yahoshoo 1:1-18

  • yahova ne yahoshoo ki himmat baandhi (1-9)

    • kaanoon dheemi aavaz mein padhna (8)

  • yardan paar karne ki taiyariyaan (10-18)

1  yahova ke sevak moosa ki maut ke baad yahova ne moosa ke sevak, noon ke bete yahoshoo*+ se kaha,  “mera sevak moosa mar chuka hai.+ ab tu israel ke logon ko lekar yardan ke paar jaa aur unhein us desh mein le jaa jo main unhein denevala hoon.+  jahaan bhi tumhare kadam padeinge woh jagah tumhari ho jaayegi, jaisa mainne moosa se vaada kiya tha.+  tumhara ilaka is veerane se lekar labanon aur mahanadi farat tak (jo hittiyon ka saara ilaka hai)+ aur pashchim mein mahasagar* tak faila hoga.+  tere jeevan-bhar koi tujhe hara nahin paayega.+ jaise main moosa ke saath tha vaise hi tere saath rahoonga.+ main tera saath kabhi nahin chhodoonga aur na hi tujhe tyagoonga.+  tu himmat se kaam lena aur hausla rakhna+ kyonki tu hi in logon ko us desh ka vaaris banayega jise dene ki shapath mainne unke purkhon se khaayi thi.+  tu himmat se kaam lena aur hausla rakhna aur mere sevak moosa ne jis kaanoon ko maanne ki aagya di thi, uska tu sakhti se paalan karna. tu na to daayen mudna na baayen+ taaki tu har kaam buddhimani se kar sake.+  kaanoon ki is kitab ko apne munh se door na karna,+ din-raat ise dheemi aavaz mein padhna* taaki tu iski ek-ek baat ka paalan kar sake.+ tab tu kaamyab hoga aur buddhimani se chal paayega.+  main ek baar fir tujhse kehta hoon, himmat se kaam lena aur hausla rakhna. tu na darna, na khauf khaana kyonki tu jahaan-jahaan jaayega tera parmeshvar yahova tere saath rahega.”+ 10  iske baad yahoshoo ne logon ke adhikariyon se kaha, 11  “poori chhaavni mein jaakaar logon ko yah aagya do, ‘apne liye khaane-peene ki cheezen baandh lo kyonki teen din ke andar tum yardan paar jaanevale ho aur us desh ko apne adhikar mein karnevale ho jise tumhara parmeshvar yahova tumhare adheen kar dega.’”+ 12  fir yahoshoo ne rooben aur gaad ke vanshajon aur manashshe ke aadhe gotra se kaha, 13  “yahova ke sevak moosa ne tumhein jo aagya di thi use yaad karo,+ ‘tumhare parmeshvar yahova ne tumhein chain diya hai aur yah desh bhi tumhein de diya hai. 14  tumhare beevi-bachche aur tumhare jaanvar yardan ke is paar* ke ilake mein hi rahein, jo moosa ne tumhein diya hai.+ lekin tum sab veer yoddha+ alag-alag dal baandhkar apne bhaaiyon se pehale nadi ke us paar jaana.+ tum tab tak unki madad karna 15  jab tak ki yahova unhein chain nahin deta jaise tumhein diya hai aur jab tak woh us desh par adhikar nahin kar lete jo tumhara parmeshvar yahova unhein denevala hai. iske baad tum vaapas aakaar apne ilake mein bas jaana jo yahova ke sevak moosa ne tumhein yardan ke is paar poorab mein diya hai.’”+ 16  tab unhonne yahoshoo se kaha, “toone hamse jo-jo kaha hai hum woh sab kareinge. tu hamein jahaan bhi bhejega hum jaayenge.+ 17  jis tarah hamne moosa ki har baat maani thi hum teri baat bhi maaneinge. tera parmeshvar yahova hamesha tere saath rahe, jaise woh moosa ke saath tha.+ 18  jo koi tere hukm ke khilaf jaaye aur teri aagya na maane woh maar daala jaaye.+ tu bas himmat se kaam lena aur hausla rakhna.”+

kai footnote

ya “yahoshua” jiska matlab hai, “yahova uddhaar hai.”
yaani bhoomadhya saagar.
ya “is par manan karna.”
yaani poorab mein.