yahoshoo 15:1-63

  • yahooda ki virasat (1-12)

  • kaaleb ki beti ko ilaka mila (13-19)

  • yahooda ke shehar (20-63)

15  yahooda gotra ke gharanon ko chitthiyaan daalkar jo zameen di gayi thi+ woh edom+ ki sarhad, sin veerane aur negeb ke dakshini kone tak faili hui thi.  dakshin mein unki sarhad lavan saagar* ke chhor se yaani iski dakshini khaadi se shuroo hoti thi.+  aur aage dakshin mein akrabeem ki chadhai+ se hokar sin tak jaati thi. fir kaadesh-barne ke dakshin+ se yah sarhad uttar ki taraf mudti thi aur hesron se hokar addar tak jaati thi aur karka ki taraf mudti thi.  aage yah sarhad asmon+ se lekar misra ghaati*+ tak jaati thi aur saagar* par khatm hoti thi. yah unki dakshini sarhad thi.  yardan ke muhane se lekar poora lavan saagar* yahooda ke ilake ki poorvi seema tha. uttar mein unki sarhad saagar ki khaadi se shuroo hoti thi, jahaan yardan nadi, saagar se milti thi.+  yahaan se unki sarhad bet-hogla+ se hote huye bet-arba+ ke uttar mein jaati thi aur bohan ke patthar par pahunchti thi.+ bohan, rooben ka vanshaj tha.  yah sarhad aakor ghaati+ mein dabir tak jaati thi aur vahaan se uttar mein gilgal+ ki taraf mudti thi. gilgal, adummeem ki chadhai ke saamne hai aur adummeem, ghaati ke dakshin mein padta hai. yahaan se unki sarhad en-shemesh+ ke sote se en-rogel+ tak jaati thi.  fir ‘hinnom ke vanshajon ki ghaati’+ se hote huye yaboosi+ shehar yaani yarooshalem+ ki dakshini dhalan tak pahunchti thi. vahaan se yah sarhad us pahad ki choti tak jaati thi, jo hinnom ghaati ke pashchim mein aur rapai ghaati ke uttari chhor par tha.  fir yah sarhad pahad ki choti se utarte huye neptoh ke sote+ par nikaalti thi aur aage epron pahad par base shehron tak jaati thi aur fir baala par pahunchti thi, jise kiryat-yaareem bhi kaha jaata hai.+ 10  baala se yah sarhad mudkar pashchim ki taraf seir pahad tak jaati thi aur vahaan se yaareem pahad ki uttari dhalan par pahunchti thi, jise kasalon kehte hain. fir yah neeche bet-shemesh+ ko jaati thi aur vahaan se timna+ par pahunchti thi. 11  yah sarhad ekron+ ki uttari dhalan ko chhoote huye shikkaron par aur baala pahad se hote huye yabnel par nikaalti thi aur saagar par khatm hoti thi. 12  mahasagar* aur uska tat yahooda ke ilake ki pashchimi seema tha.+ yahooda ke vanshajon ke gharane ko mile ilake ki yahi sarhad thi. 13  yahoshoo ne yapunne ke bete kaaleb+ ko yahooda ke vanshajon ke ilake mein kiryat-arba (arba, anak ka pita tha) yaani hebron diya,+ jaisa yahova ne yahoshoo ko aagya di thi. 14  kaaleb ne vahaan se anak ke teen beton ko khadeda+ jinke naam the sheshai, aheeman aur talmai.+ inhin se anaki log nikle the. 15  iske baad kaaleb dabir ke logon se ladne gaya.+ (dabir pehale kiryat-separ kehlata tha.) 16  kaaleb ne kaha, “jo aadmi kiryat-separ par hamla karke use jeet lega, uski shaadi main apni beti aksa se karvaunga.” 17  otniel+ ne kiryat-separ ko jeet liya. woh kaaleb ke bhaai kanaj ka beta tha+ aur kaaleb ne apni beti aksa+ ki shaadi usse karva di. 18  jab aksa ghar jaa rahi thi to woh apne pati se baar-baar kehne lagi ki mere pita se zameen ka ek tukda maang. fir woh gadhe se utri* aur kaaleb ne usse poochha, “tu kya chahti hai?”+ 19  aksa ne kaha, “teri yah beti tujhse ek aasheervad chahti hai. mujhe gullot-maim* ka ilaka de de kyonki mujhe dakshin* mein zameen ka jo tukda mila hai woh sookha hai.” isliye kaaleb ne use oopri gullot aur nichla gullot diya. 20  yah yahooda gotra ke sabhi gharanon ki virasat thi. 21  yahooda gotra ke dakshini chhor par aur edom ki sarhad+ ki taraf ye shehar the: kabsel, eder, yaagoor, 22  keena, deemona, adada, 23  kedesh, haasor, yitnan, 24  zeef, telem, baalot, 25  haasor-hadatta, kariyot-hesron yaani haasor, 26  amam, shama, molada,+ 27  hasar-gadda, heshmon, bet-paalet,+ 28  hasar-shooaal, bersheba,+ bijyotya, 29  baala, iyyeem, esem, 30  eltolad, kaseel, horma,+ 31  siklag,+ madamnna, sansanna, 32  labaot, shilheem, ain aur rimmon.+ kul milakar 29 shehar aur iske alava unki bastiyaan. 33  shafelah+ mein unke ye shehar the: eshtaol, sora,+ ashna, 34  jaanoh, en-ganneem, tappooh, enam, 35  yarmoot, adullam,+ sokoh, ajeka,+ 36  shaaraim,+ adeetaim aur gadera aur gaderotaim,* 14 shehar aur iske alava unki bastiyaan. 37  sanan, hadasha, migdal-gaad, 38  dilan, mispe, yoktel, 39  laakeesh,+ boskat, eglon, 40  kabbon, lahmam, kitleesh, 41  gaderot, bet-daagon, naama aur makkeda,+ 16 shehar aur iske alava unki bastiyaan. 42  libna,+ eter, aashaan,+ 43  yiftah, ashna, nasib,  44  keela, akjeeb aur maareshah, nau shehar aur iske alava unki bastiyaan. 45  ekron aur uske aas-paas ke nagar aur bastiyaan. 46  ekron ke pashchim mein ashdod ke aas-paas ka saara ilaka aur vahaan ki bastiyaan. 47   ashdod+ aur uske aas-paas ke nagar aur bastiyaan, gaaza+ aur uske aas-paas ke nagar aur bastiyaan jo misra ghaati tak faili hui thi aur mahasagar* aur uske tat ka ilaka.+ 48  pahadi pradesh mein ye shehar the: shaameer, yatteer,+ sokoh, 49  danna, kiryat-sanna yaani dabir, 50  anab, eshtamo,+ aaneem, 51  goshen,+ holon aur geelo,+ 11 shehar aur iske alava unki bastiyaan. 52  arab, dooma, eshan, 53  yaaneem, bet-tappooh, apeka, 54  humta, kiryat-arba yaani hebron+ aur seeor, nau shehar aur iske alava unki bastiyaan. 55  maaon,+ karmel, zeef,+ yutta, 56  yijrel, yokdam, jaanoh, 57  ken, giba aur timna,+ das shehar aur iske alava unki bastiyaan. 58  halhool, bet-soor, gador, 59  marat, betnot aur eltekon, chh: shehar aur iske alava unki bastiyaan. 60  kiryat-baal yaani kiryat-yaareem+ aur rabbah, do shehar aur iske alava unki bastiyaan. 61  veerane mein unke ye shehar the: bet-arba,+ middeen, sakaka, 62  nibshan, lavan shehar aur engadi,+ chhe shehar aur iske alava unki bastiyaan. 63  magar yarooshalem mein rehnevale yaboosiyon+ ko yahooda ke log nahin khaded paaye.+ isliye yaboosi aaj tak unke beech yarooshalem mein rehte hain.

kai footnote

yaani mrit saagar.
shabdavli dekhein.
yaani mahasagar, bhoomadhya saagar.
yaani mrit saagar.
yaani bhoomadhya saagar.
ya shaayad, “dhyan khinchne ke liye usne gadhe par baithe-baithe taali bajayi.”
matlab “paani ke kund.”
ya “negeb.”
ya shaayad, “gadera aur uski bhedshalayen.”
yaani bhoomadhya saagar.