yahejkel 44:1-31

  • poorab ka darvaza band rahega (1-3)

  • pardesiyon ke baare mein niyam (4-9)

  • leviyon aur yaajkon ke liye niyam (10-31)

44  woh mujhe vaapas pavitra-sthan ke us baahri darvaze ke paas le aaya jo poorab mein tha.+ woh darvaza band tha.+  fir yahova ne mujhe bataya, “yah darvaza band hi rahega. ise khola nahin jaayega aur koi bhi insan ismein se nahin jaa paayega. israel ke parmeshvar yahova ne is darvaze se pravesh kiya hai,+ isliye ise band rakha jaaye.  lekin pradhan is darvaze ke andar baithega taaki yahova ke saamne roti khaaye+ kyonki woh ek pradhan hai. woh darvaze ke baramde se hokar andar aaya karega aur us baramde se hokar baahar jaaya karega.”+  iske baad woh mujhe uttari darvaze se mandir ke saamne le aaya. vahaan mainne dekha ki yahova ka mandir yahova ki mahima se bhara hua hai+ aur main munh ke bal zameen par gir pada.+  fir yahova ne mujhse kaha, “insan ke bete, main tujhe yahova ke mandir ki vidhiyon aur uske niyamon ke baare mein jo kuch bataunga us par dhyan dena, main tujhe jo kuch dikhaunga use gaur se dekhna aur meri har baat kaan lagakar sunnaa. pavitra-sthan ke pravesh aur baahar nikaalne ke sabhi raaston ko tu dhyan se dekhna.+  tu israel ke bagavti gharane se kehna, ‘saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “israel ke gharane ke logo, bahot ho chuka! tumne ghinaune kaam karne mein had kar di hai.  tum mere pavitra-sthan ke andar un pardesiyon ko le aate ho jo tan aur man se khatnarahit hain aur woh mere mandir ko dooshit kar dete hain. ek taraf to tum mujhe roti, charbi aur khoon arpit karte ho, vahin doosri taraf ghinaune kaam karke mera karar todte ho.  tumne meri pavitra cheezon ki dekhbhal nahin ki.+ iske bajay, tum mere pavitra-sthan se judi zimmedariyaan doosron ko saunp dete ho.”’  ‘saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “israel mein rehnevale aise kisi bhi pardesi ko mere pavitra-sthan ke andar kadam rakhne ki ijazat nahin hai jo tan aur man se khatnarahit hai.”’ 10  ‘jab israel meri raah se firkar door chala gaya aur apni ghinauni moorton* ke peechhe chalne laga, tab jo levi mujhse door chale gaye the,+ unhein apne gunah ka anjam bhugatna padega. 11  fir woh mere pavitra-sthan mein sevak bankar mandir ke darvazon ki nigrani kareinge+ aur mandir mein seva kareinge. woh logon ki poori hom-bali aur doosre balidanon ke jaanvar halal kiya kareinge aur logon ki seva karne ke liye unke saamne haazir raheinge.’ 12  saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘un leviyon ne logon ki seva unki ghinauni moorton ke saamne ki aur aisa karke woh israel ke gharane ke liye thokar ka patthar bane jis vajah se usne paap kiya.+ isliye mainne haath uthakar shapath khaayi hai ki unhein apne gunah ka anjam bhugatna padega. 13  woh mere yaajkon ke naate mere paas aakaar seva nahin kareinge aur meri kisi bhi cheez ke paas nahin jaayenge jo pavitra ya bahot pavitra hai. unhein apne ghinaune kaamon ki vajah se sharminda hona padega. 14  lekin main unhein mandir ki zimmedariyaan saunpoonga taaki woh vahaan seva ke sabhi kaam kar sakein.’+ 15  saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘lekin jahaan tak saadok vansh ke levi yaajkon ki baat hai,+ woh mere paas aakaar meri seva kareinge aur mere saamne haazir hokar mujhe charbi aur khoon arpit kareinge+ kyonki jab israeli meri raah se firkar door chale gaye the, tab bhi ye levi mere pavitra-sthan mein apni zimmedariyaan nibhate rahe.+ 16  ye log hi mere pavitra-sthan mein kadam rakheinge aur meri mez ke paas aakaar meri seva kiya kareinge+ aur meri taraf unki jo zimmedari banti hai use poora kareinge.+ 17  jab woh bheetri aangan ke darvazon ke andar jaayenge to unhein malmal ke kapde pehanne chahiye.+ jab woh bheetri aangan ke darvazon mein ya andar seva karte hain to unke shareer par koi bhi ooni kapda nahin hona chahiye. 18  unhein malmal ki pagdi aur malmal ke lambe jaanghiye pehanne chahiye.+ unhein aisa koi bhi kapda nahin pehanna chahiye jisse paseena chhootta hai. 19  jab bhi unhein baahri aangan mein jaana ho jahaan aam log hote hain, to unhein pehale apni woh poshak badalni chahiye jise pehankar woh mandir mein seva karte hain.+ unhein apni poshak bhojan ke pavitra kamron* mein rakh deni chahiye.+ unhein doosre kapde pehankar baahri aangan mein jaana chahiye taaki woh apni pavitra poshak se aam logon ko pavitra na karein. 20  unhein apna sir nahin mundana chahiye+ aur na hi apne baal zyada badhane chahiye. unhein baal katvate rehna chahiye. 21  yaajkon ko bheetri aangan mein jaane se pehale daakh-madira nahin peeni chahiye.+ 22  unhein ek vidhva ya talakshuda aurat ko apni patni nahin banana chahiye.+ magar woh israeliyon mein se kisi kunvari ladki se ya yaajak ki vidhva se shaadi kar sakte hain.’+ 23  ‘yaajkon ko chahiye ki woh mere logon ko pavitra aur aam baaton ke beech aur shuddh aur ashuddh baaton ke beech fark karna sikhayen.+ 24  unhein nyayi bankar mukadmon ki sunvai karni chahiye+ aur mere nyay-siddhaanton ke mutabik faisla karna chahiye.+ unhein mere sabhi tyoharon ke niyamon aur vidhiyon ka paalan karna chahiye+ aur mere sabton ko pavitra maanna chahiye. 25  unhein kisi insan ki laash ke paas nahin jaana chahiye varna woh ashuddh ho jaayenge. lekin agar ek yaajak ke pita, uski maa, bete, beti, bhaai ya avivahit behen ki maut ho jaati hai to woh uski laash ke paas jaa sakta hai aur ashuddh ho sakta hai.+ 26  fir us yaajak ko shuddh hone ke baad saat din intazar karna chahiye. 27  iske baad woh jis din bheetri aangan mein yaani pavitra jagah mein seva karne jaayega us din use apne liye ek paap-bali chadhani hogi.’+ saare jahan ke maalik yahova ka yah ailan hai. 28  ‘unki virasat yah hogi: main hi unki virasat hoon.+ israel desh mein tum unhein koi zameen na dena kyonki main unki jaageer hoon. 29  ye hi woh log hain jinhein anaj ke chadhave, paap-bali aur dosh-bali mein se hissa khaane ko milega+ aur israel mein samarpit ki hui har cheez unki hogi.+ 30  tumhari har tarah ki pehali upaj ke sabse badhiya falon par aur tumhare har tarah ke daan par yaajkon ka hak hoga.+ saath hi, tum pehale fal ka anaj dardara kootkar yaajkon ko dena.+ isse tumhare gharane par aasheesh bani rahegi.+ 31  yaajkon ko kisi aise pakshi ya jaanvar ka gosht nahin khaana chahiye, jo mara hua ya faada hua paaya jaata hai.’+

kai footnote

inka ibrani shabd shaayad “mal” ke liye istemal honevale shabd se sambandh rakhta hai aur yah batane ke liye istemal hota hai ki kisi cheez se kitni ghin ki jaa rahi hai.
ya “khaanon.”