yahejkel 30:1-26

  • misra ke khilaf bhavishyavani (1-19)

    • nabookadnessar ka hamla (10)

  • firaun ki taakat todi gayi (20-26)

30  yahova ka sandesh ek baar fir mere paas pahuncha. usne mujhse kaha,  “insan ke bete, tu yah bhavishyavani kar: ‘saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “logo, yah kehkar vilap karo, ‘haay, woh din aa raha hai!’   woh din nazdeek hai. haan, yahova ka din nazdeek hai.+ woh kaali ghataon ka din hoga,+ raashtron ko saza dene ka samay hoga.+   misra par ek talvar chalegi, vahaan har kahin laashein padi hongi, yah dekhkar ithiyopiya baukhla jaayega. uski daulat loot li gayi hai, uski ninvein tod di gayi hain.+   ithiyopiya,+ put,+ lood aur mili-juli bheed*aur koob ke logon ko, saath hi karar kiye huye desh ke beton ko,*sabko talvar se maar giraya jaayega.”’   yahova kehta hai, ‘misra ke himayti bhi gir jaayengeaur uski taakat ka guroor tod diya jaayega.’+ saare jahan ka maalik yahova ailan karta hai, ‘migdol+ se lekar savene+ tak sabhi talvar se maare jaayenge.  unhein ujde huye deshon se bhi zyada ujaad diya jaayega aur unke shehar ujde huye shehron mein se sabse zyada ujaad pade raheinge.+  main misra ko aag mein jhonk doonga aur uske saath sandhi karnevale sabhi bhasm ho jaayenge. tab unhein jaanna hoga ki main yahova hoon.  us din main ithiyopiya ko, jise khud par kuch zyada hi bharosa hai, kanpane ke liye jahazon par apne doot bhejoonga. misra par jis din kehar tootega tab ithiyopiya baukhla jaayega. woh din zaroor aayega.’ 10  saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘main baibilon ke raja nabookadnessar* ke haathon misra ki bheed ka ant kar doonga.+ 11  misra ka naash karne ke liye nabookadnessar aur uski tukdiyon ko laaya jaayega jo raashtron mein se sabse khoonkhar log hain.+ woh apni talvar misra par chalayenge aur poore desh mein laashein bichha deinge.+ 12  main neel nadi ki nehron+ ko sukha doonga aur misra ko dushton ke haath bech doonga. yah desh aur ismein jo kuch hai, woh sab main pardesiyon ke haathon ujaad doonga.+ yah baat mujh yahova ne kahi hai.’ 13  saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘main ghinauni moorton* ka bhi naash kar doonga aur nop* ke nikamme devtaon ko mita doonga.+ iske baad fir kabhi misra ka apna koi haakim* nahin hoga. main misra mein aatank faila doonga.+ 14  main patros+ ko ujaad doonga aur soan ko aag se foonk doonga aur no* shehar ko bhi saza doonga.+ 15  aur main seen par, jo misra ka mazboot gadh hai, apne krodh ka pyala undeloonga aur no ki aabadi mita doonga. 16  main misra ko aag se foonk doonga aur seen par khauf chhaa jaayega, no mein ghuspaith ki jaayegi aur nop* par din-dahade hamla hoga! 17  on* aur peeveset ke javan talvar se maare jaayenge aur unke shehron mein rehnevalon ko bandi banakar le jaaya jaayega. 18  jab main tahapnahes mein misra ka jua todoonga to vahaan din mein hi andhera chhaa jaayega.+ us din uski taakat ka guroor toot jaayega,+ use kaale baadal dhak leinge aur uske kasbon mein rehnevale bandi bana liye jaayenge.+ 19  main misra ko saza doonga aur unhein jaanna hoga ki main yahova hoon.’” 20  fir 11vein saal ke pehale maheene ke saatvein din yahova ka yah sandesh mere paas pahuncha: 21  “insan ke bete, mainne misra ke raja firaun ka baazoo tod diya hai. uski tooti haddi ko theek karne ke liye us par patti nahin baandhi jaayegi aur woh kabhi talvar nahin utha sakega.” 22  “isliye saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘dekh, main misra ke raja firaun ke khilaf hoon.+ main uske donon baazoo tod doonga, jo mazboot hai use bhi aur jo toota hai use bhi.+ main uske haath se talvar gira doonga.+ 23  fir main misriyon ko alag-alag raashtron mein titar-bitar kar doonga aur doosre deshon mein bikhra doonga.+ 24  magar main baibilon ke raja ke baazuon ko mazboot karoonga*+ aur uske haath mein apni talvar doonga.+ main firaun ke baazoo tod doonga aur woh uske saamne* zor-zor se karahega jaise koi marta hua insan karahta hai. 25  main baibilon ke raja ke baazuon ko mazboot karoonga, jabki firaun ke baazoo dheele pad jaayenge. jab main baibilon ke raja ke haath mein apni talvar doonga aur woh use misra par chalayega+ to unhein jaanna hoga ki main yahova hoon. 26  main misri logon ko alag-alag raashtron mein titar-bitar kar doonga aur doosre deshon mein bikhra doonga.+ aur unhein jaanna hoga ki main yahova hoon.’”

kai footnote

ya “doosre raashtron ke sab log.”
shaayad yahaan misra se sandhi karnevale israeliyon ki baat ki gayi hai.
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
ya “pradhan.”
ya “memfis.”
inka ibrani shabd shaayad “mal” ke liye istemal honevale shabd se sambandh rakhta hai aur yah batane ke liye istemal hota hai ki kisi cheez se kitni ghin ki jaa rahi hai.
yaani theebeez.
ya “memfis.”
yaani heelio-polis.
ya “raja ki taakat badhaunga.”
yaani baibilon ke raja ke saamne.