yahoshoo 11:1-23
11 jab haasor ke raja yaabeen ne yah khabar suni to usne fauran maadon ke raja+ yobab ko, shimron aur akshap ke raajaon+ ko
2 aur jo-jo raja uttar ke pahadi pradesh mein, kinneret ke dakshini maidani ilakon* mein, shafelah aur pashchim mein dor+ ki pahadiyon par rehte the, un sabko sandesh bheja.
3 usne poorab-pashchim donon taraf ke kanaaniyon+ ko, pahadon mein rehnevale emoriyon,+ hittiyon, parijjiyon, yaboosiyon ko aur mispa mein hermon pahad+ ke neeche rehnevale hivviyon+ ko bhi sandesh bheja.
4 tab woh sab apni-apni sena lekar nikaal pade. unki ginti itni thi ki woh samundar kinare ki baaloo ke kinkon jitne lag rahe the. woh apne saath behisab ghode aur yuddh-rath laaye.
5 in sabhi raajaon ne saath milkar israel se yuddh karne ka faisla kiya aur unhonne merom ke sote ke paas chhaavni daali.
6 tab yahova ne yahoshoo se kaha, “tu unse mat darna+ kyonki kal is samay tak main un sabko israel ke haath kar doonga aur tum unko maar daaloge. tum unke ghodon ki ghutnas kaat dena+ aur unke rathon ko aag mein jala dena.”
7 fir yahoshoo apne sabhi sainikon ko saath lekar gaya aur usne merom ke sote ke paas dushmanon par achanak hamla bol diya.
8 yahova ne unhein israel ke haath kar diya+ aur israeliyon ne unhein hara diya. woh mehangar seedon+ aur misrapot-maim+ tak aur poorab mein mispe ghaati tak unhein maarte gaye aur ek ko bhi zinda nahin chhoda.+
9 yahoshoo ne vahi kiya jo yahova ne use bataya tha, usne dushmanon ke ghodon ki ghutnas kaat di aur rathon ko aag mein jala diya.+
10 itna hi nahin, yahoshoo ne haasor jaakaar us par kabza kar liya aur vahaan ke raja ko talvar se maar daala+ kyonki ab tak haasor vahaan ke sabhi raajyon ka mukhya shehar tha.
11 israeliyon ne haasor ke sabhi logon ko talvar se maarkar unka poori tarah naash kar diya,+ ek ko bhi zinda nahin chhoda.+ iske baad, yahoshoo ne haasor ko jala daala.
12 yahoshoo ne un sabhi raajaon ke shehron par kabza kar liya aur unhein harakar talvar se maar daala.+ usne un sabka naash kar diya,+ theek jaise yahova ke sevak moosa ne aagya di thi.
13 magar israeliyon ne un shehron ko nahin jalaya jo teelon par base the. sirf haasor hi aisa shehar tha jise yahoshoo ne jala diya tha.
14 israeli un shehron se loot ka saara maal aur saare maveshi apne liye le gaye.+ magar vahaan ke sabhi insanon ko unhonne talvar se maar daala,+ ek ko bhi zinda nahin chhoda.+
15 yahova ne apne sevak moosa ko jo-jo aagya di thi woh sab moosa ne yahoshoo ko batayi thi+ aur yahoshoo ne theek vaisa hi kiya. usne aisa koi bhi kaam adhoora nahin chhoda jiski aagya yahova ne moosa ko di thi.+
16 yahoshoo ne ye saare ilake jeet liye: yahooda ka pahadi pradesh, poora negeb,+ poora goshen pradesh, shafelah,+ arba,+ israel ka pahadi pradesh aur uska nichla hissa.
17 usne seir ke paas haalaak pahad se lekar oopar tak ka woh saara ilaka jeet liya, jo door hermon pahad+ ke neeche labanon ghaati mein baalgad+ tak faila hai. usne vahaan ke sabhi raajaon ko hara diya aur unhein maar daala.
18 un sabhi raajaon se yuddh karte-karte yahoshoo ko kaafi samay laga.
19 gibon shehar ke hivviyon ko chhod kisi aur shehar ke logon ne israeliyon ke saath shaanti ka karar nahin kiya.+ un shehron ko israeliyon ne yuddh karke jeet liya.+
20 yahova ne un logon ka dil kathor hone diya,+ jis vajah se unhonne israel se yuddh kiya aur parmeshvar ne un sabka poori tarah naash kar diya, un par koi rehm nahin kiya.+ jaisa yahova ne moosa ko aagya di thi, un sabka naash kiya jaana tha.+
21 us samay yahoshoo ne pahadi pradesh, hebron, dabir, anab aur yahooda aur israel ke pahadi pradeshon se anakiyon ka safaya kar diya.+ yahoshoo ne unhein aur unke shehron ko poori tarah naash kar diya.+
22 iske baad israeliyon ke desh mein ek bhi anaki nahin bacha. sirf gaaza,+ gat+ aur ashdod+ mein kuch anaki reh gaye.+
23 is tarah yahoshoo ne yah saara desh apne kabze mein kar liya, theek jaise yahova ne moosa se vaada kiya tha.+ fir yahoshoo ne yah desh israeliyon ko diya taaki sabhi gotron ko apna-apna hissa mile aur yah unki virasat thahre.+ iske baad yuddh khatm ho gaya aur desh mein shaanti bani rahi.+
kai footnote
^ ya “arba.”