yahejkel 27:1-36
-
sor ke doobte jahaz ke baare mein shokgeet (1-36)
27 yahova ka sandesh ek baar fir mere paas pahuncha. usne mujhse kaha,
2 “insan ke bete, sor ke baare mein ek shokgeet gaa+
3 aur usse keh,
‘samundar ke faatkon par rehnevale,bahot-se dveepon ke deshon ke saath vyapar karnevale,saare jahan ka maalik yahova kehta hai,“hey sor, toone khud kaha hai, ‘meri sundarta bemisal* hai.’+
4 tere ilake samundar ke beechon-beech hain.tere kaareegaron ne tujhe itna nikhara ki teri sundarta bemisal* hai.
5 unhonne tere saare takhte saneer se laayi sanovar ki lakdi se banaye+tera mastool labanon ke ek devdar se banaya.
6 tere chappoo baashaan ke baanj ke pedon se taiyar kiyetere aage ka hissa kitteem dveepon+ ke saro ped ki lakdiyon se banaya gaya jis par haathi-daant ka kaam tha.
7 tere paal misra se laaye rang-birange malmal se banaye gaye,tere farsh par laga shaamiyana eleeshah+ dveepon se laaye neele dhaage aur bainjni oon ka bana tha.
8 tere khevaiye seedon aur arvad+ se the.
hey sor, tere naavik tere hi hunarmand aadmi the.+
9 teri judai karnevale, gabal ke kushal aur tajurbekar log* the.+
samundar ke sabhi jahaz aur unke mallah tere paas len-den karne aate the.
10 teri sena mein faaras, lood aur put+ ke yoddha the
woh tujh par apni dhaalein aur top latkaya karte the, unhonne teri shaan badha di thi.
11 teri sena mein arvad ke aadmi the jo tere chaaron taraf ki deevaron par tainat rehte the,teri meenaron par shoorveer khade rehte the.
tere chaaron taraf ki deevaron par woh apni gol dhaalein taangte the,unhonne tujhe itna nikhara ki teri sundarta bemisal* hai.
12 teri beshumar daulat dekhkar tarsheesh+ ne tere saath kaarobar kiya.+ usne tere maal ke badle tujhe chaandi, loha, raanga aur seesa diya.+
13 yaavan, toobal+ aur meshek+ ne tere saath vyapar kiya aur tere maal ke badle tujhe daas-daasiyaan+ aur tambe ki cheezen di.
14 togarma ke gharane+ ne tere maal ke badle tujhe ghode aur khachchar diye.
15 dadan+ ke logon ne bhi tere saath vyapar kiya. toone bahot-se dveepon mein saudagaron ko kaam par rakha. woh tujhe nazrane mein haathi-daant+ aur aabnoos ki lakdi diya karte the.
16 teri cheezon ki bharmar dekhkar edom ne tere saath kaarobar kiya. usne tere maal ke badle tujhe firoza, bainjni oon, rangeen kadhaidar kapde, behtareen-se-behtareen kapde, moonge aur maanik diye.
17 yahooda aur israel desh ne bhi tere saath vyapar kiya aur tere maal ke badle tujhe minneet+ ka gehoon, khaane ki badhiya-badhiya cheezen, shehad,+ tel aur balsan+ diya.+
18 teri cheezon ki bharmar aur teri saari daulat dekhkar damishk+ ne tere saath kaarobar kiya. usne tujhe badle mein helbon ki daakh-madira aur zehar ki oon* di.
19 oojal ke vadan aur yaavan ne tere maal ke badle tujhe pitvaan loha, taj* aur vach* diye.
20 dadan+ ne tere saath zeen ke kapdon* ka vyapar kiya.
21 toone arbi logon aur kedar+ ke sabhi pradhanon ko kaam par rakha jo memnon, medhon aur bakriyon ke vyapari the.+
22 sheeba aur raama+ ke saudagaron ne bhi tere saath vyapar kiya. unhonne tere maal ke badle tujhe har tarah ke badhiya-badhiya itra, keemti patthar aur sona diya.+
23 haaran,+ kanne aur adan+ ne, saath hi sheeba,+ assoor+ aur kalmad ke saudagaron ne tere saath vyapar kiya.
24 woh tere baazar mein sundar-sundar kapdon aur neele kapdon se bane aise chogon ka vyapar karte the jin par rangeen kadhai ka kaam tha. saath hi, rang-birange kaaleen ko rasson se achhi tarah baandhkar laate aur bechte the.
25 tarsheesh ke jahaz+ tera maal dhoya karte theisliye samundar ke beechon-beech tu hamesha saaman se lada rehta tha, bhara rehta tha.*
26 tere khevaiye tujhe samundar ki gehraiyon mein le gaye,poorab ki tez aandhi ne beech samundar mein tujhe aisa maara ki tu tahas-nahas ho gaya.
27 teri daulat, tera maal-asbab, tere mallah aur naavik,teri judai karnevale, tere vyapari+ aur tere sabhi yoddha,+tujh par savaar saari bheed,sabkuch us din beech samundar mein sama jaayega jab tu girega.+
28 tere naavikon ka cheekhna sunkar samundar kinare ke ilake kaanp utheinge.
29 sabhi khevaiye, mallah aur naavikapne-apne jahaz se utaarkar zameen par aa khade honge.
30 woh zor-zor se aur bilakh-bilakhkar royenge,+apne sir par dhool daaleinge aur raakh mein loteinge.
31 woh apna sir mundva leinge aur taat odheinge,tere liye vilap kareinge aur zor-zor se royenge.
32 woh maare dukh ke tere baare mein shokgeet gaayenge aur yah raag alapeinge:
‘sor ki takkar ka kaun hai, jo aaj gehre saagar mein khaamosh pada hai?+
33 tera maal samundar ke raaste aaya karta tha aur tu desh-desh ke logon ko khush karta tha.+
tu apni apar daulat aur maal-asbab se dharti ke raajaon ko maalamal karta tha.+
34 magar aaj tu samundar ki gehraiyon mein tootkar tahas-nahas ho gaya hai,+tere saath tera saara maal aur tere log doob gaye.+
35 dveepon ke sab log fati aankhon se tujhe dekheinge,+unke raja maare dar ke thar-thar kaanpeinge,+ unke chehre fak pad jaayenge.
36 raashtron ke saudagar teri yah haalaat dekhkar maare hairat ke seeti bajaayenge.
tera ant achanak aur bhayanak hoga,tu hamesha ke liye mit jaayega.’”’”+
kai footnote
^ ya “paripoorna.”
^ ya “paripoorna.”
^ shaa., “boodhe aadmi.”
^ ya “paripoorna.”
^ ya “laal-bhoore rang ki oon.”
^ yah daalcheeni ki jaati ka ek ped hai.
^ ek khushboodar narkat.
^ ya “bune huye kapdon se taiyar ki gayi poshakon.”
^ ya shaayad, “aur shaandar lagta tha.”