yahejkel 45:1-25
45 ‘jab tum desh ki zameen virasat mein baantoge,+ to usmein se ek bhaag yahova ko bheint karna. yah desh ka pavitra bhaag hoga.+ iski lambai 25,000 haath* aur chaudai 10,000 haath honi chahiye.+ yah poora bhaag* pavitra hoga.
2 isi zameen ka ek chaukor hissa pavitra jagah ke liye hoga, jiski lambai 500 haath aur chaudai 500 haath hogi.*+ pavitra jagah ke chaaron taraf pachas-pachas haath chauda charagah hoga.+
3 pavitra bhaag mein se 25,000 haath lambee aur 10,000 haath chaudi zameen alag karna. us zameen mein pavitra-sthan hoga jo bahot pavitra hoga.
4 zameen ka yah tukda yaajkon ko diya gaya pavitra bhaag hoga,+ jo pavitra-sthan ke sevak hain aur yahova ke paas aakaar uski seva karte hain.+ isi hisse mein unke ghar honge aur pavitra-sthan ke liye pavitra jagah bhi hogi.
5 mandir mein seva karnevale leviyon ke liye zameen ka ek tukda hoga, jiski lambai 25,000 haath aur chaudai 10,000 haath hogi.+ aur bhojan ke 20 kamre*+ unke hisse mein honge.
6 tum shehar ke liye 25,000 haath lambee aur 5,000 haath chaudi zameen alag karna.+ (yah zameen bheint kiye gaye pavitra bhaag ke barbar mein hogi.) yah zameen israel ke poore gharane ki hogi.
7 pradhan ki zameen, pavitra bheint ki zameen aur shehar ke liye alag ki gayi zameen ke donon taraf hogi. uski zameen, pavitra bheint ki zameen aur shehar ki zameen ke paas hogi. yah pashchim aur poorab ki taraf hogi. iski lambai poorab se pashchim ki sarhad tak baaki gotron ki zameen ki lambai ke barbar hogi.+
8 israel mein yah zameen pradhan ki jaageer hogi. mere thehraye pradhan fir kabhi mere logon ke saath badsalooki nahin kareinge+ aur woh israel ke gharane ke liye gotron ke hisab se zameen ka batvara kareinge.’+
9 saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘israel ke pradhano, bahot ho chuka!’
‘ab logon ko satana aur un par atyachar karna band karo. nyay karo.+ mere logon ki jaaydad hadapna band karo.’+ saare jahan ke maalik yahova ne yah ailan kiya hai.
10 ‘tumhein aisa tarazoo, epa* aur bat* istemal karna chahiye jo sahi ho.+
11 tumhare epa aur bat tay naap ke hone chahiye. bat mein homer* ka dasvaan bhaag samaye aur epa mein bhi homer ka dasvaan bhaag samaye. donon ki naap homer ke hisab se honi chahiye.
12 ek shekel*+ 20 gera* ka hona chahiye. aur 20 shekel, 25 shekel aur 15 shekel ko milakar ek maaneh* hoga.’
13 ‘tumhein bheint mein yah sab dena chahiye: har homer gehoon mein se epa ka chhatha bhaag aur har homer jau mein se epa ka chhatha bhaag.
14 tumhein tel ka jo tay hissa dena hai, woh bat ke hisab se naapkar diya jaaye. bat, kor* ka dasvaan bhaag hai. bat, homer ka bhi dasvaan bhaag hai kyonki das bat se ek homer banta hai.
15 aur israel ke jaanvaron ke jhund mein se har 200 bhedon mein se ek bhed dena. ye saari bheint anaj ke chadhave,+ poori hom-bali+ aur shaanti-baliyon+ ke liye hogi taaki logon ke liye prayashchit kiya jaa sake.’+ saare jahan ke maalik yahova ka yah ailan hai.
16 ‘desh ke sabhi log israel ke pradhan ko yah bheint diya kareinge.+
17 lekin pradhan is baat ke liye zimmedar hoga ki tyoharon aur naye chaand ke maukon par, sabton+ aur israel ke gharane ke liye tay kiye gaye saare tyoharon ke dauran poori hom-baliyaan,+ anaj ka chadhava+ aur argh diya jaaye.+ usi ko paap-bali, anaj ke chadhave, poori hom-bali aur shaanti-baliyon ka intazam karna hoga taaki israel ke gharane ke liye prayashchit kiya jaa sake.’
18 saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘pehale maheene ke pehale din tum jhund mein se aisa bail lena, jismein koi dosh na ho aur uski bali chadhakar pavitra-sthan se paap door karna aur use shuddh karna.+
19 yaajak paap-bali ka thoda khoon lekar mandir ke faatak ki chaukhat par,+ vedi ke kagar ke chaaron konon par aur bheetri aangan ke darvaze ke khambhe par lagayega.
20 aisa tum maheene ke saatvein din bhi karna kyonki ho sakta hai koi anjane mein ya galti se paap kar baitha ho.+ tumhein mandir ke liye prayashchit karna hoga.+
21 pehale maheene ke 14vein din tum fasah ka tyohar manaoge.+ saat din tak tumhein bin-khameer ki roti khaani chahiye.+
22 us din pradhan apni khaatir aur desh ke sabhi logon ki khaatir paap-bali ke liye ek bail ka intazam karega.+
23 saat din ke tyohar mein woh yahova ko poori hom-bali chadhane ke liye aise saat bailon aur saat medhon ka intazam karega jinmein koi dosh na ho.+ saath hi, woh paap-bali ke liye saat bakron ka bhi intazam karega. har din ek-ek bail, medhe aur bakre ki bali ki jaayegi.
24 use har bail aur medhe ke saath ek-ek epa anaj ka chadhava aur har epa ke saath ek heen* tel ka intazam karna chahiye.
25 saatvein maheene ke 15vein din se shuroo honevale saat din ke tyohar ke dauran+ bhi use vaisi hi paap-bali, poori hom-bali, anaj ke chadhave aur tel ka intazam karna chahiye.’”
kai footnote
^ yah lambe haath ka maap hai. ati. kha14 dekhein.
^ ya “uski saari sarhadon ke andar ki jagah.”
^ shaa., “500 bate 500.”
^ ya “khaane.”
^ ati. kha14 dekhein.
^ ati. kha14 dekhein.
^ ati. kha14 dekhein.
^ ya “meena.” ati. kha14 dekhein.
^ ati. kha14 dekhein.
^ ati. kha14 dekhein.
^ ati. kha14 dekhein.
^ ati. kha14 dekhein.