yahoshoo 12:1-24

  • yardan ke poorab mein raajaon ki haar (1-6)

  • yardan ke pashchim mein raajaon ki haar (7-24)

12  israeliyon ne yardan ke poorab mein arnon ghaati+ se lekar oopar hermon pahad+ tak aur poorab mein faile poore arba ko apne adhikar mein kar liya. unhonne us desh ke jin raajaon ko haraya unmein se ek tha,+  emoriyon ka raja seehon+ jo heshbon mein rehta tha. woh aroer+ se raaj karta tha jo arnon ghaati+ ke kinare basa tha. arnon ghaati ke beech se lekar yabbok ghaati tak ka poora ilaka aur gilad ka aadha bhaag uske raaj mein aata tha. yabbok ghaati ammoniyon ke ilake ki bhi sarhad thi.  woh poorab mein arba ke ilake par bhi raaj karta tha, jo kinneret jheel*+ se lekar arba ke saagar yaani lavan saagar* tak faila tha aur poorab mein bet-yashimot aur dakshin mein pisga ki dhalanon ke neeche tak tha.+  israeliyon ne jis doosre raja ke ilake par adhikar kiya, woh tha baashaan ka raja og.+ woh bache huye rapai logon mein se tha+ aur ashtarot aur edrei mein rehta tha.  uska raaj hermon pahad ke ilake, salka aur poore baashaan+ tak faila tha, jahaan se gashooriyon aur maakatiyon+ ka ilaka shuroo hota tha. woh heshbon ke raja seehon+ ke ilake ki seema tak, gilad ke aadhe bhaag par bhi raaj karta tha.  in raajaon ko yahova ke sevak moosa aur israeliyon ne haraya tha,+ jiske baad yahova ke sevak moosa ne unka ilaka roobeniyon aur gaadiyon ko aur manashshe ke aadhe gotra ko de diya.+  yahoshoo aur israeliyon ne yardan ke pashchim mein rehnevale raajaon ko haraya aur iske baad yahoshoo ne unka poora ilaka israel ke gotron mein baant diya, har gotra ko apna-apna hissa diya gaya.+ yah ilaka labanon+ ghaati mein baalgad+ se lekar seir+ ke paas haalaak pahad+ tak faila tha.  ismein pahadi pradesh, shafelah, arba, dhalanein, veerana aur negeb aata tha,+ jinmein hitti, emori,+ kanaani, parijji, hivvi aur yaboosi rehte the.+ jin raajaon ko haraya gaya woh the:   yareeho ka raja;+betel ke paas ai ka raja;+ 10  yarooshalem ka raja;hebron ka raja;+ 11  yarmoot ka raja;laakeesh ka raja; 12  eglon ka raja;gejer ka raja;+ 13  dabir+ ka raja;gader ka raja; 14  horma ka raja;araad ka raja; 15  libna+ ka raja;adullam ka raja; 16  makkeda ka raja;+betel+ ka raja; 17  tappooh ka raja;heper ka raja; 18  apek ka raja;lashsharon ka raja; 19  maadon ka raja;haasor ka raja;+ 20  shimron-maron ka raja;akshap ka raja; 21  taanak ka raja;magiddo ka raja; 22  kedesh ka raja;karmel mein yoknam+ ka raja; 23  dor ki pahadiyon par dor ka raja;+gilgal mein goyeem ka raja 24  aur tirsa ka raja. kul milakar 31 raja.

kai footnote

yaani mrit saagar.
yaani gannesarat jheel ya galeel jheel.