utpatti 32:1-32

  • swargdoot, yakub se mile (1, 2)

  • esav se milne ki taiyari (3-23)

  • yakub swargdoot se kushti lada (24-32)

    • yakub ko israel naam diya gaya (28)

32  yakub apne safar mein aage badhta gaya aur raaste mein use parmeshvar ke swargdoot mile.  jaise hi yakub ne unhein dekha, usne kaha, “yah parmeshvar ki chhaavni hai!” isliye usne us jagah ka naam mahnaim* rakha.  fir yakub ne apne aage kuch dooton ko apne bhaai esav ke paas bheja, jo seir yaani edom+ ke ilake mein rehta tha.+  usne apne aadmiyon ko yah aagya di: “tum mere maalik esav se kehna, ‘tere daas yakub ne tujhe yah sandesh bheja hai, “main ek lambe samay tak laaban ke yahaan tha*+  aur vahaan rehte vakt mainne bahot dhan-daulat kamayi, mere paas bahot-se daas-daasiyaan, bail, gadhe aur bhedein hain.+ mere maalik, main tujhse milne aa raha hoon aur yah khabar tujhe isliye de raha hoon taaki tu mujh par kripa kare.”’”  kuch samay baad yakub ke aadmiyon ne lautkar usse kaha, “hum tere bhaai esav se mil aaye hain. woh bhi tujhse milne aa raha hai. uske saath uske 400 aadmi bhi hain.”+  jab yakub ne yah suna to woh bahot dar gaya aur chinta karne laga ki ab kya hoga!+ isliye usne apne logon aur bhed-bakriyon, gaay-bailon aur unton ko do dalon mein baant diya.  yakub ne kaha, “agar esav ek dal par hamla kare to kam-se-kam doosra dal bachkar bhaag sakta hai.”  iske baad yakub ne parmeshvar se prarthna ki: “hey yahova, mere daada abraham aur mere pita ishaak ke parmeshvar, tu jo mujhse kehta hai ki apne rishtedaron ke paas apne desh laut jaa aur main hamesha tera bhala karoonga,+ 10  toone apne daas ko apne atal pyar aur vafadari ka saboot diya hai,+ jabki main iske kaabil nahin tha. jab main is yardan nadi ke paar gaya tha tab mere paas sirf ek laathi thi, magar aaj mere paas itna kuch hai ki iske do dal hain.+ 11  ab main tujhse binti karta hoon ki mujhe mere bhaai esav se bacha le+ kyonki mujhe dar hai ki woh aakaar mujh par hamla kar dega+ aur in maaon aur inke bachchon ko bhi nahin bakhshega. 12  toone mujhse kaha tha, ‘main zaroor tera bhala karoonga aur tere vansh ko itna badhaunga ki woh samundar kinare ki baaloo ke kinkon jaisa anginat ho jaayega.’”+ 13  yakub raat ko usi jagah thehra. fir usne apne jhund mein se kuch jaanvar alag kiye taaki unhein apne bhaai esav ko tohfe mein de sake.+ 14  usne 200 bakriyaan, 20 bakre, 200 bhedein, 20 medhe, 15  30 untniyaan aur unke bachche, 40 gaayein, 10 bail, 20 gadhiyaan aur 10 gadhe alag kiye.+ 16  usne in jaanvaron ke jhund ek-ek karke apne daason ko saunpe aur unse kaha, “tum sab mujhse pehale nadi ke us paar chale jaao aur ek jhund se doosre jhund ke beech kuch faasla rakho.” 17  usne pehale jhund ko le jaanevale daas ko yah aagya bhi di: “agar tujhe raaste mein mera bhaai esav mile aur tujhse poochhe, ‘tera maalik kaun hai, tu kahaan jaa raha hai aur tere aage-aage ye jaanvar kiske hain?’ 18  to tu usse kehna, ‘main tere daas yakub ke yahaan kaam karta hoon. usne ye jaanvar mere maalik esav ke liye tohfe mein bheje hain+ aur woh khud bhi hamare peechhe aa raha hai.’” 19  yakub ne doosre, teesre aur baaki sabhi jhundon ko le jaanevale daason ko aagya di, “jab esav tumse milega to tum bhi usse aisa hi kehna. 20  tum usse yah bhi kehna, ‘tera daas yakub hamare peechhe aa raha hai.’” yakub ne aisa isliye kiya kyonki usne socha, ‘agar main esav ko pehale tohfe bhejkar use khush karoon+ to baad mein jab main usse miloonga to shaayad woh mere saath pyar se pesh aaye.’ 21  fir yakub ke daas uske diye tohfe lekar usse pehale nadi ke paar nikaal gaye jabki yakub raat ko vahin dere mein raha. 22  raat ko kuch der baad yakub utha aur apni donon patniyon,+ donon daasiyon+ aur apne 11 beton ko yabbok nadi ke uthle hisse se paar le gaya.+ 23  un sabko paar karane ke baad, woh apna baaki saara saaman bhi nadi ke paar le gaya. 24  jab yakub akela tha to ek aadmi aakaar usse kushti ladne laga aur pau fatne tak ladta raha.+ 25  jab us aadmi ne dekha ki woh yakub ko hara nahin paa raha to usne yakub ki jaangh ka jod chhua. isliye kushti karte vakt yakub ka jod khisak gaya.+ 26  iske baad us aadmi ne yakub se kaha, “ab mujhe jaane de, subah honevali hai.” magar yakub ne kaha, “main tujhe tab tak nahin chhodoonga jab tak tu mujhe aasheervad nahin dega.”+ 27  fir us aadmi ne usse poochha, “tera naam kya hai?” usne kaha, “yakub.” 28  tab us aadmi ne kaha, “ab se tera naam yakub nahin israel* hoga,+ kyonki tu parmeshvar se aur insanon se lada+ aur aakhirkar jeet gaya.” 29  fir yakub ne usse poochha, “kya main tera naam jaan sakta hoon?” magar us aadmi ne kaha, “tu kyon mera naam jaanna chahta hai?”+ fir usne yakub ko aasheervad diya. 30  yakub ne us jagah ka naam paniel*+ rakha kyonki usne kaha, “mainne parmeshvar ko aamne-saamne dekha, fir bhi meri jaan bakhsh di gayi.”+ 31  jab yakub panooel* se aage badha to sooraj ugne laga tha. yakub langda raha tha kyonki uski jaangh ka jod khisak gaya tha.+ 32  iseeliye aaj tak israeli log jaanvar ki jaangh ke jod ki nas nahin khaate kyonki us aadmi ne yakub ki jaangh ke jod ka woh hissa chhua tha jahaan nas hoti hai.

kai footnote

matlab “do chhaavniyaan.”
ya “pardesi ki tarah raha.”
matlab “parmeshvar se ladnevala (ya haar na maannevala)” ya “parmeshvar ladta hai.”
matlab “parmeshvar ka chehra.”
ya “ paniel.”