utpatti 4:1-26
4 aadam ne apni patni havva ke saath sambandh rakhe aur woh garbhvati hui.+ jab havva ne kain+ ko janm diya to usne kaha, “mainne yahova ki madad se ek bete ko janm diya hai.”
2 baad mein usne kain ke bhaai haabil+ ko janm diya.
bada hokar haabil charvaha bana aur kain kisan.
3 ek din kain ne zameen ki upaj mein se kuch cheezen laakaar yahova ko arpit kin.
4 magar haabil ne apni bhedon mein se kuch pehalauthe memne aur unki charbi balidan mein chadhayi.+ yahova ne haabil aur uske balidan ko to manzoor kiya,+
5 magar kain aur uske chadhave ko manzoor nahin kiya. yah dekhkar kain gusse se bhar gaya aur uska munh utar gaya.
6 tab yahova ne kain se kaha, “tu kyon itne gusse mein hai? tera munh kyon utra hua hai?
7 agar tu achhe kaam karne lage to kya main tujhe manzoor nahin karoonga? lekin agar tu achhai ki taraf na fire, to jaan le ki paap tujhe dhar-dabochne ke liye darvaze par ghaat lagaye baitha hai. isliye tu paap karne ki ichha ko kaaboo mein kar le.”
8 iske baad kain ne apne bhaai haabil se kaha, “aao, hum maidan mein chalein.” jab woh maidan mein the tab kain ne apne bhaai haabil par hamla kiya aur use maar daala.+
9 baad mein yahova ne kain se kaha, “tera bhaai haabil kahaan hai?” usne kaha, “mujhe kya pata? main kya apne bhaai ka rakhvala hoon?”
10 tab parmeshvar ne kaha, “yah toone kya kar daala? sun! tere bhaai ka khoon zameen se cheekh-cheekhkar mujhe nyay ki duhai de raha hai.+
11 isliye ab main tujhe shaap deta hoon ki tu is jagah se khaded diya jaayega, jisne apna munh kholkar tere haathon tere bhaai ka khoon peeya hai.+
12 jab tu zameen jotega to woh tujhe achhi upaj* nahin degi. tu ek bhagode ki zindagi jeeyega aur dharti par maara-maara firega.”
13 tab kain ne yahova se kaha, “toone meri galti ki itni badi saza di hai, main ise kaise sah paaunga?
14 aaj tu mujhe is jagah se bhaga raha hai aur apni nazron se door kar raha hai. toone mujhe bhagoda banne aur dharti par maara-maara firne ke liye chhod diya hai. agar main kisi ke haath pad gaya to woh mujhe zaroor maar daalega.”
15 tab yahova ne usse kaha, “nahin, aisa nahin hoga. agar kisi ne kain ka khoon kiya, to badle mein use saat guna zyada kadi saza di jaayegi.”
fir yahova ne kain ke liye ek nishani thehrayi taaki koi use paane par maar na daale.
16 fir kain yahova ke saamne se chala gaya aur adan ke poorab mein+ bhagodon ke desh* mein jaa basa.
17 baad mein kain ne apni patni+ ke saath sambandh rakhe aur woh garbhvati hui aur usne hanok ko janm diya. fir kain ne ek shehar banaya aur apne bete ke naam par shehar ka naam hanok rakha.
18 baad mein hanok se irad paida hua. irad se mahooyael paida hua, mahooyael se matooshael aur matooshael se lemek paida hua.
19 lemek ne do aurton se shaadi ki. pehali ka naam aada tha aur doosri ka silla.
20 aada ne yaabal ko janm diya. yaabal ne hi tambuon mein rehne aur maveshi paalne ke kaam ki shurooat ki thi.
21 uske bhaai ka naam yoobal tha. usne surmandal aur baansuri bajane ki shurooat ki thi.
22 silla ne toobal-kain ko janm diya. toobal-kain tambe aur lohe ke har tarah ke auzar banata tha. uski behen thi naama.
23 fir lemek ne aada aur silla ke liye, jo uski patniyaan thi, yah kavita rachi:
“lemek ki patniyo, meri aavaz suno,meri baat par kaan lagao:
mainne ek aadmi ko maar daala jisne mujhe zakhmi kiya,haan, ek javan aadmi ko, jisne mujh par vaar kiya.
24 agar kain ke kaatil ko 7 guna zyada kadi saza di jaayegi,+to lemek ke kaatil ko 77 guna zyada kadi saza di jaaye.”
25 aadam ne fir se apni patni ke saath sambandh rakhe aur usne ek bete ko janm diya. havva ne uska naam shet*+ rakha kyonki usne kaha, “parmeshvar ne haabil ki jagah mujhe ek aur vansh diya hai, kyonki kain ne haabil ko maar daala.”+
26 shet ka bhi ek beta hua aur shet ne uska naam enosh+ rakha. un dinon logon ne yahova ka naam pukarna shuroo kiya.
kai footnote
^ shaa., “shakti.”
^ ya “nod desh.”
^ matlab “thehraya gaya; rakha gaya; bithaya gaya.”