yahejkel 37:1-28

  • sookhi haddiyon se bhari ghaati ka darshan (1-14)

  • do chhadiyaan jodi jaayengi (15-28)

    • ek raja ke adheen ek raashtra (22)

    • sada ke liye shaanti ka karar (26)

37  yahova ka haath mujh par tha aur yahova apni pavitra shakti se mujhe baahar le gaya aur usne mujhe ghaati ke maidan ke beechon-beech laakaar khada kiya.+ woh maidan haddiyon se bhara tha.  usne mujhe unke chaaron taraf ghumaya aur mainne dekha ki us maidan mein haddiyaan-hi-haddiyaan bhari hain aur woh sabhi ekdam sookhi hain.+  usne mujhse poochha, “insan ke bete, kya in haddiyon mein dobara jaan aa sakti hai?” mainne kaha, “hey saare jahan ke maalik yahova, yah to sirf tu jaanta hai.”+  tab usne mujhse kaha, “in haddiyon ke baare mein bhavishyavani kar aur unse keh, ‘sookhi haddiyo, yahova ka yah sandesh suno:  saare jahan ka maalik yahova in haddiyon se kehta hai, “main tumhare andar saans foonkoonga aur tum zinda ho jaaogi.+  main tum par nasein lagaunga, maans bharoonga, khaal chadhaunga aur tummein saans foonkoonga aur tab tum zinda ho jaaogi. aur tumhein jaanna hoga ki main yahova hoon.”’”  fir main bhavishyavani karne laga theek jaise mujhe aagya di gayi thi. main bhavishyavani kar hi raha tha ki mujhe zor ki khadkhadahat sunayi padi aur mainne dekha ki haddiyaan ek-doosre se judne lagi hain.  fir mainne dekha ki haddiyon par nasein lag rahi hain, maans bhar raha hai aur khaal chadh rahi hai. lekin ab bhi unmein saans nahin thi.  fir usne mujhse kaha, “hava ko bhavishyavani suna. insan ke bete, hava ko bhavishyavani suna aur usse keh, ‘saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “hey hava,* chaaron dishaon se aakaar in maare gaye logon mein sama jaa taaki ye zinda ho jaayen.”’” 10  tab jaise mujhe bataya gaya tha, mainne hava ko bhavishyavani sunayi. tab unmein saans aa gayi aur woh zinda ho gaye aur apne pairon par uth khade huye.+ aur woh ek bahot badi sena ban gaye. 11  fir usne mujhse kaha, “insan ke bete, in haddiyon ka matlab israel ka poora gharana hai.+ woh kehte hain, ‘hamari haddiyaan sookh gayi hain, hamari aasha mit chuki hai.+ hamein poori tarah kaat daala gaya hai.’ 12  isliye tu unhein yah bhavishyavani suna, ‘saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “mere logo, main tumhari kabrein kholkar+ tumhein vahaan se uthaunga aur israel desh le jaaunga.+ 13  mere logo, jab main tumhari kabrein kholoonga aur tumhein vahaan se uthaunga tab tumhein jaanna hoga ki main yahova hoon.”’+ 14  ‘main tummein apni pavitra shakti daaloonga aur tum zinda ho jaaoge.+ main tumhein tumhare desh mein basaunga aur tumhein jaanna hoga ki yah baat mujh yahova ne kahi hai aur mainne hi ise poora kiya hai.’ yahova ka yah ailan hai.” 15  yahova ka sandesh ek baar fir mere paas pahuncha. usne mujhse kaha, 16  “insan ke bete, ek chhadi le aur us par yah likh, ‘yahooda ke liye aur israel ke logon ke liye jo uske saath* hain.’+ fir ek aur chhadi le aur us par yah likh, ‘epraim ki chhadi, yoosuf ke liye aur israel ke poore gharane ke liye jo uske saath* hai.’+ 17  fir un chhadiyon ko ek-doosre ke paas laa taaki woh donon tere haath mein judkar ek chhadi ban jaayen.+ 18  jab tere log* tujhse kaheinge, ‘kya tu hamein nahin batayega ki in sab baaton ka kya matlab hai?’ 19  to tu unse kehna, ‘saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “main epraim ke haath se yoosuf ki chhadi loonga aur israel ke sabhi gotron ko loonga jo yoosuf ke saath hain aur unhein yahooda ki chhadi se jod doonga aur donon ko ek hi chhadi banaunga+ aur woh mere haath mein ek chhadi ban jaayenge.”’ 20  woh chhadiyaan jin par tu likhega, tere haath mein hi rahein taaki log unhein dekh sakein. 21  fir tu logon ko batana, ‘saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “main israeliyon ko un raashtron se nikaaloonga jahaan woh chale gaye hain aur unhein har disha se ikattha karke unke apne desh le jaaunga.+ 22  fir israel ke pahadon par main unke desh mein un sabse ek raashtra banaunga+ aur un sab par ek hi raja raaj karega.+ iske baad woh do alag-alag raashtra nahin honge, na hi do raajyon mein bate huye honge.+ 23  woh fir kabhi apni ghinauni moorton,* apne neech kaamon aur apradhon se khud ko dooshit nahin kareinge.+ unhonne mere saath vishvasghat karke jo-jo paap kiye the unse chhudakar main unhein shuddh karoonga. tab woh mere log honge aur main unka parmeshvar hounga.+ 24  mera sevak daavid unka raja hoga+ aur un sabka ek hi charvaha hoga.+ woh mere nyay-siddhaanton ko maaneinge aur meri vidhiyon ka sakhti se paalan kareinge.+ 25  woh us desh mein baseinge jo mainne apne sevak yakub ko diya tha aur jahaan tumhare baap-daade rehte the.+ woh aur unke bachche* aur naati-pote sada usmein base raheinge.+ aur mera sevak daavid sada ke liye unka pradhan* bana rahega.+ 26  main unke saath ek shaanti ka karar karoonga.+ yah karar sada tak kaayam rahega. main unhein unke desh mein basaunga aur unki ginti badhaunga+ aur unke beech sada ke liye apna pavitra-sthan khada karoonga. 27  mera dera* unke beech hoga* aur main unka parmeshvar hounga aur woh mere log honge.+ 28  jab mera pavitra-sthan sada ke liye unke beech bana rahega to sabhi raashtron ko jaanna hoga ki main yahova israel ko pavitra kar raha hoon.”’”+

kai footnote

ya “saans.”
ya “saajhedar.”
ya “uska saajhedar.”
shaa., “tere logon ke bete.”
inka ibrani shabd shaayad “mal” ke liye istemal honevale shabd se sambandh rakhta hai aur yah batane ke liye istemal hota hai ki kisi cheez se kitni ghin ki jaa rahi hai.
ya “haakim.”
shaa., “bete.”
ya “nivas-sthan; ghar.”
ya “unke oopar tana rahega.”