yahoshoo 13:1-33

  • desh par kabza karna ab bhi baaki (1-7)

  • yardan ke poorvi ilake ka batvara (8-14)

  • rooben ki virasat (15-23)

  • gaad ki virasat (24-28)

  • poorab mein manashshe ki virasat (29-32)

  • yahova leviyon ki virasat (33)

13  ab yahoshoo bahot boodha ho gaya tha, uski umra dhal chuki thi.+ yahova ne usse kaha, “tu boodha ho gaya hai aur teri umra dhal chuki hai. lekin ab bhi is desh ke kai ilakon par kabza karna* baaki hai.  jo ilake reh gaye hain, woh ye hain:+ palishtiyon aur gashooriyon+ ka saara ilaka  (jo misra ke poorab mein* neel nadi ki dhaara* se lekar uttar mein ekron ki seema tak faila hai. ise kanaani ilaka maana jaata tha).+ ismein gaaza, ashdod,+ ashkalon,+ gat+ aur ekron+ mein rehnevalon ke ilake bhi aate hain, jin par palishtiyon ke paanch sardaron+ ka raaj hai. avvi logon+ ka ilaka  jo dakshin mein padta hai, kanaaniyon ka saara ilaka, aur maarah jo seedoniyon+ ke ilake mein aata hai aur door apek tak ka ilaka jo emoriyon ki sarhad ke paas hai,  gabali logon+ ka ilaka aur poorab ki taraf labanon ka saara ilaka jo hermon pahad ke neeche baalgad se lekar lebo-hamat+ tak hai  aur labanon+ se lekar misrapot-maim+ mein rehnevale pahadi pradesh ke logon ka aur seedoniyon+ ka saara ilaka. main yahaan rehnevale sab logon ko israeliyon ke saamne se khaded doonga.+ tu bas is desh ko israeliyon mein baant dena, jaisa mainne tujhe aagya di thi taaki yah unki virasat thahre.+  isliye ab tu nau gotron aur manashshe ke aadhe gotra ko unke hisse ki zameen baant de.”+  baaki aadhe gotra ne aur roobeniyon aur gaadiyon ne virasat ki woh zameen li jo moosa ne unhein yardan ke poorab mein di thi. yahova ke sevak moosa ne unhein ye ilake diye the:+  arnon ghaati+ ke kinare aroer+ aur ghaati ke beech ke shehar se lekar deebon tak faila medaba ka pathari ilaka 10  aur ammoniyon ki seema tak woh saare shehar jo heshbon mein rehnevale emoriyon ke raja seehon ke ilake mein aate the.+ 11  iske alava gilad, gashoori aur maakati logon ka ilaka,+ hermon pahad aur salka tak+ poore baashaan ka ilaka.+ 12  aur baashaan ke raja og ka saara ilaka, jo ashtarot aur edrei mein raaj karta tha. (woh bache huye rapai logon mein se tha.)+ moosa ne un raajaon ko haraya aur unhein unke ilakon se khaded diya.+ 13  magar israeliyon ne gashoori aur maakati logon ko nahin khadeda.+ aur woh aaj tak israeliyon ke beech rehte hain. 14  usne sirf levi gotra ko virasat ki koi zameen nahin di.+ kyonki usne vaada kiya tha ki jo chadhava israel ke parmeshvar yahova ko aag mein arpit kiya jaata hai, vahi unki virasat hoga.+ 15  moosa ne rooben gotra ke saare gharanon ko unke hisse ki zameen di taaki yah unki virasat thahre. 16  unhein ye ilake mile: arnon ghaati ke kinare aroer shehar, saath hi woh shehar jo ghaati ke beech mein hai, medaba ka saara pathari ilaka, 17  heshbon aur pathari ilake mein aanevale saare nagar,+ deebon, baamot-baal, bet-baalmon,+ 18  yahas,+ kademot,+ mepat,+ 19  kiryataim, sibma,+ sereth-shehar jo ghaati ke paas pahad par hai, 20  betpor, pisga ki dhalanein,+ bet-yashimot,+ 21  saath hi pathari ilake ke saare shehar aur woh saara ilaka* jo heshbon+ se raaj karnevale emoriyon ke raja seehon ke raaj mein aata tha. moosa ne seehon ko aur midyani pradhan evi, rekem, soor, hoor aur reba ko haraya,+ jo seehon ke adheen raaj karte the aur usi ilake mein rehte the. 22  israeliyon ne jyotishi bilam+ ko jo baor ka beta tha, baaki logon ke saath talvar se maar daala. 23  roobeniyon ka ilaka yardan tak tha aur yah ilaka aur iske sabhi shehar aur bastiyaan rooben gotra ke saare gharanon ki virasat thi. 24  moosa ne gaad gotra ke saare gharanon ko bhi unke hisse ki zameen di taaki yah unki virasat thahre. 25  unhein ye ilake mile: yaajer+ aur gilad ke saare shehar aur aroer tak ammoniyon ka aadha ilaka,+ jo rabbah+ ke saamne padta tha. 26  aur heshbon+ se lekar raamat-mispe aur batoneem tak, mahnaim+ se lekar dabir ki seema tak 27  aur ghaati mein bet-haaram, bet-nimrah,+ sukkot+ aur saapon ka ilaka aur heshbon ke raja seehon+ ke raajya ka bacha hua ilaka. yah ilaka kinneret jheel*+ ke dakshini hisse tak yardan ke poorab mein tha jiski seema yardan thi. 28  is ilake ke sabhi shehar aur bastiyaan gaad gotra ke saare gharanon ki virasat thi. 29  fir moosa ne manashshe ke aadhe gotra ke gharanon ko unke hisse ki zameen di taaki yah unki virasat thahre.+ 30  unka ilaka mahnaim+ se lekar poore baashaan yaani baashaan ke raja og ke poore ilake tak faila tha. unhein baashaan mein yaair ke sab kasbe,+ 60 nagar diye gaye. 31  gilad ka aadha ilaka aur baashaan ke raja og ke shehar ashtarot aur edrei,+ yah sab manashshe ke bete maakeer ke beton+ ko yaani maakeer ke aadhe gharane ko diye gaye. 32  yah woh zameen hai jo moosa ne israeliyon ko di thi taaki yah unki virasat thahre. usne ye ilake unhein tab diye the, jab woh yareeho ke poorab mein yardan ke us paar moab ke banjar ilake mein the.+ 33  magar moosa ne levi gotra ko virasat ki koi zameen nahin di.+ kyonki israel ka parmeshvar yahova unki virasat hai jaisa parmeshvar ne unse vaada kiya tha.+

kai footnote

ya “ko jeetna.”
ya “sheehor.”
shaa., “ke saamne.”
yahaan shaayad seehon ke raaj ke us hisse ki baat ki gayi hai jismein aay. 15-20 mein bataye ilake aate hain. aay. 27 dekhein.
yaani gannesarat jheel ya galeel jheel.