yahejkel 34:1-31

  • israel ke charvahon ke khilaf bhavishyavani (1-10)

  • yahova apni bhedon ki dekhbhal karta hai (11-31)

    • daavid unka charvaha hoga (23)

    • “ek shaanti ka karar” (25)

34  yahova ka sandesh ek baar fir mere paas pahuncha. usne mujhse kaha,  “insan ke bete, israel ke charvahon ke khilaf bhavishyavani kar. unse kehna, ‘saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “dhikkar hai israel ke charvahon par,+ jo bas apna hi pet bharte rehte hain! kya charvahon ka kaam yah nahin ki woh jhund ko khilayen-pilayen?+  tum jaanvaron ki charbi khaate ho, unki oon se apne liye garam kapde banate ho aur mote-taaze jaanvar halal karte ho,+ magar tum jhund ko charate nahin.+  tumne kamzoron ko mazboot nahin kiya, beemaron ko theek nahin kiya, ghaayalon ki marham-patti nahin ki, bhatke huon ko jhund mein vaapas nahin laaye aur khoye huon ko tum dhoondhne nahin gaye.+ iske bajay, tumne un par taanashahon ki tarah raaj kiya aur atyachar kiya.+  unka koi charvaha nahin tha, isliye woh titar-bitar ho gayin+ aur maidan ke sabhi jangli jaanvaron ka nivala ban gayin.  meri bhedein sabhi pahadon aur har pahadi par bhatakti rahin aur dharti ke kone-kone tak titar-bitar ho gayin. unki talash karnevala ya unhein dhoondhnevala koi nahin tha.  isliye charvaho, yahova ka yah sandesh suno,  ‘saare jahan ka maalik yahova ailan karta hai, “main apne jeevan ki shapath khaakaar kehta hoon, main zaroor kadam uthaunga. meri bhedein shikar ho gayin, sabhi jangli jaanvaron ka nivala ban gayin, kyonki unka koi charvaha nahin tha. mere charvahon ne meri bhedon ko nahin dhoondha. woh meri bhedon ko khilane-pilane ke bajay apna hi pet bharte rahe.”’  isliye charvaho, yahova ka sandesh suno. 10  saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘main in charvahon ke khilaf hoon aur unse apni bhedon ka hisab maangoonga.* main unhein bhedon ko charane* ke kaam se nikaal doonga+ aur woh fir kabhi apna pet na bhar sakeinge. main apni bhedon ko unke munh se chhudaunga taaki woh fir kabhi unka nivala na banein.’” 11  saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “dekho, main khud apni bhedon ko dhoondhkar laaunga aur unki dekhbhal karoonga.+ 12  jaise ek charvaha un bhedon ko dhoondhkar laata hai jo titar-bitar ho gayi hain aur unhein khilata-pilata hai, usi tarah main apni bhedon ki dekhbhal karoonga.+ main unhein un sabhi jagahon se bachakar le aaunga jahaan woh kaale ghane baadlon ke din+ titar-bitar ho gayi thi. 13  main unhein doosre deshon se nikaal laaunga aur unhein ikattha karoonga aur unke apne desh mein basaunga. main unhein israel ke pahadon par, nadiyon ke paas aur basi hui jagahon ke paas charaunga.+ 14  main hare-bhare charagahon mein unhein charaunga aur woh israel ke unche pahadon par chara kareingi.+ vahaan woh hariyali mein baitha kareingi+ aur israel ke pahadon par badhiya-se-badhiya charagahon mein chara kareingi.” 15  saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “main apni bhedon ko khud charaunga+ aur aaram karne ki jagah le jaaunga.+ 16  main khoyi hui bhed ko dhoondhoonga,+ bhatki hui ko vaapas laaunga, jo ghaayal hai uski marham-patti karoonga aur jo kamzor hai use mazboot karoonga, magar jo moti-taazee aur tagdi hai use mita daaloonga. main uska nyay karke use saza doonga.” 17  meri bhedo, saare jahan ka maalik yahova tumse kehta hai, “main bahot jald jhund ki bhedon, medhon aur bakron ka nyay karnevala hoon.+ 18  tumne badhiya-badhiya charagahon mein khoob khaaya hai. kya yah kaafi nahin tha jo ab baaki charagahon ko apne pairon se raundne lage ho? tumne ji-bharkar saaf paani peeya hai. kya yah kaafi nahin tha jo ab baaki paani ko pair maar-maarkar ganda karte ho? 19  kya meri bhedein un charagahon mein charein jinhein tumne raund daala hai aur woh paani peeyen jo tumne pair maarkar ganda kar diya hai?” 20  isliye saare jahan ka maalik yahova unse kehta hai, “dekho, main moti-taazee bhed aur dubli-patli bhed ka nyay khud karoonga 21  kyonki tum beemar bhedon ko apne paanjar aur kandhon se dhakelte rehte ho aur singon se tab tak maarte rehte ho jab tak ki woh door-door tak titar-bitar na ho jaayen. 22  main apni bhedon ko bachaunga aur woh fir kabhi kisi ka shikar nahin hongi.+ main harek bhed ka nyay karoonga. 23  main un sab par ek charvahe ko, apne sevak daavid ko thehraunga+ aur woh unhein charayega. woh khud unhein charayega aur unka charvaha ban jaayega.+ 24  main yahova unka parmeshvar hounga+ aur mera sevak daavid unka pradhan hoga.+ yah baat mujh yahova ne kahi hai. 25  main unke saath ek shaanti ka karar karoonga+ aur desh se khoonkhar jangli jaanvaron ko nikaal doonga+ taaki woh log veerane mein mehfooz reh sakein aur janglon mein so sakein.+ 26  main unhein aur us poore ilake ko, jo meri pahadi ke aas-paas hai, ek aasheesh thehraunga.+ main vakt par baarish karaunga aur vahaan aasheeshon ki bauchhar hogi.+ 27  maidan ke ped faleinge aur zameen apni upaj diya karegi+ aur woh desh mein mehfooz base raheinge. jab main unki gulami ka jua tod daaloonga+ aur unhein un logon ke haath se chhudaunga jinhonne unhein gulam bana liya hai, to unhein jaanna hoga ki main yahova hoon. 28  iske baad fir kabhi doosre raashtra unhein apna shikar nahin bana sakeinge aur jangli jaanvar unhein nahin khaa sakeinge. woh mehfooz base raheinge aur unhein koi nahin darayega.+ 29  main unhein aisa baag doonga jiska bada naam hoga aur woh fir kabhi desh mein akaal se nahin mareinge+ aur doosre raashtra unhein neecha nahin dikhayenge.+ 30  saare jahan ka maalik yahova ailan karta hai, ‘tab unhein jaanna hoga ki main unka parmeshvar yahova unke saath hoon aur israel ke gharane ke woh log meri praja hain.’”’+ 31  saare jahan ka maalik yahova ailan karta hai, ‘tum log meri bhedein ho+ jinki main dekhbhal karta hoon. tum adna insan ho aur main tumhara parmeshvar hoon.’”

kai footnote

ya “main unse apni bhedein vaapas maangoonga.”
ya “ki dekhbhal karne.”