vyavasthavivran 23:1-25
23 aisa koi bhi aadmi yahova ki mandli ka hissa nahin ban sakta jisne apne and kuchalvaye hon ya apna ling katva diya ho.+
2 aisa koi bhi aadmi jo naajayaz aulad hai, yahova ki mandli ka hissa nahin ban sakta.+ dasvin peedhi tak uske vanshajon mein se koi bhi yahova ki mandli ka hissa nahin ban sakta.
3 koi bhi ammoni ya moabee yahova ki mandli ka hissa nahin ban sakta.+ dasvin peedhi tak unke vanshajon mein se koi bhi yahova ki mandli ka hissa nahin ban sakta
4 kyonki jab tum misra se nikaalne ke baad safar kar rahe the to unhonne tumhein khaana-paani dekar tumhari madad nahin ki+ aur tumhein shaap dene ke liye mesopotamiya ke pator se baor ke bete bilam ko paisa dekar bulaya tha.+
5 magar tumhare parmeshvar yahova ne bilam ki baat nahin maani+ aur yahova ne uske shaap ko tumhare liye aasheesh mein badal diya,+ kyonki tumhara parmeshvar yahova tumse pyar karta hai.+
6 tum jeete-ji kabhi-bhi unki shaanti aur khushhali ke liye kuch mat karna.+
7 tum kisi edomi se nafrat mat karna kyonki edomi log tumhare bhaai hain.+
tum kisi misri se nafrat mat karna kyonki tum unke desh mein pardesi hua karte the.+
8 unki teesri peedhi ke log yahova ki mandli ka hissa ban sakte hain.
9 agar tum dushmanon se yuddh karne ke liye kahin chhaavni daalte ho, to us dauran tum dhyan rakhna ki tum kisi bhi tarah se dooshit na ho jaao.+
10 agar ek aadmi raat ko veerya nikaalne ki vajah se ashuddh ho jaata hai,+ to use chhaavni se baahar chale jaana chahiye aur vahin rehna chahiye.
11 shaam ko sooraj dhalne ke baad use nahana chahiye aur uske baad woh chhaavni mein aa sakta hai.+
12 tum chhaavni ke baahar shauch ke liye ek alag jagah tay karna aur jab bhi zaroorat ho vahin jaana.
13 tum apne saath jo auzar rakhte ho unmein khurpi bhi honi chahiye. jab tum chhaavni ke baahar shauch ke liye jaate ho to tum khurpi se ek gaddha khodna aur usmein mal-tyag karne ke baad mitti se dhaanp dena.
14 tumhara parmeshvar yahova tumhein dushmanon se chhudane aur unhein tumhare haath mein karne ke liye chhaavni mein tumhare beech chala-fira karta hai.+ isliye tumhari chhaavni hamesha shuddh rahe+ taaki aisa na ho ki parmeshvar tumhare beech kuch ghinauna dekhe aur tumhara saath chhodkar chala jaaye.
15 agar koi daas apne maalik ke yahaan se bhaag jaata hai aur tumhare paas aata hai, to tum use vaapas le jaakaar uske maalik ke haath mat saunp dena.
16 woh tumhare hi kisi shehar mein tumhare beech jahaan chahe vahaan reh sakta hai. tum uske saath badsalooki mat karna.+
17 israeliyon ki koi bhi ladki mandir ki veshya na bane,+ na hi koi israeli ladka mandir mein aadmiyon ke saath sambhog karnevala bane.+
18 aisa aadmi* ya aurat mannat poori karne ke liye apni badchalni ki kamai tere parmeshvar yahova ke bhavan mein nahin laa sakta, kyonki woh donon tumhare parmeshvar yahova ki nazar mein ghinaune hain.
19 jab tum apne ek israeli bhaai ko kuch udhaar dete ho to usse byaj mat lena,+ fir chahe woh paisa ho ya khaane ki cheezen ya aisi koi aur cheez ho jis par byaj lagaya jaa sakta hai.
20 tum ek pardesi se byaj le sakte ho,+ magar apne bhaai se byaj ki maang mat karna+ taaki tum jis desh ko apne adhikar mein karnevale ho vahaan tumhara parmeshvar yahova tumhare har kaam par aasheesh de.+
21 agar tum apne parmeshvar yahova ke liye koi mannat maante ho+ to use poora karne mein der mat karna.+ tumhara parmeshvar yahova tumse zaroor iski maang karega. agar tum use poora nahin karte to tum paapi thehroge.+
22 lekin agar tum koi mannat nahin maante to tum paap ke doshi nahin ho.+
23 tumne jo vaada kiya hai use zaroor poora karna.+ tum apne parmeshvar yahova ke liye jo mannat maante ho woh uske liye swechha-bali hai. tum use zaroor poora karna.+
24 tum apne padosi ke angooron ke baag mein se ji-bharkar angoor khaa sakte ho, magar apne bartan mein ek bhi angoor daalkar mat le jaana.+
25 agar tum apne padosi ke khet mein jaate ho to tum uski khadi fasal mein se paki baalein todkar khaa sakte ho, magar tum uski fasal par hansiya mat chalana.+
kai footnote
^ shaa., “kutta.”