yahejkel 8:1-18

  • darshan mein yahejkel yarooshalem mein (1-4)

  • mandir mein ghinaune kaam dekhe (5-18)

    • aurtein tammooj ke liye ro rahi hain (14)

    • aadmi sooraj ki pooja kar rahe hain (16)

8  chhathe saal* ke chhathe maheene ke paanchvein din, jab main apne ghar mein baitha hua tha aur yahooda ke mukhiya mere saamne baithe huye the, tab saare jahan ke maalik yahova ka haath mujh par aaya.  jab mainne dekha to mujhe koi nazar aaya jiska roop aag jaisa tha. aur uska jo bhaag kamar jaisa lag raha tha+ uske neeche ke poore hisse mein aag thi aur kamar se oopar ka hissa sone-chaandi jaisa chamchama raha tha.+  fir usne haath jaisa kuch aage badhaya aur mere sir ke baalon se mujhe pakda. aur ek shakti* ne mujhe dharti aur aakash ke beech uthaya aur woh parmeshvar ki taraf se mile darshanon mein mujhe yarooshalem le aayi. woh mujhe bheetri faatak ke pravesh par le aayi+ jo uttar ki taraf hai. vahaan woh moorat rakhi hui thi jo parmeshvar ko krodh dilati hai.+  aur dekho! vahaan israel ke parmeshvar ki vaisi hi mahima thi+ jaisi mainne ghaati mein dekhi thi.+  fir usne mujhse kaha, “insan ke bete, zara apni nazrein uthakar uttar ki taraf dekh.” tab mainne uttar ki taraf nazrein uthayin aur dekha ki vahaan vedi ke darvaze ke uttar ki taraf pravesh mein woh moorat thi jo parmeshvar ko krodh dilati hai.  fir usne mujhse kaha, “insan ke bete, kya tu dekh raha hai ki israel ka gharana yahaan kaise neech aur ghinaune kaam kar raha hai+ jis vajah se main apne pavitra-sthan se door jaane par majboor ho gaya hoon?+ magar ab tu aise ghinaune kaam dekhega jo isse bhi bhayankar hain.”  fir woh mujhe aangan ke pravesh par le aaya aur vahaan mainne deevar mein ek chhed dekha.  usne mujhse kaha, “insan ke bete, is deevar mein ek bada-saa chhed kar.” tab mainne deevar mein bada-saa chhed kiya aur dekha ki vahaan andar jaane ka ek raasta hai.  usne mujhse kaha, “ab tu andar jaa aur dekh ki vahaan log kitne bure aur ghinaune kaam kar rahe hain.” 10  fir main andar gaya aur mainne nazar daudayi to dekha ki vahaan deevar par chaaron taraf tarah-tarah ke reingnevale jeev-jantuon, ashuddh jaanvaron+ aur israel ke gharane ki saari ghinauni moorton*+ ki nakkashiyaan bhari padi hain. 11  aur unke saamne israel ke gharane ke 70 mukhiya khade hain jinmein shaapan+ ka beta yaajanyah bhi tha. har mukhiya ke haath mein uska dhoopdan tha jismein se sugandhit dhoop ka dhuaan baadal ki tarah oopar uth raha tha.+ 12  usne mujhse kaha, “insan ke bete, kya tu dekh raha hai ki israel ke gharane ke mukhiya yahaan andhere mein kya kar rahe hain? kya tu dekh raha hai ki woh sabhi andarvale kamron mein kya kar rahe hain, jahaan unki apni-apni moorton ki numaish lagi hui hai?* woh keh rahe hain, ‘yahova hamein nahin dekh raha. yahova ne is desh ko chhod diya hai.’”+ 13  fir usne mujhse kaha, “ab aage tu logon ko aise-aise ghinaune kaam karte dekhega jo isse bhi bhayankar hain.” 14  fir woh mujhe yahova ke bhavan ke uttari darvaze ke pravesh par le aaya. vahaan mainne dekha ki kuch aurtein baithi hui tammooj devta ke liye ro rahi thi. 15  fir usne mujhse kaha, “insan ke bete, kya tu yah sab dekh raha hai? ab tu isse bhi badhkar ghinaune kaam dekhega.”+ 16  fir woh mujhe yahova ke bhavan ke bheetri aangan mein le aaya.+ vahaan yahova ke mandir ke pravesh par, baramde aur vedi ke beech kareeb 25 aadmi the. woh sab apni peeth yahova ke mandir ki taraf aur apna munh poorab ki taraf kiye huye the aur poorab mein sooraj ko dandvat kar rahe the.+ 17  usne mujhse kaha, “insan ke bete, kya tu yah sab dekh raha hai? kya yah koi chhoti baat hai ki yahooda ka gharana aise-aise ghinaune kaam kare aur poore desh ko khoon-kharabe se bhar de+ aur mujhe krodh dilata rahe? aur dekh, woh us daali* ko meri naak ke paas laa rahe hain. 18  isliye ab main krodh mein aakaar unhein saza doonga. meri aankhein un par taras nahin khaayengi aur na hi main un par daya karoonga.+ chahe woh cheekh-cheekhkar meri duhai dein fir bhi main unki nahin sunoonga.”+

kai footnote

yahaan bandhuai mein yahejkel ke chhathe saal ki baat ki gayi hai.
yahaan istemal huye ibrani shabd ka matlab pavitra shakti ya koi swargdoot ho sakta hai.
inka ibrani shabd shaayad “mal” ke liye istemal honevale shabd se sambandh rakhta hai aur yah batane ke liye istemal hota hai ki kisi cheez se kitni ghin ki jaa rahi hai.
ya “ki woh gadhi hui moortonvale bheetri kamron mein kya kar rahe hain?”
zahir hai ki yah moortipooja mein istemal ki jaanevali daali hai.