yahejkel 19:1-14

  • israel ke pradhanon ke baare mein shokgeet (1-14)

19  “tu israel ke pradhanon ke baare mein ek shokgeet gaana  aur kehna, ‘teri maa sheron ke beech rehnevali ek sherni thi! woh taakatvar javan sheron ke beech letti aur apne bachchon ko paalti thi.   usne apne ek bachche ko bada kiya aur woh taakatvar javan sher bana.+ usne shikar ko faad khaana seekha,insanon tak ko khaa liya.   raashtron ne uske baare mein suna aur use gaddhe mein fansaya,woh nakel daalkar use misra le gaye.+   sherni uska intazar karti rahi, aakhirkar usne dekha ki uske lautne ki koi ummeed nahin. tab usne apne bachchon mein se ek aur ko bada kiya, use taakatvar javan sher banakar bheja.   woh bhi doosre sheron ke beech ghoomne laga aur ek taakatvar javan sher ban gaya. usne shikar ko faad khaana seekha, insanon tak ko khaa liya.+   woh dabe paanv unki kileband meenaron mein gaya, unke shehron ko tahas-nahas kar diya,ujde desh mein chaaron taraf uski dahad goonjne lagi.+   aas-paas ke raashtron ne aakaar us par jaal daala,use gaddhe mein fansakar pakad liya.   unhonne nakel daalkar use pinjre mein band kar diya, woh use baibilon ke raja ke paas le gaye. vahaan unhonne use kaid kar diya taaki uska garjan fir kabhi israel ke pahadon par sunayi na de. 10  teri maa us angoor ki bel jaisi thi+ jo tere khoon mein hai,* jo paani ke paas lagayi gayi thi. bharpoor paani ki vajah se woh falne lagi aur daaliyon se bhar gayi. 11  uski daaliyaan* itni mazboot ho gayin ki woh raajaon ke raajdand banne laayak thi. woh badhti gayi, doosre pedon se bhi unchi ho gayi. woh itni unchi ho gayi aur daaliyon aur patton se itni bhar gayi ki door se bhi nazar aati thi. 12  magar parmeshvar ne jaljalahat mein aakaar use jad se ukhaad daala+ aur zameen par patak diya,poorab ki hava ne uske fal sukha diye. uski mazboot daaliyaan tod di gayin, woh sookh gayin+ aur aag ne unhein bhasm kar diya.+ 13  ab use veerane mein lagaya gaya haiek sookhi, pyasi zameen mein.+ 14  aag uski daaliyon* se tahniyon aur falon tak fail gayi aur unhein bhasm kar diya. ped par ek bhi mazboot daali nahin bachi, raaj karne ke liye ek bhi raajdand nahin raha.+ yah ek shokgeet hai aur yah shokgeet hi bana rahega.’”

kai footnote

ya shaayad, “tere angooron ke baag mein ek bel jaisi thi.”
ya “dande.”
ya “dandon.”