yahejkel 2:1-10

  • yahejkel, bhavishyavakta thehraya gaya (1-10)

    • “woh chahe teri sunein ya na sunein” (5)

    • shokgeet ka ek kharra (9, 10)

2  fir usne mujhse kaha, “insan ke bete,* apne pairon ke bal khada ho jaa. main tujhe kuch batana chahta hoon.”+  jab usne mujhse baat ki to pavitra shakti mere andar aayi aur usne mujhe pairon ke bal khada kiya,+ isliye jo mujhse baat kar raha tha main uski baatein sun saka.  usne mujhse kaha, “insan ke bete, main tujhe israel ke logon ke paas bhej raha hoon,+ un bagavti raashtron ke paas jinhonne mujhse bagavat ki hai.+ apne purkhon ki tarah ye log bhi aaj tak meri aagyayen todte aaye hain.+  main tujhe aise logon ke paas bhej raha hoon jo bade hi dheeth* aur kathor hain.+ tu jaakaar unse kehna, ‘saare jahan ke maalik yahova ka yah sandesh hai.’  magar woh chahe teri sunein ya na sunein kyonki woh bagavti gharane ke log hain,+ unhein itna zaroor pata chal jaayega ki unke beech ek bhavishyavakta hua karta tha.+  insan ke bete, tu unse bilkul mat darna,+ unki baaton se mat ghabrana, iske baavjood ki tu kaanton aur kanteeli jhaadiyon se ghira hai*+ aur bichhuon ke beech rehta hai. tu unki baaton se mat darna,+ na hi unke chehre dekhkar khauf khaana+ kyonki woh bagavti gharane ke log hain.  chahe woh sunein ya na sunein, tu unhein mera sandesh zaroor dena kyonki woh bagavti log hain.+  insan ke bete, main tujhe jo batane jaa raha hoon use dhyan se sunnaa. is bagavti gharane ki tarah tu bhi baagi mat ban jaana. ab tu apna munh khol aur main tujhe jo de raha hoon use khaa le.”+  fir mainne dekha ki kisi ka haath meri taraf badh raha hai+ aur us haath mein likha hua ek kharra* hai.+ 10  jab usne mere saamne kharra khola to mainne dekha ki us par saamne aur peechhe, donon taraf kuch likha hua hai.+ us par shokgeet aur dukh aur maatam ke shabd likhe huye the.+

kai footnote

‘insan ka beta,’ ye shabd is kitab mein 93 baar aaye hain jinmein se yah pehali baar hai.
ya “sakht chehrevale.”
ya shaayad, “ki log dheeth hain aur chubhnevali cheezon ki tarah hain.”
ya “kitab ka ek kharra.”