vyavasthavivran 19:1-21

  • khoon ka dosh aur sharan nagar (1-13)

  • seema-chinh na sarkana (14)

  • adalat mein gavah (15-21)

    • do ya teen gavah zaroori (15)

19  tumhara parmeshvar yahova tumhein woh desh de dega jahaan doosri jaatiyaan rehti hain. yahova un jaatiyon ka naash kar dega aur tum unke shehron aur gharon mein bas jaaoge.+  jab tumhara parmeshvar yahova woh desh tumhare adhikar mein kar dega, to tum us desh ke beech mein teen shehar alag thehrana.+  tumhara parmeshvar yahova jis desh ko tumhare adhikar mein kar dega, uska ilaka tum teen praanton mein baantna aur un shehron tak jaane ke liye sadkein taiyar karna taaki ek khooni unmein se kisi shehar mein bhaag sake.  magar un shehron mein sirf aise khooni ko rehne diya jaaye jisne anjane mein kisi ka khoon kiya hai na ki nafrat ki vajah se.+  jaise, ek aadmi apne saathi ke saath jangal mein lakdi kaatne jaata hai aur jab ped kaatne ke liye kulhadi oopar uthata hai to kulhadi beint se nikaalkar uske saathi ko lag jaati hai aur woh mar jaata hai. tab us khooni ko unmein se kisi ek shehar mein bhaag jaana chahiye aur vahin rehna chahiye.+  agar shehar bahot door hoga to jab khoon ka badla lenevala+ gusse ki aag mein jalta hua khooni ka peechha karega tab raaste mein hi use pakadkar maar daalega, jabki use maar daalna sahi nahin hoga kyonki woh us aadmi se nafrat nahin karta tha jise usne maar daala tha.+  iseeliye main tumhein aagya de raha hoon, ‘tum teen shehar alag thehrana.’  tumhara parmeshvar yahova tumhari sarhad badhayega aur tumhein desh ka saara ilaka de dega jaise usne tumhare purkhon se shapath khaakaar vaada kiya tha,+  basharte tum is aagya ka hamesha paalan karo, jo aaj main tumhein de raha hoon ki tum apne parmeshvar yahova se pyar karna aur hamesha uski raahon par chalna.+ jab parmeshvar tumhari sarhad badhayega to tum in teen shehron ke alava teen aur shehar alag thehrana.+ 10  tab us desh mein, jo tumhara parmeshvar yahova tumhein virasat mein denevala hai, kisi begunah ka khoon nahin bahaya jaayega+ aur tum par khoon ka dosh nahin lagega.+ 11  lekin agar ek aadmi apne saathi se nafrat karta hai+ aur ghaat lagakar us par jaanleva hamla karta hai jisse uska saathi mar jaata hai aur iske baad woh khooni inmein se kisi shehar mein bhaag jaata hai, 12  to woh khooni jis shehar ka hai, vahaan ke mukhiyaon ko use vaapas bulvana chahiye aur use khoon ka badla lenevale ke haath mein saunp dena chahiye. aur woh khooni maar daala jaaye.+ 13  tum* us par bilkul taras na khaana aur israel se begunah ke khoon ka dosh mita dena+ jisse tumhara bhala ho. 14  tumhara parmeshvar yahova jo desh tumhare adhikar mein karnevala hai, vahaan jab tum sabko apni-apni virasat ki zameen milegi, to tum apne padosi ki zameen ka seema-chinh mat sarkana+ jo purkhon ne lagaya hai. 15  agar ek aadmi par kisi gunah ya paap ka ilzam lagaya gaya hai, to sirf ek gavah use doshi nahin thehra sakta.*+ do ya teen gavahon ke bayan par hi maamle ki sachchai saabit ki jaani chahiye.+ 16  agar ek aadmi doosre aadmi ko nuksan pahunchne ke irade se uske khilaf jhoothi gavahi deta hai aur us par kisi apradh ka ilzam lagata hai,+ 17  to un donon aadmiyon ko, jinke beech mukadma hai, yahova aur yaajkon aur apne dinon ke nyayiyon ke saamne haazir hona chahiye.+ 18  nyayi maamle ki achhi chhaanbeen kareinge+ aur agar yah saabit ho jaaye ki gavahi denevala jhootha hai aur usne apne saathi par jhootha ilzam lagaya hai, 19  to us jhoothe gavah ko vahi saza dena, jo usne apne bhaai ko dilane ki saazish ki thi.+ is tarah tum apne beech se burai mita dena.+ 20  fir jab doosre log is maamle ke baare mein suneinge to woh dar jaayenge aur tumhare beech fir kabhi koi aisa bura kaam nahin karega.+ 21  aisa bura kaam karnevale par tum* bilkul taras na khaana.+ usse tum barbar ka badla lena, jaan ke badle jaan, aankh ke badle aankh, daant ke badle daant, haath ke badle haath aur pair ke badle pair.+

kai footnote

shaa., “tumhari aankhein.”
shaa., “uske khilaf nahin uth sakta.”
shaa., “tumhari aankhein.”