yahoshoo 16:1-10

  • yoosuf ke vanshajon ki virasat (1-4)

  • epraim ki virasat (5-10)

16  yoosuf ke vanshajon ko chitthiyaan daalkar zameen ka jo hissa diya gaya,+ uski sarhad yareeho ke paas yardan se shuroo hoti thi aur un soton tak jaati thi jo yareeho ke poorab mein padte the. fir yah sarhad yareeho ke saamne veerane se hote huye betel ke pahadi pradesh tak pahunchti thi.+  fir looj ke paas betel se hote huye yah atarot tak jaati thi, jo ereki logon ki seema hai.  vahaan se yah sarhad pashchim ki taraf yapleti logon ki seema se utaarkar nichle bet-horon ki seema+ aur gejer+ tak jaati thi aur saagar par khatm hoti thi.  is tarah yoosuf ke vanshajon,+ manashshe aur epraim gotron ne apne-apne hisse ki zameen li.+  epraim ke vanshajon ke sabhi gharanon ko virasat mein jo zameen di gayi, uski sarhad yah thi: poorab mein atarot-addar+ se hote huye oopri bet-horon+ tak  aur vahaan se aage saagar tak. uttar mein mikmatat+ se yah seema poorab ki taraf taanat-sheelo tak jaati thi aur yaanoh se hokar guzartee thi.  fir yah seema yaanoh se neeche utaarkar atarot aur naara se hote huye yareeho+ aur yardan tak pahunchti thi.  tappooh+ se yah sarhad pashchim ki taraf kaanah ghaati se hote huye saagar par khatm hoti thi.+ yah ilaka epraim gotra ke sabhi gharanon ki virasat tha.  epraim ke vanshajon ko manashshe ke ilake mein woh shehar aur bastiyaan bhi milin, jo unke liye alag ki gayi thi.+ 10  lekin epraimiyon ne gejer mein rehnevale kanaaniyon ko nahin khadeda.+ isliye aaj tak kanaani unke beech rehte hain+ aur unke adheen rehkar jabran mazdoori karte hain.+

kai footnote