradhan the.+ har kul ki apni ek alag basti aur chhaavni* thi jo apne pradhan ke naam se jaani jaati thi. 17  ishmael kul milakar 137 saal jeeya. iske baad uski maut ho gayi aur use dafnaya gaya.* 18  ishmael ke vanshaj haveela+ se lekar door ashshoor tak ke ilake mein raha karte the. haveela shoor+ ke paas hai aur shoor, misra ke paas hai. ishmael ke vanshaj apne sab bhaaiyon ke aas-paas rehte the.*+ 19  ye hain abraham ke bete ishaak+ ke parivar mein hui ghatnayen. ishaak abraham ka beta tha. 20  jab ishaak 40 saal ka tha tab usne ribka se shaadi ki. ribka batooel ki beti+ aur laaban ki behen thi jo paddan- araam ke rehnevale araami log the. 21  ribka baanjh thi isliye ishaak uske liye yahova se minnatein karta rehta tha. yahova ne uski suni aur uski patni ribka garbhvati hui. 22  ribka ki kokh mein pal rahe ladke ek-doosre se ladne lage.+ isliye usne kaha, “is tarah dukh jhelne se to achha hai ki main mar jaaun.” fir usne yahova se iski vajah poochhi. 23  yahova ne usse kaha, “teri kokh mein do ladke* pal rahe hain,+ unse do raashtra nikleinge aur un donon ke raaste alag-alag honge.+ ek raashtra doosre se zyada taakatvar hoga+ aur bada chhote ki seva karega.”+ 24  jab ribka ke din poore huye to uske judvaan ladke huye, theek jaise usse kaha gaya tha! 25  garbh se jo pehala ladka nikala woh ekdam laal tha. uske shareer par itne baal the maano usne royendar kapda pehna ho.+ isliye unhonne uska naam esav*+ rakha. 26  fir uska bhaai paida hua jo uski edi pakde huye baahar nikala.+ isliye uska naam yakub* rakha gaya.+ jab ribka ne in ladkon ko janm diya, tab ishaak 60 saal ka tha. 27  esav bada hokar ek kushal shikari bana.+ woh jangal mein raha karta tha, jabki yakub ek seedha-saada* insan tha aur tambuon mein raha karta tha.+ 28  ishaak esav se pyar karta tha, kyonki woh uske liye shikar jo maarkar laata tha. magar ribka yakub se pyar karti thi.+ 29  ek din yakub masoor ki daal paka raha tha aur usi vakt esav thaka-haara jangal se lauta. 30  usne yakub se kaha, “tu jo laal-laal cheez paka raha hai, thodi-si mujhe de. jaldi kar! main bhookh se mara jaa raha hoon!”* iseeliye esav ka naam edom* bhi pada.+ 31  tab yakub ne kaha, “pehale tu mujhe apna pehalauthe ka adhikar bech.”+ 32  esav ne kaha, “jab meri jaan hi nikli jaa rahi hai, to main pehalauthe ka adhikar rakhkar kya karoonga?” 33  yakub ne kaha, “nahin, pehale tu shapath khaa!” tab esav ne shapath khaayi aur apna pehalauthe ka adhikar yakub ko bech diya.+ 34  iske baad yakub ne esav ko daal aur roti di aur woh khaa-peekar apni raah chalta bana. is tarah esav ne apne pehalauthe ke adhikar ko tuchh jaana.

kai footnote

shaa., “woh apne logon mein jaa mila.”
ya “deevaron se ghiri chhaavni.”
shaa., “woh apne logon mein jaa mila.”
ya shaayad, “unhonne apne sab bhaaiyon se dushmani ki.”
shaa., “raashtra.”
matlab “royendar.”
matlab “edi pakadnevala; doosre ki jagah lenevala.”
ya “nirdosh.”
ya “main thakkar choor ho gaya hoon.”
matlab “laal.”