yahejkel 1:1-28
1 jab 30vein saal ke chauthe maheene ke paanchvein din main kabaar nadi ke paas un logon ke saath tha jo bandhuai mein the,+ tab aakash khul gaya aur parmeshvar ki taraf se mujhe darshan mile.
2 (yah raja yahoyakeen ki bandhuai ka paanchvaan saal tha.)+ us din
3 yahova ka sandesh yaajak booji ke bete yahejkel* ke paas pahuncha, jo kasdiyon ke desh+ mein kabaar nadi ke paas rehta tha. vahaan yahova ka haath us par aaya.+
4 mujh yahejkel ko darshan mein uttar se ek bhayanak aandhi aati hui dikhayi di.+ uske saath ek bahot bada baadal tha jismein se aag ki laptein* nikaal rahi thi.+ baadal ke chaaron taraf tez raushni chamak rahi thi. aag ke beech mein se sone-chaandi jaisa chamchamata hua kuch nazar aaya.+
5 uske andar chaar jeevit prani jaise dikhayi diye+ aur unmein se harek ka roop insan jaisa tha.
6 har prani ke chaar chehre aur chaar pankh the.+
7 unke pair seedhe the aur paanv ke talve bachhde ke khur jaise the. unke pair chamchamate tambe jaise chamak rahe the.+
8 unke chaaron taraf ke pankhon ke neeche insanon ke haath jaise the. chaaron praniyon ke chehre aur pankh the.
9 unke pankh ek-doosre ko chhoote the. jab bhi woh aage badhte to seedhe jaate the, kabhi mudte nahin the.+
10 chaaron praniyon ke chehre is tarah the: harek ke saamne ki taraf aadmi ka chehra tha, daayin taraf sher ka chehra,+ baayin taraf bail ka+ aur peechhe ki taraf ukab ka.+
11 unke chehre isi tarah the. unke pankh unke oopar faile huye the. har prani ke do pankh the jo ek-doosre ko chhoote the aur baaki do pankh shareer ko dhake huye the.+
12 woh sabhi seedhe aage ki taraf badhte the. jahaan pavitra shakti unhein badhne ke liye ubhaarti thi woh vahin jaate the.+ jab bhi woh aage badhte to kabhi mudte nahin the.
13 ye jeevit prani dikhne mein jalte angare jaise the aur unke beech dehakti aag ki mashalon jaisa kuch tha jo aa-jaa raha tha aur aag mein se bijli chamak rahi thi.+
14 jab ye jeevit prani aage badhte aur vaapas aate, to aisa lag raha tha maano bijli kaundh rahi ho.
15 jab main chaar chehronvale un jeevit praniyon+ ko gaur se dekh raha tha to mainne dekha ki harek ke paas mein dharti par ek pahiya hai.
16 chaaron pahiyon ka roop aur unki banavat karketak ratna jaisi thi aur woh chamak rahe the aur chaaron ek jaise dikh rahe the. unka roop aur unki banavat dikhne mein aisi thi maano har pahiye ke andar ek aur pahiya laga ho.*
17 jab pahiye aage badhte to woh chaar dishaon mein se kisi bhi disha mein bina mude jaa sakte the.
18 har pahiye ka ghera itna uncha tha ki dekhnevale ki saansein tham jaayen aur har pahiye ke poore ghere mein aankhein-hi-aankhein thi.+
19 jab bhi jeevit prani aage badhte to unke saath-saath pahiye bhi jaate the. aur jab bhi jeevit prani dharti se oopar uthaye jaate to unke saath pahiye bhi oopar uthaye jaate the.+
20 pavitra shakti unhein jahaan kahin jaane ke liye ubhaarti, woh vahin jaate the. pavitra shakti jahaan kahin jaati, woh bhi vahaan jaate the. jab bhi jeevit prani oopar uthaye jaate to unke saath-saath pahiye bhi uthaye jaate the kyonki jo shakti jeevit praniyon par kaam kar rahi thi, vahi shakti pahiyon mein bhi thi.
21 jab bhi jeevit prani aage badhte to pahiye bhi saath-saath jaate the aur jab woh prani kahin ruk jaate to pahiye bhi vahin ruk jaate the. jab woh prani dharti se oopar uthaye jaate to pahiye bhi unke saath oopar uthaye jaate the, kyonki jo pavitra shakti jeevit praniyon par kaam kar rahi thi vahi pahiyon mein bhi thi.
22 un jeevit praniyon ke siron ke oopar falak jaisa kuch tha+ jo barf ki tarah itna ujjval tha aur aisa chamchama raha tha ki bayan nahin kiya jaa sakta.
23 falak ke neeche jeevit praniyon ke pankh seedhe the* aur unke pankh ek-doosre ko chhoo rahe the. har prani apne do pankhon se shareer ka ek taraf dhakta tha aur baaki do pankhon se doosri taraf dhakta tha.
24 mainne unke pankhon ki aavaz suni jo paani ki tez dhaara ki gadgadahat jaisi aur sarvashaktiman parmeshvar ki aavaz jaisi lag rahi thi.+ jab woh aage badhte to aisi aavaz aati jaise kisi sena ka bhayanak shor ho. jab woh ek jagah khade hote to apne pankh neeche kar lete the.
25 unke sir ke oopar jo falak tha, uske oopar se ek aavaz aa rahi thi. (jab woh ek jagah khade hote to apne pankh neeche kar lete the.)
26 unke sir ke oopar jo falak tha, uske oopar kuch tha jo neelam ka bana hua lag raha tha+ aur raajgaddi jaisa dikh raha tha.+ raajgaddi par koi baitha tha jiska roop insan jaisa tha.+
27 jo uski kamar aur oopar ka hissa lag raha tha woh sone-chaandi jaisa chamchama raha tha.+ usmein se aag jaisa kuch nikaal raha tha. kamar ke neeche ka hissa aag jaisa lag raha tha.+ uske chaaron taraf aisi raunak faili hui thi
28 jaise barsat ke din baadal mein nikaalnevale megh-dhanush mein hoti hai.+ uske chaaron taraf faili chakachaundh raushni dikhne mein aisi hi lag rahi thi. woh yahova ke mahapratap jaisa lag raha tha.+ jab mainne yah dekha to main munh ke bal neeche gira aur mujhe kisi ke bolne ki aavaz sunayi dene lagi.
kai footnote
^ matlab “parmeshvar mazboot karta hai.”
^ ya “bijli.”
^ shaayad ek hi aakaar ke do pahiye samkon mein is tarah jode gaye the ki unki dhuri oopar aur neeche ek hi seedh mein thi.
^ ya shaayad, “seedhe faile huye the.”