yahejkel 38:1-23
38 yahova ka sandesh ek baar fir mere paas pahuncha. usne mujhse kaha,
2 “insan ke bete, maagog desh ke gog+ ki taraf munh kar jo meshek aur toobal+ ke pradhanon ka mukhiya* hai aur uske khilaf yah bhavishyavani kar:+
3 ‘saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “hey gog, meshek aur toobal ke pradhanon ke mukhiya,* dekh main tere khilaf hoon.
4 main tujhe fer doonga, tere jabdon mein kaante daaloonga+ aur tujhe teri poori sena samet khinch laaunga,+ tere ghodon aur ghudsavaaron ko, jo badhiya aur shaandar kapde pehne hain. teri us badi toli ko main khinch laaunga jo badi dhaalon, chhoti dhaalon* aur talvaron se lais hai.
5 unke saath faaras, ithiyopiya aur put+ ke sainik bhi hain jo haath mein chhoti dhaal liye aur sir par top pehne hain.
6 gomer aur uski saari tukdiyaan aur uttar ke door-daraz ilakon se togarma ka gharana+ aur unki saari tukdiyaan bhi tere saath hain. tere saath kai desh hain.+
7 tu apni saari senaon ke saath taiyar ho jaa, yuddh ke liye taiyar ho jaa. tu un sabka senapati hoga.
8 kai din beetne ke baad tujh par dhyan diya jaayega.* aakhirkar kai saalon baad tu us desh par dhaava bol dega, jiske log talvar se ghaav khaane ke baad bahaal kiye gaye the. unhein kai deshon se ikattha karke israel ke pahadon par basaya gaya tha jo lambe arse se ujaad pade the. is desh ke nivasiyon ko doosre deshon se nikaalkar vaapas unke apne desh mein basaya gaya tha aur woh sab mehfooz ji rahe hain.+
9 tu tez aandhi ki tarah un par toot padega aur apni senaon aur kai deshon ke saath unke desh ko baadlon ki tarah dhak lega.”’
10 saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘us din tere man mein tarah-tarah ke vichar utheinge aur tu ek saazish rachega.
11 tu kahega, “main jaakaar us desh par dhaava boloonga jiski bastiyon ki hifazat ke liye koi deevar nahin hai.*+ main un logon par hamla karoonga jo bina kisi dar ke mehfooz ji rahe hain. woh sab aisi bastiyon mein rehte hain jinki hifazat ke liye na koi deevar hai, na koi faatak aur na bede.”
12 tu sochega ki main jaakaar poore desh ko loot loonga aur vahaan se khoob saara maal batorkar laaunga. main un saari jagahon par hamla karoonga jo pehale ujaad padi thi magar ab aabad hain.+ main un logon par hamla karoonga jinhein doosre raashtron se dobara ikattha kiya gaya hai+ aur jo ab dharti ke beechon-beech rehte hain aur apni dhan-sampatti badhate jaa rahe hain.+
13 sheeba+ aur dadan,+ saath hi tarsheesh ke vyapari+ aur uske sabhi veer yoddha* tujhse kaheinge, “kya tu us desh par dhaava bolkar khoob saara maal aur loot batorne jaa raha hai? kya toone sona-chaandi aur daulat lootne, zameen-jaaydad hadapne aur khoob saari loot le jaane ke liye apni senaon ko taiyar kiya hai?”’
14 isliye insan ke bete, tu gog ko yah bhavishyavani suna: ‘saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “us din jab mere log mehfooz base raheinge to beshak teri nazar un par padegi.+
15 tu uttar se, apne door-daraz ilakon se aayega.+ tu aur tere saath bahot-se desh aayenge, tum sabki badi toli aur vishal sena ghodon par savaar hokar aayegi.+
16 tum meri praja israel par aise dhaava bologe jaise ghane baadal ek desh ko dhak lete hain. hey gog, main aakhiri dinon mein tujhe apne desh ke khilaf laaunga+ taaki teri vajah se jab main raashtron ke saamne khud ko pavitra thehraun to woh jaan lein ki main kaun hoon.”’+
17 saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘kya tu vahi nahin jiske baare mein mainne bahot pehale apne sevkon se, israel ke bhavishyavaktaon se kehalvaya tha? unhonne kai saalon tak bhavishyavani ki thi ki tujhe israeliyon par hamla karne ke liye laaya jaayega.’
18 saare jahan ka maalik yahova ailan karta hai, ‘jis din gog israel desh par hamla karega, us din mere krodh ki jvala bhadak uthegi.+
19 main badi jaljalahat mein aakaar boloonga aur us din israel desh mein ek bhaari bhookamp hoga.
20 meri vajah se samundar ki machhliyaan, aakash ke pakshi, maidan ke jangli jaanvar, zameen par reingnevale sabhi jeev aur dharti ke sabhi insan kaanp utheinge aur pahad dhaa diye jaayenge,+ khadi chattanein tootkar gir padeingi aur harek deevar tootkar gir jaayegi.’
21 saare jahan ka maalik yahova ailan karta hai, ‘main apne sabhi pahadon par hukm doonga ki gog par talvar chalayi jaaye. tab har koi apne hi bhaai par talvar chalayega.+
22 main us par mahamari laakaar+ aur khoon ki nadiyaan bahakar use saza doonga.* main us par aur uski saari senaon aur kai deshon par jo uske saath hain, moosladhar baarish karaunga, ole, aag aur gandhak barsaunga.+
23 main bahot-se raashtron ke dekhte apni mahima karoonga, khud ko pavitra thehraunga aur khud ko prakat karoonga aur unhein jaanna hoga ki main yahova hoon.’
kai footnote
^ ya “ka pradhan haakim.”
^ ya “pradhan haakim.”
^ ye dhaalein aksar teerandaz dhote the.
^ ya “tujhe bulaya jaayega.”
^ ya “jo khuli bastiyon ka desh hai.”
^ ya “javan sher.”
^ ya “usse mukadma ladoonga.”