yahejkel 31:1-18
-
unche devdar, misra ka girna (1-18)
31 fir 11vein saal ke teesre maheene ke pehale din, yahova ka sandesh ek baar fir mere paas pahuncha. usne mujhse kaha,
2 “insan ke bete, misra ke raja firaun aur uski bheed se kehna,+
‘apni mahanta ki vajah se tu kiske barbar hai?
3 ek ashshoori tha, labanon ka ek devdarjiski daaliyaan sundar thi, jo bahot uncha aur chhaayadar tha,uski choti baadlon ko chhooti thi.
4 paani ki dhaaraon ne use khoob badhaya, gehre paani ke soton ne use uncha kiya.
jahaan woh lagaya gaya tha vahaan chaaron taraf nadiyaan thi,unki naaliyaan maidan ke sabhi pedon ko sinchti thi.
5 isliye woh maidan ke baaki sabhi pedon se uncha ho gaya.
uski shaakhayen kai guna badhti gayin, daaliyaan lambee hoti gayin,kyonki uski nadiyon mein bharpoor paani tha.
6 aakash ke sabhi panchhi uski shaakhaon par basera karte the,sabhi jangli jaanvar uski daaliyon ke neeche bachche dete theaur ghani aabadeevale saare raashtra uski chhaanv mein rehte the.
7 uski sundarta aur lambee-lambee daaliyaan laajavab thi,kyonki uski jadein gehre paani mein andar tak faili hui thi.
8 parmeshvar ke baag+ mein koi aur devdar uske jaisa nahin tha.
na kisi sanovar par uske jaisi shaakhayen thi,na kisi chinar par uske jaisi daaliyaan.
parmeshvar ke baag mein koi aur ped aisa na tha jo sundarta mein use takkar de sake.
9 mainne hi use hara-bhara banakar sundar roop diya,sachche parmeshvar ke baag, adan ke baaki sabhi ped usse jalte the.’
10 isliye saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘woh* itna uncha hota gaya ki uski choti baadlon ko chhoone lagi aur apni unchai ki vajah se uska man ghamand se fool gaya.
11 main use raashtron ke sabse taakatvar shaasak ke havale kar doonga.+ woh uske khilaf kadam uthayega. main uski dushtata ki vajah se use thukra doonga.
12 pardesi jo duniya ke sabse khoonkhar log hain, woh aakaar use kaat daaleinge aur pahadon par chhod deinge. uski tahniyaan aur saare patte ghaatiyon mein jhad jaayenge, uski daaliyaan desh mein behti dhaaraon mein tooti padi raheingi.+ dharti ke jitne desh uski chhaanv tale rehte the woh sab use chhodkar chale jaayenge.
13 aakash ke saare panchhi uske gire huye tane par basera kareinge aur sabhi jangli jaanvar uski daaliyon par raha kareinge.+
14 aisa isliye hoga taaki paani ki dhaaraon ke paas laga koi bhi ped itna uncha na badhe aur na hi uski choti baadlon ko chhoone lage aur paani ki bahotayat se badhnevala koi bhi ped baadlon jitni unchai haasil na kare. ye saare ped maut ke havale kiye jaayenge aur inhein dharti ke neeche feink diya jaayega, us gaddhe* mein jahaan marnevale sabhi insan jaate hain.’
15 saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘jis din woh ped neeche kabraa mein jaayega us din main sabse maatam manvaunga. main nadiyon ko dhaanp doonga aur unki dhaarayen rok doonga, isliye pedon ko bharpoor paani milna band ho jaayega. us ped ki vajah se main labanon mein andhkar faila doonga aur maidan ke saare ped murjha jaayenge.
16 jab main use kabraa mein giraunga, us gaddhe* mein jahaan marnevale sabhi jaate hain to uske girne ke dhamake se sabhi raashtra thar-thar kaanpne lageinge. uske girne se adan ke sabhi ped+ aur labanon ke sabhi shaandar aur behtareen ped, jinki achhi sinchai hoti hai, dharti ke neeche dilasa paayenge.
17 woh uske saath kabraa mein neeche chale gaye jahaan woh sabhi pade hain jinhein talvar se maara gaya tha.+ saath hi uske himayti* bhi chale gaye jo raashtron ke beech uski chhaanv tale rehte the.’+
18 saare jahan ka maalik yahova ailan karta hai, ‘tu itna shaandar aur mahan hai ki adan ke baag ka koi bhi ped teri barbari nahin kar sakta.+ fir bhi tujhe neeche us jagah utara jaayega jahaan adan ke saare ped pade hain. tu un khatnarahit logon ke beech pada rahega jinhein talvar se maar daala gaya hai. firaun aur uski saari bheed ka yahi anjam hoga.’”