utpatti 7:1-24
7 iske baad yahova ne nooh se kaha, “tu apne poore parivar ko lekar jahaz ke andar chala jaa, kyonki is zamane ke sab logon mein mainne sirf tujhi ko nek insan paaya hai.+
2 tu apne saath shuddh jaanvaron ki har jaati mein se saat-saat jaanvar* le jaana+ jinmein nar aur maada donon hon. aur sabhi ashuddh jaanvaron mein se nar-maada ka sirf ek-ek joda le jaana.
3 aasman mein udnevale panchhiyon aur keet-patangon mein se bhi saat-saat* le jaana, jinmein nar aur maada donon hon taaki inki nasal saari dharti par kaayam rahe.+
4 ab sirf saat din bache hain, main 40 din aur 40 raat+ tak dharti par paani barsaunga.+ mainne dharti par jitne bhi insan aur jeev-jantu banaye hain, un sabko mita doonga.”+
5 yahova ne nooh ko jo-jo kaam karne ki aagya di thi, woh sab usne kiya.
6 jab prithvi par jalpralay aaya tab nooh 600 saal ka tha.+
7 jalpralay ke shuroo hone se pehale nooh apni patni, apne beton aur apni bahuon ke saath jahaz ke andar chala gaya.+
8 aur shuddh aur ashuddh jaanvaron, udnevale jeevon aur zameen par chalne-firnevale sab jeev-jantuon+ mein se
9 nar-maada ke jode jahaz mein nooh ke paas gaye, theek jaise parmeshvar ne nooh ko aagya di thi.
10 fir saat din baad prithvi par jalpralay aa gaya.
11 nooh ki zindagi ke 600 saal ke doosre maheene ke 17vein din dharti par jalpralay aaya. us din aakash mein paani ke sabhi sote fut pade aur paani ke faatak khul gaye.+
12 aur dharti par 40 din aur 40 raat lagatar moosladhar baarish hoti rahi.
13 usi din nooh jahaz ke andar gaya tha aur uske saath uski patni, uske bete shem, haam aur yepet+ aur unki patniyaan bhi gayin.+
14 aur har jaati ke jangli jaanvar, har jaati ke paaltoo jaanvar, zameen par reingnevale har jaati ke jeev-jantu aur har jaati ke udnevale panchhi aur keet-patange bhi andar gaye.
15 har kism ke jeev-jantuon ke jode, jinmein jeevan ki saans* hai, jahaz mein nooh ke paas gaye.
16 is tarah theek jaise parmeshvar ne nooh ko aagya di thi, har kism ke jeev-jantuon mein se nar-maada ke jode jahaz mein gaye. iske baad yahova ne jahaz ka darvaza band kar diya.
17 dharti par 40 din lagatar baarish hoti rahi, paani badhta gaya aur jahaz zameen ki satah se bahot oopar uth gaya aur paani par tairne laga.
18 paani badhte-badhte poori prithvi par fail gaya, fir bhi jahaz paani ki satah par tairta raha.
19 paani itna badh gaya ki poori dharti par jitne bhi unche-unche pahad the sab doob gaye.+
20 paani pahadon se 15 haath* unchai tak badh gaya tha.
21 is tarah dharti par chalne-firnevale sabhi jeev-jantu aur insan mit gaye.+ udnevale jeev, paaltoo jaanvar, jangli jaanvar, jhund mein rehnevale chhote-chhote jeev-jantu, insan sab-ke-sab khatm ho gaye.+
22 zameen par rehnevale sabhi jeev, jinke nathnon mein jeevan ki saans* chalti thi, mar gaye.+
23 is tarah parmeshvar ne dharti se sabhi jeevon ka safaya kar diya. insan, jaanvar, reingnevale jeev-jantu, aasman mein udnevale jeev, sab-ke-sab dharti se mit gaye.+ sirf nooh aur jo uske saath jahaz mein the woh hi zinda bache.+
24 aur poori dharti jalpralay ke paani mein 150 din tak doobee rahi.+
kai footnote
^ ya shaayad, “har shuddh jaanvar ke saat jode.”
^ ya shaayad, “aasman mein udnevale panchhiyon aur keet-patangon ke saat jode.”
^ ya “jeevan-shakti.”
^ ya “jeevan-shakti.”