yahejkel 21:1-32

  • parmeshvar ke nyay ki talvar (1-17)

  • baibilon ka raja yarooshalem par hamla karega (18-24)

  • israel ka dusht pradhan hataya jaayega (25-27)

    • “utaar de apna taaj” (26)

    • “jab tak woh nahin aata jiske paas kaanooni hak hai” (27)

  • ammoniyon par talvar chali (28-32)

21  yahova ka sandesh ek baar fir mere paas pahuncha. usne mujhse kaha,  “insan ke bete, yarooshalem ki taraf munh karna aur un pavitra jagahon ke khilaf sandesh sunana aur israel desh ke khilaf bhavishyavani karna.  israel desh se kehna, ‘yahova kehta hai, “dekh, main tere khilaf hoon. main myan se apni talvar khinchoonga+ aur tere yahaan rehnevale har kisi ko kaat daaloonga, fir chahe woh nek ho ya dusht.  main tere sabhi logon ko, nek aur dusht sabko kaat daaloonga, isliye main myan se talvar khinchkar dakshin se lekar uttar tak sab logon par chalaunga.  tab sab logon ko jaanna hoga ki mujh yahova ne hi myan se talvar khinchi hai. yah vaapas myan mein nahin jaayegi.”’+  insan ke bete, tu* logon ke saamne thar-thar kaanp aur karah. haan, unke saamne buri tarah karah.+  agar woh tujhse poochhein, ‘tu kyon karah raha hai?’ to kehna, ‘mujhe ek buri khabar mili hai.’ yah khabar logon ko zaroor milegi aur tab dar ke maare sabka dil kaanp uthega, unke haath dheele pad jaayenge, himmat toot jaayegi aur har kisi ke ghutnon se paani tapakne lagega.*+ saare jahan ka maalik yahova ailan karta hai, ‘dekh! yah zaroor hoga, zaroor!’”  yahova ka sandesh ek baar fir mere paas pahuncha. usne mujhse kaha,  “insan ke bete, tu yah bhavishyavani karna, ‘yahova kehta hai, “logon se kehna, ‘dekho, ek talvar! ek talvar+ tez ki gayi hai, khoob chamkayi gayi hai. 10  bheed-ki-bheed ka naash karne ke liye use tez kiya gaya hai, bijli ki tarah kaundhne ke liye use chamkaya gaya hai.’”’” “kya hamein jashna nahin manana chahiye?” “‘kya yah* mere bete ke raajdand ko thukra degi,+ jaise yah har ped ko thukra deti hai? 11  yah isliye di gayi hai ki yah chamkayi jaaye aur haath mein li jaaye. yah talvar tez ki gayi hai aur chamkayi gayi hai taaki ise jallad ke haath mein diya jaaye.+ 12  insan ke bete, zor se chilla, bilakh-bilakhkar ro+ kyonki mere logon par talvar chalne hi vaali hai. yah israel ke sabhi pradhanon ko maar daalegi.+ woh mere logon ke saath-saath talvar ka kaur ho jaayenge. isliye dukh ke maare apni jaangh peet. 13  kyonki jaanch ki gayi hai+ aur agar talvar raajdand ko thukra de to kya hoga? yah* hamesha ke liye mit jaayega.’+ saare jahan ke maalik yahova ka yah ailan hai. 14  insan ke bete, tu bhavishyavani kar, taali baja aur teen baar ‘talvar!’ keh. yah ghaat karnevali talvar hai jo chaaron taraf mandra rahi hai. yah bheed-ki-bheed ko maar daalegi.+ 15  logon ka dil dar ke maare kaanp uthega+ aur bahot-se log shehar ke faatkon ke paas gir padeinge. main talvar se logon ko naash kar doonga. haan, yah talvar bijli ki tarah chamak rahi hai aur naash karne ke liye chamkayi gayi hai! 16  daayin taraf tezee se kaat! ab baayin taraf ghoom! tujhe jahaan jaane ka hukm diya jaaye vahaan jaa! 17  main bhi taali bajaunga aur apna gussa poori tarah utaroonga.+ mujh yahova ne yah baat kahi hai.” 18  yahova ka sandesh ek baar fir mere paas pahuncha. usne mujhse kaha, 19  “insan ke bete, baibilon ka raja apni talvar haath mein liye aa raha hai. uske liye do raaste tay kar. donon raaste ek hi desh se shuroo honge. jis jagah ye donon raaste alag hokar do shehron ki taraf jaayenge vahaan ek sanket-chinh lagaya jaaye. 20  tu nishan lagakar dikha ki unmein se kaun-saa raasta lene par uski talvar ammoniyon ke shehar rabbah jaayegi+ aur kaun-saa raasta lene par yahooda ke kileband shehar yarooshalem jaayegi.+ 21  jab baibilon ka raja us dorahe par aayega to vahaan rukkar shakun vicharega ki use kaun-saa raasta lena chahiye. woh apne teer hilayega, apni moorton* se salah-mashvira karega aur jaanvar ke kaleje ki jaanch karega. 22  jab woh shakun vicharega to uska daayaan haath yarooshalem ko chunega ki woh vahin jaaye, bakhtarband gaadiyaan khadi kare, katlaeaam ka hukm de, jang ka ailan kare, bakhtarband gaadiyon se uske faatak tod de, gherabandi ki deevar khadi kare aur dhalan banaye.+ 23  magar yah sab un logon* ko jhootha shakun lagega jinhonne unse shapath khaayi thi.+ magar raja unka dosh yaad karega aur unhein bandi banakar le jaayega.+ 24  isliye saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘tumne apne apradhon ko sareaam zahir kiya hai, tumne apne kaamon se apne paapon ka khulasa kiya hai. is tarah tumne khud yaad dilaya hai ki tum kitne doshi ho. ab kyonki tum yaad kiye jaa rahe ho, isliye tumhein zabardasti ghaseetkar le jaaya jaayega.’ 25  hey israel ke dusht pradhan, tu jo buri tarah ghaayal hai, tera din aa gaya hai.+ woh ghadi aa gayi hai jab tujhe saza dekar tera ant kar diya jaayega. 26  saare jahan ka maalik yahova tujhse kehta hai, ‘utaar apni pagdi, utaar de apna taaj.+ yah jaisa hai vaisa nahin rahega.+ jo neeche hai use oopar utha+ aur jo oopar hai use neeche gira.+ 27  ab main is raaj ka ant kar doonga, ant. haan, main iska ant kar doonga! jab tak woh nahin aata jiske paas kaanooni hak hai,+ tab tak yah kisi ka nahin hoga. jab woh aayega tab main yah usi ko doonga.’+ 28  insan ke bete, tu yah bhavishyavani karna, ‘saare jahan ka maalik yahova ammoniyon aur unki apman-bhari baaton ke baare mein yah kehta hai.’ tu yah kehna, ‘dekho ek talvar! logon ka ghaat karne ke liye ek talvar khinchi gayi hai. ise chamkaya gaya hai ki yah sabko khaa jaaye aur bijli ki tarah chamke. 29  tumhare baare mein jhoothe darshan dekhe gaye hain aur jhoothi bhavishyavani ki gayi hai, fir bhi tumhein un maare gaye logon ki laashon ke oopar dher kar diya jaayega, un dushton ki laashon* ke oopar jinka din aa gaya hai. woh ghadi aa gayi hai jab unhein saza dekar unka ant kar diya jaayega. 30  talvar apni myan mein vaapas rakh. jis jagah tumhein sirja gaya tha, jis desh mein tumhari shurooat hui thi vahin main tumhara nyay karoonga. 31  main tum par apne krodh ka pyala undeloonga. main tum par apne gusse ki aag foonkoonga aur tumhein un bereham logon ke haath kar doonga jo maar-kaat karne mein ustad hain.+ 32  tum aag jalane ki lakdi ban jaaoge,+ desh mein tumhare khoon ki nadiyaan baha di jaayengi aur tumhein fir kabhi yaad nahin kiya jaayega kyonki mujh yahova ne yah baat kahi hai.’”

kai footnote

shaa., “teri kamar.”
yaani dar ke maare peshab nikaal jaayega.
yaani yahova ki talvar.
ya “raajdand.”
shaa., “kul devtaon.”
yaani yarooshalem ke nivasiyon.
shaa., “ghaat kiye huon ki gardan.”